Dua Kab Qabul Hoti Hai Ager Dua Qabool NA Ho To Kya KArni Chahiye
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا إِسْحَاق بْنُ سُلَيْمَانَ، عَنْ مَالِكِ بْنِ أَنَسٍ، عَنْ الزُّهْرِيِّ، عَنْ أَبِي عُبَيْدٍ مَوْلَى عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَوْفٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: يُسْتَجَابُ لِأَحَدِكُمْ مَا لَمْ يَعْجَلْ ، قِيلَ: وَكَيْفَ يَعْجَلُ يَا رَسُولَ اللَّهِ؟ قَالَ: يَقُولُ: قَدْ دَعَوْتُ اللَّهَ فَلَمْ يَسْتَجِبْ اللَّهُ لِي .
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”tum mein se har ek ki dua qubool hoti hai, basharte ke woh jaldi nah kare, arz kiya gaya: Allah ke rasool! jaldi ka kya matlab hai? aap ﷺ ne farmaya: woh yun kehta hai ke main ne Allah taala se dua ki lekin Allah taala ne meri dua qubool nah ki"
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”تم میں سے ہر ایک کی دعا قبول ہوتی ہے، بشرطیکہ وہ جلدی نہ کرے ، عرض کیا گیا: اللہ کے رسول! جلدی کا کیا مطلب ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ یوں کہتا ہے کہ میں نے اللہ تعالیٰ سے دعا کی لیکن اللہ تعالیٰ نے میری دعا قبول نہ کی“۔
The Prophet ﷺ said, It is necessary that you do not become hasty. It was said: What does being hasty mean, O Messenger of Allah? He ﷺ said: When one says: 'I supplicated to Allah but Allah did not answer me.'
*wazahat:* Aisa kehna Allah ki shaan mein be adabi hai aur Allah ka ikhteyar hai jab wo munasib samajhta hai uss waqt dua qubool karta hai kabhi jaldi, kabhi der mein aur Kabhi duniya mein qubool nahi karta, jab bande ka fayda dua qubool na hone mein hota hai to aakhirat ke liye us dua ko uthaye rakhta hai, garz Allah ki hikmatein aur uske bhed zeyada wahi janta hai, aur kisi haal mein bande ko apne rab se mayoos nahi hona chahiye, kyun ke uske sewa aur kaun dene wala hai? Aur woh apne bando par maa baap se zeyada raham wa kareem hai, pas behtar yahi hai ke bandah sab kaam Allah ki raza pe chhod de aur zahir mein sharayi ahkaam ke mutabik dua karta rahe lekin agar dua qubool na ho toh bhi dil khush rahe aur ye samjhe ki Allah ne iss mein zaroor koi hikmat rakhi hogi aur hamara kuch fayda hoga.
Sunan ibne majah: jild 5, kitab Ad-dua 34, hadith no. 3853*_
Grade sahih.
Grade sahih.
No comments:
Post a Comment