📮 *Iqrar-Inkaar sirf Ek Baar lekin Jannat-Jahannam Hamesha ke liye Kyun❓*
🌷BismillahirRahmanNirRaheem🌷
🔹Ye ek sawal hai jo kisi ke zahen me aaskta hai ke Iman wala apne Iman ka Iqrar apni zindagi me sirf ek baar karta hai aur usi tarah ek kafir bhi Allah aur Rasool ka inkaar apni zindagi me ek hi baar karta hai lekin ek Mumeen ko hamesha ki Jannat ataa ki jayegi aur ek Kaafir ko hamesha ki Jahannam me daakhil kiya jayega. Aakhir aisa kyun?
🔹Iska jawab ye hai ke ek Mumeen ye niyyat karta hai ke hamesha ke liye yani Marte dam tak mai Islam par jam kar Rahunga aur dusri taraf Kafir bhi yehi niyat karta hai ke Mai Marte dam tak yani hamesha ke liye Kufr karta karunga.
🔹Bas apni apni Niyat ka hi farq hai.
✅ Isiliye to Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne kaha ke ....
🌷
*"Amal ka daaromadaar Niyat par hai".*
📕(Sahih Bukhari)
📝 *Ye Dars _Sheikh Jalaluddin Qasmi Hafidhullah_ ke ek bayan se liya gaya.*
💢 *Yahi Haal un 72 Jahannami Firqo ka hoga:*
🔹Upar batayi gayi baat ke mutabik hamko aur ek baat samaj me aati hai ke 73 Firqo me se jo 72 Firqe Jahannam me jayenge unki bhi yahi niyat hogi ki :
_*"HAM HAMARE GUMRAAH MASLAQ (yaani KUFR, SHIRK, BIDDAT, TAQLEED, RASM-RIWAAZ) PAR HAMESHA KE LIYE JAM KAR RAHENGE CHAHE ALLAH KA QUR'AN AUR NABI (SallallahuA'laihiWaSalla) KI HADEES HAMARE MASLAQ KE KHILAF KYUN NA AATI HO. HAM ALLAH AUR NABI KI BAAT KO TO BAHANE BANAKAR CHHOD SAKTE HAI LEKIN HAM KABHI HAMARE IMAM, HAMARE BUZRUGO AUR MASLAQ KO NAHI CHHODENGE. UNKI YAHI ZIDD UNKO JAHANNAM ME JAYEGI".*_
🔖 *KHULASA:*
*Chaliye aaj agar la-ilmi ki wajah se hamare andar koi gumrahi ya kami maujud ho isme koi buri baat nahi hai lekin hamari niyat ye hona chahiye ke jab bhi mujhe haq ya sahih daleel mil jayegi to mai apne gumrahi se tauba karunga. Warna gumrahi par date rahne ki zidd hamko jahannam me lejaasakti hai.*
🔹🔹🔹 _*Allahu Aalam Bis-Sawab.*_
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
No comments:
Post a Comment