find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jo GuSse ke waqt Khud ko Qaboo me Rakhta Hai wahi Asli Taqatwer Hai.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا حَاجِبُ بْنُ الْوَلِيدِ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ حَرْبٍ عَنْ الزُّبَيْدِيِّ عَنْ الزُّهْرِيِّ أَخْبَرَنِي حُمَيْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ أَنَّ أَبَا هُرَيْرَةَ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ لَيْسَ الشَّدِيدُ بِالصُّرَعَةِ قَالُوا فَالشَّدِيدُ أَيُّمَ هُوَ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ الَّذِي يَمْلِكُ نَفْسَهُ عِنْدَ الْغَضَبِ

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: "पिछाड़ देने से कोई शख़्स ताक़तवर नहीं होता। "सहाबा र•अ ने पूछा: अल्लाह के रसूल! फिर ताक़तवर कौन है? आपने फ़रमाया: *"जो ग़ुस्से के वक़्त ख़ुद को क़ाबू में रखता है।*

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "pachhar deney se koi shakhs taaqatwar nahi hota. "sahaba ra ne poocha: Allah ke rasool! phir taaqat war kon hai? aap ne farmaya: *"jo gusse ke waqt khud ko qaboo mein rakhta hai."*

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، " پچھاڑ دینے سے کوئی شخص طاقتور نہیں ہوتا ۔ " صحابہ نے پوچھا : اللہ کے رسول! پھر طاقت ور کون ہے؟ آپ نے فرمایا : " *جو غصے کے وقت خود کو قابو میں رکھتا ہے ۔* "

🌺The Messenger of Allah ﷺ said: '‘One is not strong because of one's wrestling skillfully. They said: Allah's Messenger, then who is strong? He said: *He who controls his anger when he is in a fit of rage.’'*

📜 *wazahat:* gussa ek aisa ikhlaqi marz hai ke agar fauran aur sahih ilaaj nah kiya gaya to is ka asar bahami na ittifaqi, hasad o keena, bughz o nafrat, gaali o galoch hatta ke marpeet, qatal o khoonrez ya Talaq aur maal o aulaad par bad dua ki shakal mein zahir hota hai, isliye apne deen o imaan par hurais shakhs ke liye zaroori hai ke is marz ka ilaaj kare. wazeh rahay ke sab se behtar aur kamyaab woh ilaaj hai jis ki taraf islam ne rahnumai ki hai, ek revayat [📗sahih Al-jaami 695] mein ata hai ke gussa aane par uss shakhs ko chahiye ke _aauzubillah hi minash shaitan ir rajeem_ padhe ya fir gussa aane par khamoshi ikhteyar kar le [📗sahih Al-jaami 693]. Rasool Allah ﷺ ne farmaya gussa aane par agar koi khada ho to baith jaye, gussa rafa ho jaye to behtar, warna lait jaye [📗Abi dawud: 4782]

📚 _*Sahih Muslim: jild 6, kitab ul-bir wa as-silah wa al-adab 45, hadith no. 6644*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS