Jin Jin Ko Ye Log Allah ke Siwa pukrte hai Kya Wo Inki kuch Madad Kar Sakte hai ??
ḀḶ QṳRḀṆ
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم*
*وَ یَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ مَا لَا یَضُرُّہُمۡ وَ لَا یَنۡفَعُہُمۡ وَ یَقُوۡلُوۡنَ ہٰۤؤُلَآءِ شُفَعَآؤُنَا عِنۡدَ اللّٰہِ ؕ قُلۡ اَتُنَبِّئُوۡنَ اللّٰہَ بِمَا لَا یَعۡلَمُ فِی السَّمٰوٰتِ وَ لَا فِی الۡاَرۡضِ ؕ سُبۡحٰنَہٗ وَ تَعٰلٰی عَمَّا یُشۡرِکُوۡنَ*
Aur ye log Allah ke siwa aisi cheezon ki ibadat karte hain jo na un ko zarrar pahoncha saken aur na un ko nafa pahoncha saken*
Aur kehte hain ke ye Allah ke paas hamare sifarshi hain
Aap keh dijiye ke kya tum Allah ko aisi cheez ki khabar dete ho jo Allah Ta"ala ko maloom nahi na aasmanon me aur na zamin me wo pak aur bartar hai in logon ke shirk se
Al Quran Surah Younus 10. Aayat 18,*
*قُلِ اللّٰہُ یُنَجِّیۡکُمۡ مِّنۡہَا وَ مِنۡ کُلِّ کَرۡبٍ ثُمَّ اَنۡتُمۡ تُشۡرِکُوۡنَ*
Aap keh dijiye ke Allah hi tum ko in se nijat deta hai aur har ghum se tum phir bhi shirk karne lagte ho
Al Quran Surah Anaam 6. Aayat 64,*
*اِنَّ اللّٰہَ لَا یَغۡفِرُ اَنۡ یُّشۡرَکَ بِہٖ وَ یَغۡفِرُ مَا دُوۡنَ ذٰلِکَ لِمَنۡ یَّشَآءُ ؕ وَ مَنۡ یُّشۡرِکۡ بِاللّٰہِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلٰلًۢا بَعِیۡدًا*
Usse Allah Ta"ala qatan na bakshega ke us ke sath shareek muqarrar kiya jaye
Haan shirk ke ilawa gunah jiss ke chahe moaf farma deta hai
Aur Allah ke sath sharik karne wala bahot door ki gumrahi me jaa padha
Al Quran Surah Nisa 4, Aayat 116,
No comments:
Post a Comment