🌹As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh🌹
🌸Bismillah hir rehma nir raheem🌸
🌾Tawaqqul aur yakeen🌾
🌈Tawaqqul ki haqikat ye hai ki apne kaam Allah ke hawale karke jayez aur shari'at ke mutabiq tadbeere ikhteyar kare ye nahi ki asbab aur tadbeere chodkar hath par hath rakh kar baithe rahe, fir tadbeer wa asbab ikhteyar karne ke baad Allah Taa'ala par bharosa aur yakeen rakhe ki wohi kaam banane wale hai; humara kaam bana denge🍁
Allah taa'ala irshad farmate hai; aur uski zaat par bharosa rakho jo zinda hai usko maut nahi🍁
SURAH AL-FURQAN::58 !!
🌈Aur Allah ne irshad farmaya ki jo shakhs Allah par bharosa rakhega to woh uske liye kaafi hai🍁
SURAH TALAQ:3
🌈Aur farmaya ki Allah hi ke oopar emaan walo ko bharosa karna chahiye🍁
SURAH IBRAHEEM:11 !!
🌈Hazrat umar (ra.) Farmate hai ki maine RASOOL ALLAH SWS ko farmate hue suna ki agar tum Allah par bharosa rakho jaisa ki bharosa rakhne ka haq hai to zarur woh tumko rizq dega jis tarha chidiyon ko rizq deta hai ki woh subah ke waqt khalu pait jati hai aur sham ko pait bhar kar lautti hai🍁
TIRMIDHI SAFHA 52
🌈Hazrat ibn e abbas (ra.) Se revayat hai ki IBRAHEEM (as.) Ko jab aag me dala gaya to unhone kaha, HASBUNALLAHO WANE'AMAL WAKEEL (Allah mere liye kaafi hai aur woh behtar karsaz hai) aur MUHAMMAD SWS ne bhi yahi kaha jab logo ne kaha ki log (kuffar) tumhare (mukable) ke liye saman ikattha kiye hue hai pus tum daro, to us cheez ne musalmano ka eman taza kar diya aur unhone kaha"Allah humare liye kaafi hai"aur wahi behtar karsaz hai 🍁
BUKHARI SAFHA 50.
Home »
» Tawaqqul Aur Yakeen
No comments:
Post a Comment