find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Insaan ko kabhi Mayus Nahi Honi Chahiye.

Ummid ki Khushi
 
Insaan ko ummid ke Sahare Saber o Himmat se kam lena chahiye.jo log Musibat me bhi Ummid ka Daman Hath Se jane Nahi Dete Unhein Hi kamyabi Milti hai.Mayus Nakami ki Sbse Bari Wajeh Hai. Ummid darasal ek mufid jazba hai,jo hamari zindagi ko kamayab banane ka zariya hai.yeh Mashaib-o-takaleef me Hmko Tassalli Deti Hai Aur Aage badhne me hamari madad karti hai.Balke Bahut Door-Daraaj ki khushiyan Ummid ki Badaulat Nehayat Kareeb Najer aati hai. Ummid hi Sahara bn ker hamari hausla Afzai karti hai,hm mushkil tarin khaaiyan taeiye (तय) karne ke liye aamada ho jate hai. Ummid ki Wajeh se hi Insaan Nek-w-farmabardar Aur Bahadur Banker Ubherta hai. Darasal Ummid Aasman ki weh Raushani hai jo Bhatke Hue Musafir ko Rah Dikhati Aur Aage Badhne ka Hausala Deti Hai.  Yeh Ummid hi hai ke Ek Musibat Jadda Maa (Mother) ko God (गोद) ke Bachha ko Parwarish karne Par Aamada Karti Hai. Us Maa ko Ummid hui hai ke Meri Aankhon ke Noor Se Mere Dil ko Suroor Hasil Hoga. Jab wahi Bachha Bra Ho ker Apne Ache Karname Dikhane Lagta hai To Us waqt Ummid ki Khushiyan DUBALA ho jati hai.
Dushwar Gujar Marhla Me Jab hm khyal sathi bhi Sath Nahi Dete hai to Us Waqt sirf Ummid hi Sahara ban ker humare dil ko Tasalli ka zariya hoti hai. Wah ummid hi hai jo Hamari jismani Takleef ko kam karti hai Aur Aage Badhne Ka Hausla Ata Karti Hai. Isliye Insaan ko kabhi bhi Mayus Nahi honi chahiye.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS