📮 *NABI KO HUZUR (SALLALLAHUA'LAIHIWASALLAM) kahena kaisa hai?*
📗15-05-1439 H.
🌀 Bahot sare Musalman Pyare Nabi Muhammad (SallallahuA'laihiWaSallam) ko *HUZUR (SallallahuA'laihiWaSallam)* kahte hai lekin iske pichhe bahot badi gumrahi ka ek Raaz chhupa huwa hai.
🌀Musalmano ki ek badi tatad Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ki maut ko taslim nahi karte balke unka kahena hai ke Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) har jagah maujud hai.
🌀Isi Aqeede ke Mutabik ye log Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ko *HUZUR (SallallahuA'laihiWaSallam) kahte hai.*
🌀 *Huzur* ka matlab hota hai *"HAAZIR","Maujud"*
Jisko English me *"Present"* kaha jata hai.
🌀Yani jo log Nabi ko Huzur (SallallahuA'laihiWaSallam) kahte unka kahena hai ke Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) *"har Jagah Maujud hai"*.
🌀 Lekin Quran aur sahih Hadees kaheti hai ke Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ko maut aani thi aur unki maut ho chuki hai.
🌀 Waise bhi Qabr me har Nabi zinda hota hai lekin qabr wali zindagi ko *"BARZAKH ki zindagi"* (unseen life) kaha jata hai. Duniya ki zindagi se Barzakh wali zindagi bilkul alag hoti hai. Ek baar jo Insan BARZAKH me chala jata hai uska RISHTA (connection) is Duniya se cut ho jata hai.
🔹🔹🔹 *Allahu Aalam Bis-Sawab.*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
🖌 *Published by :*
_*Roman-Urdu Islamic Blog*_
💫 *SIRF - _Salsabiil Islamic Research Foundation._
No comments:
Post a Comment