find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Hanafi,Maliki,Shafi"ee Aur Hanbali Se kya Murad Hai?

HANAFI⭕MALIKI⭕SHAFI'EE⭕HANBALI⭕se kya murad hai?

✒ In naamo ka taluq Islamic "Fiq'h" se hai.
✒In Naamo ka taluq Ulema se tha. Awwam se nahi. Lekin baad airi-gairi Awwam bhi in naam se pahechhane jane lagi sirf is buniyad par ke ham fala imam ke muqallid hai. 90% awwam aisi hai jisko in Imamo ke bareme kuchh bhi ilm nahi hai. Isiliye in naamo ko lekar baad me 4 bade Firqe wajood me aaye.
➿Aam alfaz me ham aisa kahe sakte hai ke:
*Jin Ulema ne Fi'qh ka ilm..
◼IMAM ABU HANIFA (Rahamahullah) se liya unhe HANAFI kaha jata hai.
◼IMAM MALIK BIN ANAS (Rahamahullah) se liya unhe MALIKI kaha jata hai.
◼IMAM MUHAMMAD BIN IDRIS AS-SHAFI'EE (Rahamahullah) se liya unhe SHAFI'EE kaha jata hai.
◼IMAM AHMED BIN HANBAL (Rahamahullah) se liya unhe HANBALI kaha jata hai.
✒In 4 IMAMO ke naam se jo firqe banaye in firqo se ye 4 Imam bari (azaad) hai. Isko Firqa Parsti kahenge. Aisi Firqa parsti in 4 Imamo ki talim nahi thi.
Allahu Aalam Bis-Sawab._
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS