find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jisey Aulad Na ho Rahi Ho Toh kya Kare?

🔘Jisay Aulaad Na Ho Rahi Ho Woh Kya Karey🔘

🖊Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

🖋Romanised By: Umar Asari

Jab Kisi Ko Aulaad Honay Mein Takheer (Late) Ho Jaye Ya Usay Aulaad Nahi Ho Rahi Ho To Wo Bechain Ho Jata Hai, Aur Aulaad Ke Liye Jayez or Najayez Ka Farq Mita Kar Kuch Bhi Karney Ko Raazi Ho Jata Hai Aur Anjaam Bhi Deta Hai. Chunanche Aisay Logon Se Mutalliq Badi Ajeeb o Ghareeb Dastaan Sunney Ko Milti Hain.
Yahan Aik Ahem Sawal Paida Hota Hai Ke Aik Sachchey Momin Ka Aisi Halat Mein Kya Muaqif Hona Chahiye?

1⃣ Sab Se Pehlay To Yeh Aqeedah Zehan Mein Rasikh Karey (Means Yeh Aqeedah Zehan Mein Bitha Le) Ke Bachchon Ki Paidaish Ka Talluq Allah Taala Ki Mashiyyat (Chahat) Se Hai, Is Ke Barey Mein Allah Taala Ne Quran Majeed Mein Wazeh Farmaya Hai:
لِّلَّهِ مُلْكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضِ ۚ يَخْلُقُ مَا يَشَآءُ ۚ يَهَبُ لِمَن يَشَآءُ إِنَٰثًا وَيَهَبُ لِمَن يَشَآءُ ٱلذُّكُورَ
أَوْ يُزَوِّجُهُمْ ذُكْرَانًا وَإِنَٰثًا ۖ وَيَجْعَلُ مَن يَشَآءُ عَقِيمًا ۚ إِنَّهُۥ عَلِيمٌ قَدِيرٌ
Tarjuma: Aasmanon Ki Aur Zameen Ki Saltanat Allah Taalaa Hi Kay Liye Hai, Woh Jo Chahta Hai Paida Karta Hai Jis Ko Chahta Hai Betyian Deta Hai Aur Jisay Chahta Hai Betay Deta Hai.
Ya Inhein Jama Ker Deta Hai Betay Bhi auyr Betyian Bhi Aur Jisay Chahey Baanjh Kar Deta Hai, Woh Badey Ilm Wala Aur Kamil Qudrat Wala Hai.
📓Surah Shura, Surah No: 42  Ayat No: 49 and 50

2⃣ Jab Yeh Aqeedah Pukhta Ho Jaye Ke Aulaad Ka Mukammal Taur Par Ikhtiyar Allah Ke Paas Hai. To Miyan Biwi Dono Ko Chahiye Ke Allah Taala Ke Samnay Girgira Kar Naik Aulaad Ka Sawal Karen, Aur Poori Giryaa Zaari Kay Saath (Means Ro Kar Or Girgira Kar) Zikr o Dua Mein Mashgool Rahen.
Aisay Logon Ke Barey Mein Allah Taala Ney Quran e Kareem Mein Farmaya:
وَ الَّذِیۡنَ یَقُوۡلُوۡنَ رَبَّنَا هَبۡ لَنَا مِنۡ اَزۡوَاجِنَا وَ ذُرِّیّٰتِنَا قُرَّۃَ اَعۡیُنٍ وَّ اجۡعَلۡنَا لِلۡمُتَّقِیۡنَ اِمَامًا
Tarjuma: Aur Yeh Dua Kertay Hain Kay Aye Hamarey Parwsrdigar! Tu Humein Hamari Biwiyon Aur Aulaad Say Aankhon Ki Thandak Ata Farma Aur Hamein Parhezgaron Ka Paishwa Bana.
📓Surah al Furqan, Surah No: 25  Ayat No: 74

3⃣ Agar Miyan Biwi Mein Se Kisi Aik Mein Koi Bimaari Hai, Jis Ki Wajah Se Is Mehroomi Ka Saamna Hai To Jayez Tareeqa Ikhtiyaar Kartey Hue Adwiyaat (Medicines) Ka Sahara Liya Ja Sakta Hai, Jaisa Ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
عَنْ أُسَامَةَ بْنِ شَرِيكٍ قَالَ قَالَتْ الْأَعْرَابُ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَلَا نَتَدَاوَى قَالَ نَعَمْ يَا عِبَادَ اللَّهِ تَدَاوَوْا فَإِنَّ اللَّهَ لَمْ يَضَعْ دَاءً إِلَّا وَضَعَ لَهُ شِفَاءً أَوْ قَالَ دَوَاءً إِلَّا دَاءً وَاحِدًا قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ وَمَا هُوَ قَالَ الْهَرَمُ
Tarjuma: Osama Bin Shareek Radhiallahu Anhu Kehtey Hain: Aarabiyon (Bedouins) Ne Poocha: Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya Hum (Bimariyon Ka) Ilaaj Karen? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Haan, Allah Ke Bandoo ! ilaaj Karo, Is Liye Ke Allah Taala Ne Jo Bemari Paida Ki Hai Us Ki Dawa Bhi Zaroor Paida Ki Hai, Siwaye Aik Bemari Ke, Logon Ne Arz Kiya: Aye Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Woh Konsi Bemari Hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Budhapa (Old Age).
📚Sunan Tirmidhi: 2038 and Sunan Abi Daud: 3855
❗Is Hadees Ko Sheikh Albani Rahimahullah Ne Sahih Qarar Diya Hai.

Aik Doosri Hadees Hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ  " مَا أَنْزَلَ اللَّهُ دَاءً إِلاَّ أَنْزَلَ لَهُ شِفَاءً ".
Tarjuma: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Kehtey Hain Ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Allah Taala Ne Koi Aisi Bemaari Nahi Utari Jiski Dawa Bhi Nazil Na Ki Ho.
📚Sahih Bukhari: 5678

3⃣ Ho Sakta Hai Allah Taala Ne Us Ke Liye Aulaad Ka Aik Waqt Muqarrar (Fix) Kiya Ho Aur Wo Jald Baazi Se Kaam Le Raha Ho. Ya Allah Taala Usey Aulaad Ki Nemat Se Mehroom Karkay Duniya o Akhirat Ki Beshumaar Nematon Se Nawazna Chahta Ho.
Beharhaal! Kuch Bhi Ho, Har Haal Mein Allah Taala Par Kaamil Bharosa Rakhen Aur Us Key Hikmat Bharay Faislon Par Mukammal Sabar Karen Aur Yeh Yaqeen Rakhen Ke Allah Taala Ne Us Ke Liye Is Nemat Se Mehroomi Par Sabr Karney Ki Wajah Se Ajr e Azeem (Bohot Bada Ajr) Rakha Howa Hai.

5⃣ Isi Tarah Logon Ke Halaat e Zindagi Aur Masail Mein Gaur o Fikr Karna Chahiye, Ke Kuch Logon Ko Burey Aulaad Ke Zariye Aazmaish Mein Dala Gaya, Jin Ki Wajah Se Unki Zindagi Ajeeran Ho Gayi, Aur Kuch Logon Ko Mazoor Aulaad Ke Zariye Aazmaish Mein Dala Gaya, Aur Ab Woh Bohot Tangi Ki Zindagi Mein Hai, Bilkul Usi Tarah Aisay Walidain Ko Bhi Dekhen Jo Apni Nafarmaan Aulaad Ki Wajah Se Pareshan Hain, Is Liye Allah Taala Apne Momin Bandey Ke Liye Wahi Pasand Karta Hai Jo Uskey Liye Behtar Ho, Jaisay Ke Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
عَنْ صُهَيْبٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم  عَجَبًا لأَمْرِ الْمُؤْمِنِ إِنَّ أَمْرَهُ كُلَّهُ خَيْرٌ وَلَيْسَ ذَاكَ لأَحَدٍ إِلاَّ لِلْمُؤْمِنِ إِنْ أَصَابَتْهُ سَرَّاءُ شَكَرَ فَكَانَ خَيْرًا لَهُ وَإِنْ أَصَابَتْهُ ضَرَّاءُ صَبَرَ فَكَانَ خَيْرًا لَهُ
Tarjuma: Suhaib Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Momin Ka Maamla Taajjub Khaiz (Ajeeb) Hai Ke Sirf Momin Ka Har Maamla Khair Se Bhar Poor Hota Hai, Agar Usay Khushi Miley To Shukr Karta Hai, Jo Us Ke Liye Behtari Ka Baais (Sabab) Hai, Aur Agar Usay Takleef Pahunchey To Sabr Karta Hai, Aur Yeh Bhi Us Key Liye Khair Ka Baais (Sabab) Hai.
📚Sahih Muslim: 2999

🌻Allah Taala Hamein Apney Faislay Par Raazi Rakhay. Aameeen🌻

🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹
-------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS