Biwi ke BadTamizi Pe Shauher ko Itminaan Se Kam lena Chahiye.
Biwi Se Hone Wale Bahut Saare Maamlaat Se Raham Dili Aur Safaqqat Ki Wajah Se Sirf Nazar'andaz Kar Dena Chahiye
Allah Tala Ka Irshad Hai
"Unke Saath Bahut Acche Tareeqe Se Ghuzar Basar Karo
Surah Nisa Ayat No. 19
Hz Anas Raz. Farmate Hain
"Maine Apne Ahal O Ayaal Ke Saath
Rasoollullah (Sws) Se Zyadah Rahem Karne Wala Kisi Ko Ni Dekha, Aapki Biwiyan Aapki Baaton Ka Jawaab Deti Aur Koi Biwi Din Se Lekar Raat Tak Aapko Chhod Deti
Rasoollullah (Sws) Se Zyadah Rahem Karne Wala Kisi Ko Ni Dekha, Aapki Biwiyan Aapki Baaton Ka Jawaab Deti Aur Koi Biwi Din Se Lekar Raat Tak Aapko Chhod Deti
Sahih Bukhari Hadith No. 2336, Sahih Muslim Hadith No, 1479
Biwi
Ka Ye Haq Banta Hai Ke Shauhar Use Apni Muhabbat Ka Ehsaas Dilaane Ki
Khaatir Uski Baatein Tawajjoh Se Sune Aur Deen Aur Murawwat Ke Daayere
Me Rahte hue Uski Izzat Kare✨
Aur Jo Uska Rishtey'dar Uske
Ghar Aaye Uske Liye Khaane Aur Peene Ka Bando'bast Karne Me Khushi Aur Raza'mandi Ka Izhaar Kare✨
Ghar Aaye Uske Liye Khaane Aur Peene Ka Bando'bast Karne Me Khushi Aur Raza'mandi Ka Izhaar Kare✨
Islam
Ne Shauhar Ke Liye Apni Biwi Ko Raazi Rakhne Aur Dil Me Jo Uski
Muhabbat Hai, Usse Badhkar Izhaar Karne Me Jhoot Ka Sahara Lene Ki
Ijaazat Bhi Di Hai
Taake Wah Apne Shauhar Ke Saath Khush Aur Raazi Rahe
Shauhar
Ko Chahiye Ke Kabhi Kabhi Gharelu Kaamon Me Uski Madad Kare, Khaas'kar
Aise Kaamon Me Jo Mushkil Aur Uske Liye Thaka'wat Ka Zariya Hon
Nabi E Kareem Sallalaho Alahi Wasallam Kabhi Kabhi Apni Biwiyon Ke Kuch Kaam Kar Dete
Amma Aisha Raz, Se Poocha Gaya Ke Nabi E Kareem (Sws) Apne Ghar Me Kya Karte They ❓
Toh Unhone Farmaya
"Aap Apne Ghar Me Baaz Pesha'warana Kaam Karte Jaise Ghar Sawaarna, Kapde Rafu Karna, Joota Marammat Karna, Doodh
Duhna
Duhna
(Musnad Ahmad jild 6/256
*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen
No comments:
Post a Comment