📮 *Allah Insan ko Marne ke baad fir se kaise zinda karega?*
💠Qur'an wa Hadees ka ek bada hissa Aakhirat ko bayan karta hai aur Imaan ke buniyadi Arkaano (hisso) me se ek aham Arkaan *AAKHIRAT* par Iman lane ka hai.
💠Ek Musalman ko isme bilkul shak nahi hona chahiye ke Murdo ko Allah Qayamat ke Din fir se kaise zinda karega. Waise bhi Alhamdulillah, har Muslim is baat par Imaan rakhta hai ke Allah zarur ba zarur hamko Qayamat ke Din zinda karega.
💠Aaj Science aur Technology ne is baat ko samajne ke liye bilkul asaan kar diya hai ke Maut ke baad insan kaise zinda kiya jayega.
💠Is baat ko ham ek misal se zariye samajne ki koshish karte hai.
◼Jab bhi ELECTRICITY/CURRENT chala jata hai to saari Machineries (मशिने) aur Electronic Devices OFF hojaate hai lekin ELECTRICITY SUPPLY aane ke baad fir se ssari Machineries ON ho jaati hai.
◼Iska matlab ye huwa ke MACHINERIES aur ELECTRONIC DEVICES ke liye ELECTRICITY ek tarah se ROOH ki tarah kaam karti hai.
◼Jab tak Current supply ON hai DEVICES ZINDA yani ON STATE me hai aur jab Current Supply chala jata hai DEVICES MURDA HO JATE hai yani OFF STATE me chale jate hai.
💠Isi tarah Allah ke liye ye kaam kya Mushkil hai ke maut ke waqt INSAN ke JISM se uski ROOH ko nikal le aur ek muddat ke baad Qayamat ke Din fir se ROOH ko Insan ke Jism me daal de taake Insan zinda hojaye.
☑ Allah is baat ka PRACTICAL DEMO diya hai apne Dost Ibrahim (Alayhissalam) ko aur ek dusre bande ko. Wo ayatein dekhiye is tarah hai:
🌷
أَوْ كَٱلَّذِى مَرَّ عَلَىٰ قَرْيَةٍۢ وَهِىَ خَاوِيَةٌ عَلَىٰ عُرُوشِهَا قَالَ أَنَّىٰ يُحْىِۦ هَٰذِهِ ٱللَّهُ بَعْدَ مَوْتِهَا ۖ فَأَمَاتَهُ ٱللَّهُ مِا۟ئَةَ عَامٍۢ ثُمَّ بَعَثَهُۥ ۖ قَالَ كَمْ لَبِثْتَ ۖ قَالَ لَبِثْتُ يَوْمًا أَوْ بَعْضَ يَوْمٍۢ ۖ قَالَ بَل لَّبِثْتَ مِا۟ئَةَ عَامٍۢ فَٱنظُرْ إِلَىٰ طَعَامِكَ وَشَرَابِكَ لَمْ يَتَسَنَّهْ ۖ وَٱنظُرْ إِلَىٰ حِمَارِكَ وَلِنَجْعَلَكَ ءَايَةًۭ لِّلنَّاسِ ۖ وَٱنظُرْ إِلَى ٱلْعِظَامِ كَيْفَ نُنشِزُهَا ثُمَّ نَكْسُوهَا لَحْمًۭا ۚ فَلَمَّا تَبَيَّنَ لَهُۥ قَالَ أَعْلَمُ أَنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَىْءٍۢ قَدِيرٌۭ
*"ya us shakhs ke maanind ki jiska guzar us Basti (Goan) ki par hua jo chhat ke bal aundhi padi hui thi wo kahene laga uski Maut ke baad Allah Ta'ala use kis tarah zinda karega? to Allah Ta'ala ne use (yani us aadmi ko) maar diya sau (100) saal ke liye phir use uthaaya, pucha kitni muddat tujh par guzri? kahene laga ek din ya din ka kuch hissa, farmaaya balke tu sau saal tak raha, phir ab tu apne khaane pine ko dekh ke bilkul kharaab nahi hua, aur apne ghade (donkey) ko bhi dekh hum tujhe logo ke liye ek nishaani banaate hai tu dekh ke hum haddiyo ko kis taraah uthaate hai phir un par gosht chadaate hai jab ye sab zaahir ho chuka to kahene laga mai jaanta hoon ke Allah Ta'ala har cheez par Qaadir hai".*
📕(Surah 02 Baqrah : 259)
وَإِذْ قَالَ إِبْرَٰهِۦمُ رَبِّ أَرِنِى كَيْفَ تُحْىِ ٱلْمَوْتَىٰ ۖ قَالَ أَوَلَمْ تُؤْمِن ۖ قَالَ بَلَىٰ وَلَٰكِن لِّيَطْمَئِنَّ قَلْبِى ۖ قَالَ فَخُذْ أَرْبَعَةًۭ مِّنَ ٱلطَّيْرِ فَصُرْهُنَّ إِلَيْكَ ثُمَّ ٱجْعَلْ عَلَىٰ كُلِّ جَبَلٍۢ مِّنْهُنَّ جُزْءًۭا ثُمَّ ٱدْعُهُنَّ يَأْتِينَكَ سَعْيًۭا ۚ وَٱعْلَمْ أَنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌۭ
*"Aur jab Ibrahim ne kaha ke aye mere parvardigaar! mujhe dikha tu murdo ko kis tarah zinda karega? (Jawab me Allah ta'ala ne) farmaaya kya tumhe Imaan nahi? Jawaab diya imaan to hai lekin mere Dil ki taskeen (tasalli) ho jayegi, (Allah ne) farmaaya Chaar parinde lo unke tukde kar daalo phir har pahaad par unka ek-ek tukda rakh do phir unhe pukaaro tumhaare paas daudte huye aa jayenge aur jaan rakho ke Allah Ta'ala ghaalib aur hikmato waala hai."*
📕(Surah 02 : Ayat 260)
🔹🔹🔹 *Allahu Aalam Bis-Sawab.*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
🖌 *Published by :*
_*Roman-Urdu Islamic Blog*_
💫 *SIRF - _Salsabiil Islamic Research Foundation._*
💚 *May Allah accept our this small effort and May keep us away from RIYA.*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦••••
No comments:
Post a Comment