*ꙮJob ki wajah se Namaz ada nahi kar paata, kya kare?ꙮ*
*❀Sawaal:❀*
Assalamu alaikum wa rahmatullahe wa barkatahu
Mera sawal ye hai ke hindustan me aksar log gair muslim ke yahan job karte hain.
Aur unko namaz padhne ki chutti nahi milti.
Kya wo namaz ki qaza padh sakte hain ya koi aur tariqa hai.
*✿Jawaab:✿*
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu
Kaam ki bina par namaz waqt se late karna jaaiz nahi, aur phir Allah Taala ka farmaan hai:
رِجَالٌ لَا تُلْهِيهِمْ تِجَارَةٌ وَلَا بَيْعٌ عَنْ ذِكْرِ اللَّهِ وَإِقَامِ الصَّلَاةِ وَإِيتَاءِ الزَّكَاةِ ۙ يَخَافُونَ يَوْمًا تَتَقَلَّبُ فِيهِ الْقُلُوبُ وَالْأَبْصَارُ۞ لِيَجْزِيَهُمُ اللَّهُ أَحْسَنَ مَا عَمِلُوا وَيَزِيدَهُمْ مِنْ فَضْلِهِ ۗ وَاللَّهُ يَرْزُقُ مَنْ يَشَاءُ بِغَيْرِ حِسَابٍ
*Tarjumah:* Aise log jinhen tijarat aur khareed o farokht Allah ke zikr se aur namaz ke qaaim karne aur zakat ada karne se ghafil nahi karti us din se darte hain jis din bohot se dil aur bohot si aankhen ulat pulat ho jayengi. Is iraade se ke Allah unhein un ke aamaal ka behtareen badla de balki apne fazl se aur kuch ziyadti ata faramye. Allah Taala jise chaahe be shumaar roziyan deta hai.
*(Surah An-Noor, Surah No: 24 Ayat No: 37-38)*
Chunancha aap ko chahiye ki apne kam kaaj ke auqaat ko munazzam karen taaki woh namaz ki adaaigi se na takraayen, aur is silsile mein apne office ke saath ittefaq karen, un se baat karen aur is ka munasib hal talaash karen, chaahe is mein aap ko mushkil aur mashaqqat bhi ho. Masalan duty ka waqt ziyada kar len. Aap ko chahiye ki is mushkil ko hal karne mein sanjeedgi se kam len, yeh mu'aamla 10 minute se ziyadah waqt nahi leta, yaani aap 10 minute mein namaz ada kar sakte hain, chunancha aap company ke saath tay kar len ki in 10 minutes ke badle duty se pehle ya baad mein aap duty anjaam denge, aur phir is ka tasawwur bhi nahi kiya jaa sakta ki aap 10 minute ki ijaazat mangen aur ijaazat na mile, aap bait ul khala jaana chahen to woh aap ko mana nahi karenge haalanki us mein 10 minute ya us se bhi ziyadah waqt lag sakta hai. Aur phir India mein aise laws bhi hain jo aqalliyat (minorities) ko apne deeni mu'amlaat aur sha'aair par amal karne ka haq dete hain, aur agar aap ke liye sab raaste tang hon aur company walon ke saath yeh mushkil hal na ho sake to aap koi aur kam talaash karen jo aap ki namaz ke auqaat ke sath ta'aaruz (takraao) na rakhe.
Allah Taala se hamaari dua hai ki hamein deen ki samajh aur achche qaul o amal ki taufeeq ata farmaaye, aur aap ke mu'aamlaat mein aasani paida farmaaye. Aameen
Wallahu A’lam.
*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------
No comments:
Post a Comment