find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Mah-E-Shaban Aur Shab-E-Barat ki Haqeeqat

Shab-E-Raat Ki HAqeeqat, Maah-E_Shaban Aur Inme Hone Wali Khurafat

 Mahe Shaban Aur Shab-E-Barat Ki Haqeeqat Aur Inme hone wali Bidda'at ki Tahqeeq..
Part 1
     Khalifa Harun Rashid Ke Daur Me Yahiya Barmaki Ne Shaba'an Ki 15 Tareeq Ki Shab Ko Masjid Me Charagaan Ki Biddat Ko ijaad Kiya....!_

Aag Jala Ne Ki Aur Charagaan Ki Biddat Ko Baramkha Ne Shuru Kiya, Kyu Ke Wo Majoosi Tha (Aag Ki Pooja Karne Wala). Jab Wo Musalman Hua Toh Usne Is Aatish Parasti Ko Islam Me Dakhil Kar Diya,
Logo Ko Ye Dhoka Dete Huye Ke Ye Bhi Deeni Tarika Hai,
Halan Ke uska Maqsad Aag Ki Pooja Thi.
(Tohfatul Ahwazi Kitabus Sayaam Tirmizi Ki Arabi Sharah)
 ... Aaj Musalman Bhi 15 Shabaan Ko Aatish-Bazi Karte Hai,
Masjido Aur Kabrastano Ko Charagaan Karte Hai. Ye Sab Amal karna Biddat Hai....
15 Shaban Ka Roza Rakhna,
Masjido Me Raat Bhar Ibadat Karna,
Halwa Aur Aamwa Akshaan ki Khane Pakana...
Masjido or Kabrastano Ko Sajana,
Kabro Ki Zyarat Karna yeh Sara Amal Quran O Hadees Se Sabit Nahi.
Lehaza yeh Amal karna HARAM hai...
Logo Ka Ye Aqeeda Hai Ke 15 Shaban Ko Taqdeer​ Ka Faisla Hota Hai,
Ye Jhoot Hai.
Ye Logo Ki Bahoot Badi Galat-Fehmi Hai or Gumrah kun Amal hai.
Taqdeer Ka.....
Yani, Rozi,Umr, Mout Wagairah Aane Wale Saal Ke Liye Faisla,
Ramadan Ki Shab-E-Qadr (Ta'aq Raaton) Me Hota Hai....!
 Daleel:....-
Hum Ne Quran Ko Mubarak Raat
(Shab-E-Qadr, Ramadan Ki Ta'aq Raaton)
Me Nazil Kiya,
Usi Raat Me Hum Tamaam Hikmat (Taqdeer) Ke Kaam Faisal Karte Hai...
⤵...(Surah Ad-Dukhan Surah No.44 Ayat No.4-5)
 ...Osaman Wo Mahina Hai, Jis Me Logo Ke Amaal Allah Ke Saam'ne Pesh Kiye Jaate Hai.
➡...Osama Bin Zaid (Ra) Se Rivayat Hai Ki Maine Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Kisi Bhi Mahine Me Itne Zyada Roze Rakhte Huye Nahi Dekha, Jitna Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Shaba'an Me Rakhte They.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:"
Ye Rajab Aur Ramzan Ke Beech Ka Wo Mahina Hai, Jis Se Log Ghaflat Ka Shikaar Hote Hain.
Shaba'an Wo Mahina Hai, Jisme Rabbul Aalameen Ke Paas Amaal Uthaye Jaate Hain,
Lihaza Mai Is Baat Ko Pasand Karta Hoon Ke Baa Halat-E-Roza, Mere Amaal Uthaye Jaye.
➡...(Sunan Nasai Jild No.2 Kitab Soum Hadees No.2378,Hasan)
Isi Mahine Me Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramdaan Ke Baad Sab Se Zyada Rozey​ Rakhte Te.
Ayesha Radi Allahu Anhu Kehti Hai:
"Jitne Nafil Roze, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Shaba'an Me Rakhte They Mai Ne Kisi Aur Mahine Me Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Is Se Zyada Rozey​ Rakhte Huye Nahi Dekha."
➡....(Sahih Al Bukhari Jild No.3 Kitab Us Soum Hadees No.1969)
♻Note...⚠
*Shabaan me Zyada Rozey Rakhna:-*
Shaban Ke Mahine Me Zyada Se Zyada Rozey​ Rakhna Chahiye, Ta'ake Humare Amaal Sunnat Par Amal Karte Huye Allah Ke Saam'ne Pesh Kiye Jaye.
❌Aaj Ummat-E-Muslimah Is Mahine Me Sunnat Par Amal Karne Ke Ba-Jaye Shirk, Biddat Aur Gunah Me Mubtila O Mulawwis Hai.....❗
Jaisa Ke Eid Ka Din Samajh Kar Mele Ke Maanind karten hain...!
Dukano, Makano, Daraqto, Kabrastano, Gharo, Chhato, Masjido Ko Sajana,
Chiragaan Karna, Qandile Roshan Karna, Barqi Qumqumey Lagana,
Aatish-Bazi Karna,
Halwe Mande Pakana, Jalse Munaqid Karna, Maqsoos Dua-Azhkaar Karna,
Halqa Lagana,
Khaas Din (15 Shaban) Ka Roza Rakhna,
Salami Roza Rakhna, Qaza-E-Umri Naam Ki Namaz Padna,
Qabrou Ki Zyarat Karna, Ijtimayi Duaein Karna, Murdo Ki Eid Manana.
Ye Sab Biddat,Gumrahi, or Haram Amal Hai
Aur Sunnat Ke Kheilaf kaam Hai.....:
  اَہلحَِدِیث کےدواُصول
*اَطیعُواللّٰه​*
  *واطیعُوالرَّسَول​

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS