Rishte Tay Karte Waqt Kaun Se Chij Ka Khyal Rakhe?
Tohfa-e-Nikaah Part - 12
Rishta Tey Karne Mein Deendaari Ka Khayaal Rakhein
Aaj log jab rishte ka intikhaab karte hain, to bahot saari cheezon ko dekhte hain, ilm wa fazal, maal wa daulat, mu'aashre mein maqaam wa martaba, ek doosre ka husn wa Jamaal aur na jaane kin kin cheezon par nazar daalte hain, magar Rasulullah ﷺ ne rishte ke intikhaab ke silsile mein asal me'yaar deendaari ko bataaya hai.
Hadees mein Aap ﷺne naseehat karte huwe farmaaya: Aurton se 4 wujoohaat ki bina par shaadi ki jaati hai, ek us ki daulat ko dekh kar, doosra us ke khaandaan ko dekh kar, teesra us ke husn wa jamaal ko dekh kar aur chautha us ke deen ko dekh kar. Pas tum deendaar aurat ke saath shaadi kar ke kaamyaab ho jaao. (Abu Daaood: 2047)
Lihaaza rishta karte waqt sab se pehle dekhna chaahiye ke jis se rishta kiya ja raha hai woh deendaar hai ke nahein, agar woh deendaar hai to us se nikaah kar Lena chaahiye.
*●♧●---------☆---■---☆--------●♧●
لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِؕ
"Main Gawahi deyta ho Allah k siwa koi Mabood nahi Aur Hazrat Muhammad Mustafa (ﷺ) Allah ke Rasool hain"
"lā ilaha illa Allahu, Muhammad ur-rasul Ullah"
There is none worthy of worship but Allah, Muhammad [peace be upon him] is the messenger of Allah.
Servant Of Allah Shoaib Qamar Khan Brother Muhammad Abuzar Brother Shakeel Ahmad & Sister Doctor Arzoo
Servant Of Allah Muslim (Only Brother Group)
Servant Of Allah Muslimah (Only Sister Group)
Servant Of Allah Muslim / Muslimah (Broadcast list)
JazakAllahu Khair'n
JazakAllahu Khair'n
No comments:
Post a Comment