*AssAlaMu AlaIkum Wa*
*RahMatUllAhi Wa*
*BarAkaTahu*
___________________________
*Bismillahirrhamannirrahim*
*Kasam ko puri karna ya phir uska kaffara Ada karna jaruri hai*
*Allah Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhey naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhey tum pukhta (mazbut ) kar detey ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darjey ka khana khilana hai jo tum apney ghar walo ko khilatey ho ya 10 miskino ko kapdey dena ya Ek Ghulam Aazd karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke rozey rakhey ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum kasam kha lo ( aur usey tod do) aur tumhey chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo , Allah Subhanahu isi tarah tumharey liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo*
*AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89*
*Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki*
*Abu Bakr Radi Allahu Anhu kabhi bhi apni kasam nahi todtey they yahan tak ki Allah Subhanahu ne kasam ke kaffarey ki aayat nazil ki, us waqt unhoney kaha ki ab agar main koi kasam kahaunga aur uskey siwa koi cheez bhalaii ki hogi to main wohi kaam karunga jsimein bhalaii hogi aur kasam ka kaffara ada kar dunga*
*Sahih Bukhari, 6621*
_____________________________
*“Deen-E-Islam ki Batein Islamic Group”
No comments:
Post a Comment