find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ayat al kursi ke Mutalliq Ek Wajahat.

*🔘Ayat al Kursi Ke Mutalliq Ek Wazahat🔘*

*🖊 Prepared By:Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*🖋 Romanized By: Umar Asari*

*🌐 Source:*
http://romanquranohadees.com/index.php?threads/ayat-al-kursi-ke-mutalliq-post-ki-haqeeqat.7/

Whatsapp Pe Ayat al Kursi ke mutallia Ek Message bohot zada ghoomta hai kuch uske bare me is Post me Roshni Dalne ki koshish ki gayi hai.

⭕Pahli Baat ye kahi Jati Hai ki Ayatal kursi ghar se nikalte waqt padhne se 70,000 farishtey hifazat karte hain. ❓

✔Ans: Ye baat sahih nahi hai or Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se saabit nahi hai Shaikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah Se Ghar Se Nikalte Waqt Ayatal Kursi Aur Surah Baqarah Ki Aakhri Do Aayaton Ki Fazeelat Ke Mutaliiq Poocha Gaya Toh Unho Ne Jawaab Diya: “Ye Sunnat Hi Nahi Toh Fir Kaise Hum Kahen Ki Ghar Se Nikalte Waqt Ayat al Kursi Aur Surah Baqarah Ki Aakhir Do (2) Aayaten Padhne Ke Kya Fawaid (Benefits) Hain”.

⭕Doosri baat ye Kahi Jati Hai ki Ghar mein dakhil hote waqt padhne se Mohtajgi Door hoti hai.❓

✔Ans: Ye bhi kisi Sahih Hadees se saabit nahi hai

⭕Teesri baat Ye Zikr Ki Jati Hai Ki Wuzu ke baad Ayat al Kursi padhne se 70 guna darje buland hote hain.❓

✔Ans: Is Silsile Me Ek Riwayat Milti Hai Or Ye riwayat Kuch Is Tarah Hai👇🏽
طريق مقاتل بن سليمان حدثنا فضل بن عبيد عن سفيان الثوري عن عبيد الله العمري عن نافع عن ابن عمر رفعه :من قرأ آية الكرسي على أثر وضوئه أعطاه الله عز وجل ثواب أربعين عالما ، ورفع له أربعين درجة ، وزوجه أربعين حوراء.
(مسند الفردوس و کنز العمال)
👉🏿Tarjumah: Jisne Wuzu Ke Bad Ayat al Kursi Padha Use Allah Ta'ala Chalees (40) Saal Ka Swaab Deta Hai, Uske Chalees (40) Darjaat Buland Karta Hai or Use Chalees (40) Biwiyan Hooron Mein Se Deta Hai.

👆🏽ye riwayat batil Aur mauzoo hai iski sanad mein muqatil bin sulemaan bahot mashhoor kazzab raawi hai
Islye ye hadees sahih nai hai

Imam Nasai Rahimahullah Farmate Hain: “Khurasaan Mein Maqatil bin Sulemaan Hadeesen Garhne Me Bahot Mashhoor Kazzab Hai”.

📚(Mezan al Etdaal: Jild:3 Page: 562)

⭕Chauthi baat Ye Zikr Ki Jaati Hai Ki Raat ko soote waqt Reen (3) Baar Ayat al kursi Padhoge Toh Saari Raat Allah Ki Hifazat Mein Rahoge. ❓

✔Ans: Raat Mein Sone Se Pahle Ayat al Kursi ke mutalliq bukhari me hadees milti hai wo kuch is tarah hai👇🏽
إِذَا أَوَيْتَ إِلَى فِرَاشِكَ فَاقْرَأْ آيَةَ الْكُرْسِيِّ {اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ} حَتَّى تَخْتِمَ الآيَةَ، فَإِنَّكَ لَنْ يَزَالَ عَلَيْكَ مِنَ اللَّهِ حَافِظٌ وَلاَ يَقْرَبَنَّكَ شَيْطَانٌ حَتَّى تُصْبِحَ
Tarjumah: Jab Tum Apne Bistar Par Letne Lago Toh Ayat al Kursi { اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَیُّ الْقَيُّومُ}اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ} Poori Padh Liya Karo. Ek Nigran Farishta Allah Ki Taraf Se Barabar Tumhari Hifazat Karta Rahega Aur Subah Tak Shaitaan Tumhare Paas Nahi Aa Sakega.
📚Sahih Bukhari: 2311

Is Hadees Se Raat Mein Sone Se Pahle Ayat al Kursi Ki Fazeelat Maloom Hue Lekin yaad rahe is riwayat me ye qaid nai hai ki Teen baar padhen.

⭕Paanchvi baat Ye Zikr Ki Jaati Hai Ki Agar Farz Namaz ke baad Ayat al Kursi padhoge Toh Marne Ke Baad Tumhara Ek Pair (Leg) Zameen Pe Hoga Aur Doosra Jannat Mein❓

✔Ans: Ye bhi Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam se sabit nahi hai.

Albatta Farz Namazon Ke Bad Ayatal kursi Padhne ke mutalliq ek riwayat sunan nasai mein maujood hai
Wo kuch is tarah se hai👇🏽
عَنْ أَبِي أُمَامَةَ قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ :مَنْ قَرَأَ آيَةَ الْكُرْسِيِّ فِي دُبُرِ كُلِّ صَلَاةٍ مَكْتُوبَةٍ لَمْ يَمْنَعْهُ مِنْ دُخُولِ الْجَنَّةِ إِلَّا أَنْ يَمُوتَ.

📚(عمل الیوم واللیلۃ للنسائی:100، رواه الطبراني في " الكبير" (7532) ، والروياني في " مسنده " (1268) ، وابن السني في " عمل اليوم والليلة: 124")

👉🏿Tarjumah: Abu Umamah Radhiallau Anhu Kahte Hain Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:“Jo har farz namaaz ke baad ayatal kursi padhega to use jannat mein dakhil hone se siwaye Maut ke koi cheez nahi rook sakti”.

Ye Jo Nasai ki riwayat meine zikr ki hai iske sahih Air zaeef hone me muhaddiseen ka ikhtilaaf hai Aur Allamah Albani Rahi Rahimahullah ne is riwayat ko Majmooe Turuq (مجموعى طرق) ki bina par sahih kaha hai.

❗Khatma: Ek baat last me kahna chahta hun ko Ayat al kursi ki fazeelat sahih ahadees se saabit hai.

Islye zaeef ahadees se isko jodna sahih nahi hai or agar koi aisa jan boojh kar karta hai to goya wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf jhoot mansoob karta hai.

Ek baat or Kehna chahta hu ki koi Ayat al Kursi jitni baar bhi padhna chahe or jab chahe padh sakta hai Ayat al kursi ke padhne ke liye aise waqt ya tadaad ko khaas karna (jo sahih ahadees se sabit nahi) sahih nahi hai.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS