🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
✦ Hadith : Achcha Akhlaq aur zyada khamoshi tarazu mein bahut bhari hain
-------------
✦ Anas radi Allahu anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Abu Dharr Radi Allahu anhu se mile aur farmaya Eh abu dharr kya main tumhe do khubiyan na batauu jo karne mein bahut halki hain aur tarazu mein bahut bhari hain unhone kaha kyu nahi Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam (Jarur bataeeye), Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum apne upar achcha akhlaq aur zyada khamoshi lazim kar lo , kasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai makhluq ka koi dusra amal unke barabar nahi
Al-Silsila-tus-Sahiha, Hadees # 202
✦ Hadith : jis shakhs ne nashe ki wajah se ek namaz chorh di to wo aisa hai jaise ki duniya ka sara saman us se cheen liya gaya
---------
✦ Abdullah ibn umar radi Allahu anhuma se rivayat hai ki RasoolAllah SallAlalahu alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne nashe ki wajah se ek namaz chorh di to wo aisa hai jaise ki duniya aur uska sara saman is ka tha aur us se wapas cheen liya gaya.aur jis shakhs ne nashe ki wajah se char baar namaz corh di to Allah subhanahu par lazim hai usko Teenat-Al-Khabal peelaye ,pucha gaya ki Ya Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam Teenat-Al-Khabal kya cheez hai to Aapne farmaya Ahl-e-jahannam ki Peep
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732
✦ Comments : Jab Nashe ki wajah se namaz chorh dene ki itni badi saza hai to zara gaur kijiye jo log nashe mein nahi hote aur sirf apne job ya tijarat ke liye jaanbujh kar namaz chorh dete unka kya hashr hoga.
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
No comments:
Post a Comment