find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

kafir Kaun Hai, Kisi Musalman Ko Kafir Kahna Kaisa Hai?

AsSaLaMu AlAiKuM
 waRaHaMaTulLaHi Wa*
*BaRaKaTaHu
____________________________
Bismillahirrahmanirrahim
Musalman ko kafir na kaho warna kufr tum par aa jayega
Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya
Agar koi shaksh kisi ko Kaafir ya Fasiq kahey aur wo haqeeqat mein kaafir ya Fasiq na ho to khud kahney wala kaafir ya fasiq ho jayega
            Sahih Bukhari, Vol7, 6045*
  Ibn Umar Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki
*Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
*Jo shaksh apney (Musalman) bhai ko kafir kah kar pukarey to dono mein se ek par kufr aa jayega agar wo shaksh jisko usney pukara wo kaafir hai to khair( kufr us par rahega) warna pukarney waley par laut aayega*
*Sahih Muslim, Vol 1, 316*
____________________________
*Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
jab tum mein se koi Juma ki Namaz parh chukey to usey chahiye ki uskey baad Chaar rakaat Namaz Ada karey
Sunan Nasaii Vol1, 1429 -Sahih*
*Hazrat tameem dari Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki ki
*Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya
*Bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga
       Sunan Ibn Majah, Vol1, 1426-Sahih
______________________________
 
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS