find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aakhari Dua Bhi Qabool Hogi.

Aakhari dua bhi qubool hogi 

 Us ka naam doctor Ahmad tha aur wo apne mulk ka maroof doctor tha - loog usse check up karwane aur mashwara lene ke liye kafi intezaar karte the - us ki shohrat badhti chali gai - uske mulk ke aik bade shaehr me aik International medical conference hone jarahi thi jisme ose bhi dawat digai - doctor Ahmad ki khidmat ke peysh e nazar faisala howake wo us conference me maqala padhega aur ose aizazi sheld aur certificate bhi diya jayega - doctor Ahmad apne ghar se airport ki taraf rawana howa - aaj wo bahot khush aur pur sukoon tha - aaj shaam ose khusosi takriim aur izzat se nawaza jayega,ye sooch kar wo aur zeyaadah khush hojata - airport par mamool ki checking ke baad fauran hi wo hawai jahaz me sawaar hogaya aur uski flight schedule ke mutabiq parwaaz kargai - koe aadha Paun ghante ke Baad air hostess ki awaaz sunai di - wo e^laan karrahi thi : muazzaz hazraat ! Ham mazirat chate hain ke plane me fani kharabi ki waja se majboor hokar ose qaribi airport par utara jaraha hai - hamare paas iske siwa koe charah kaar nahi - flight begair kisi mushkil ke qaribi airport par utar gai - musafir jahaz se utarkar lounge me chale gai - doctor Ahmad bhi dosre musafiron ke saat jahaz ke durust hone ka intezaar karne laga - thodi deyr ke baad Airport Authority ne e^laan kiya ke kharabi durust hone ka fauri imkaan nahi - musafiron ko dosre jahaz ke aane tak intezaar karna hoga - Naya jahaz kab aayega kisi ko ilm na tha -  phir koch deyr baad e^laan howa ke dosra jahaz kal hi aasakta hai - ham is zehmat ke liye mafi chate hain -
Doctor Ahmad ke liye ye e^laan nihayat takleef dah aur chunka dene wala tha - aaj ki raat uski zindagi ki bahot eham raat thi - wo kai hafton se iska muntazir tha - uski takriim hone wali thi - wo kursi se utha aur Airport Authority ke ek aala officer ke paas ja pohncha - ose apna taruf karwaya aur kaha ke : mai International level ka doctor hoon - mere ek ek mint qiimti hain - muhje aaj raat fala shaehr me maqala padhna hai - pori dunya se mandobiin us seminar me shirkat ke liye aaye howe hain aur aap loog hame aise kehrahe hain - officer ne Jawaab diya : mohtaram doctor Sahab ! Ham aap ki izzat aur qadr karte hain - hame aap ki aur dosre musafiron ki mushkilaat ka baqobi amdazah hai - lekin ye hamare bas ki baat nahi aur na hi naya taiyara farham karna meri zimidari hai - al batta wo shaehr jaha aap ko conference me shirkat ke liye Jana hai zamini raaste se sirf tiin ya chaar ghante ki dori par hai - agar aap ko bahot jaldi hai to airport se kiraye par gadi hasil kare aur khud drive karte howe wa pohnch jaye -
Doctor Ahmad lambi driving pasañd na karta tha - magar majbori thi iske paas koe dosre raasta bhi nahi tha - isne officer ke mashware ko pasañd kiya aur car kiraye par lekar us shaehr ki janib rawana hogaya - isne koch hi faasla tai kiya tha ke achanak mausam kharaab hona shuruu hogaya - aanan faanan badalon ne aasmaan dhaanp liya - teyz aandhi chalne lagi - deykhte hi deykhte zordaar barish shuruu hogai - andhera cha gaya aur aahista aahista wo raah se bhatakne laga - uski gadi ka ruq kisi galat simt mudgaya - mausam ki kharabi ki waja se ose andazah hi na hosaka ke wo khidar jaraha hai - do ghante ki musalsil driving ke baad ose yaqiin hogaya ke wo raasta se bhatak Chuka hai -
Bhook aur thakawat ka ehsaas bhi ose satane laga - uske paas khane pine ki koe khaas cheez bhi nahi thi - mehfooz thikane ki talaash me uske dil wa dimaag par sawaar thi jaha khane pine ki koe cheez mil sake - waqt tezi se guzarta chala gaya aur raat ka andhera pehlna shuruu hogaya - wo aik chote se gaun ke paas se guzra aur apni gadi aik mamoli se ghar ke saamne rok di - uska haat ghar ke darwaze par tha aur wo ose khatkhata raha tha - andar se aik bhodi auart ki kamzoor aawaaz uske Kano me padi jo kehrahi thi : beta jo bhi ho andar aajau darwazah khula hai - doctor Ahmad ghar me dhakil howa to deykha ke aik budhi auart aik kursi par baithi hai - doctor Ahmad ne kaha : Ammi ji ! Mere mobile ki battery khatam hochuki hai - kya aap ka mobile istemaal karsakta hoon ? Bhudi auart muskorakar kehne lagi : bete ! Koun se mobile ki baat karrahe ho ; sahed tumeh maloom nahi ke tum kaha ho - hamare yaha bijhli hai na telephone,ye to aik chota sa gaun hai jaha sehri saholaton ka ko tasawwur nahi hai -
Mere bete ! Wo saamne meyz par khana rakha hai - lagta hai ke tum bhoke aur pyase ho - raasat bhatak gai ho - tum pehle khana khalo phir baat karte hain - tumhare Safar bhi khasa taweel hai - doctor Ahmad ne bhudi khatoon ka shukriya ada kiya aur khane par toot pada - safar ki thakawat ke saat ose shadiid bhook bhi satarahi thi - acahanak bhudi ki kursi ke saat wali chaar payi par harkat hoyi aur aik masoom ne rona shuruu kardiya, bhudi auart ne us bacche ko thapak kar sula aur ose duain dena shuruu ki - wo us bacche ki sehat aur salamati ke liye lambi lambi duain karrahi thi - doctor Ahmad ne khana khaya aur khatoon se kehne laga : amma jaan aap me akhlaaq,wa karam aur meyzbani se mera dil jeet liya hai - aap lambi lambi duain maang rahi hai hain - muhje umeed haike Allah ta ala ne aap ki duain zaroor qubuul karega -
Mere bete ! Wo bhudya boli : mere Allah ne hamesha meri duain suni aur qubuul ki hain - bas aik dua baqi hai jo mere kamzoor iimaan ki waja se pori nahi hoyi - tum musafir ho,dua karo ke wo bhi qubuul hojaye -
Doctor Ahmad ko shauk paida howa,kehne laga : Ammi jaan wo koun si dua hai jo qubuul nahi hoyi - aap muhje apna kaam bataye Mai aap ke bete ki tarah hoon - in sha Allah ose zaroor karonga - aap ki khwaish ka pora pora ehteram karonga -
Wo Khatoon kehne lagi : mere aziz bete ! Wo dua aur khwaish mere apne liye nahi balke is yatiim bacche ke liye hai jo mere puta hai - iske maa baap faut huchuke hain aur ose haddiyon ki aik biimri hai jiske waja se ye chalne phirne se mazoor hai - maine iske bahot ilaj karwaye hain - bade bade doctoron ke paas lekar gai hoon - magar tamaam itba is ke ilaj se aajiz aagai hain - logo ne mashwara diya haike *us mulk me Ahmad Naam ka aik doctor hai* jo is marz ke ilaj ka maher hai uski shurat dur dur tak hai - wo bada mana howa surgeon hai jo iska operation karsakta hai,magar wo to yaha se bahot dur rehta hai - is tak pahunchna koe aasaan kaam to nahi -
Tum mere halat deykh rahe ho Mai Umar rasidah hoon - kisi waqt bhi bulawa aasakta hai - muhje ye fikr khaye jarahi hai ke mere baad is bache ki parwarish koun karege,is liye Mai har waqt Allah ta ala se dua karti hoon ke wo koe sabab paida karde ke mai is bache ko doctor Ahmad ke paas lejakar ilaj karwasakon - ho sakta hai ke is yatiim bache Ko doctor Ahmad ke haton shifa miljaye -
Doctor Ahmad apne jazbaat pe qabo na rakh saka uski aankhe bhiig chuki thi - rundhi aawaaz me usne kaha : amma jaan ! Mere taiyara kharaab howa - phir khuub tofaan aaya,aandhi aur barish aayi - Allah ta ala ne mujhe gher kar aap ke ghar bheyj diya - *aap ki aaqri dua bhi qubuul hochuki hai -* Allah rabbul izzat ne aise asbaab muhya farmadiye hain ke doctor Ahmad khud chal kar aap ke ghar aaya hai - ab Mai aap ke pute ka Allah ne cha ha to pori mehnat aur tawajje se ilaj karonga -

*Qarine ikraam ! Maine ye waqiya mauso qasas me padha - maine ispar bahot gaur kiya ke ye shaehr koun sa hosakta hai ? Mere apne andaze ke mutabiq doctor Ahmad " Riyaaz " se " abaha " ke liye rawana howa aur jahaaz kharaab hone ke Baad ose galiban taif ke airport par utaar liya gaya - wallahu alam,(writer,Abdul Malik mujahid)*
*Agar likhne me koch galti ho to usko sahi kare !*
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS