Dargaah-Parst Mushrikin aur Ibrahim (Alayhissalam) ke zamane ke Kafiro me koi farq nahi hai.
وَهَٰذَا ذِكْرٌۭ مُّبَارَكٌ أَنزَلْنَٰهُ ۚ أَفَأَنتُمْ لَهُۥ مُنكِرُونَ
"Aur ye nasihat wa barkat wala Qur'an bhi hum hi ne naazil kiya hai, kya phir bhi tum iske Munkir (inkaari) ho."
وَلَقَدْ ءَاتَيْنَآ إِبْرَٰهِيمَ رُشْدَهُۥ مِن قَبْلُ وَكُنَّا بِهِۦ عَٰلِمِينَ
"Yaqinan Hum ne is se pahle Ibraheem ko uski samaj-boojh baqshi thi aur hum uske ehwaal se ba-khoobi waaqif the"
إِذْ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوْمِهِۦ مَا هَٰذِهِ ٱلتَّمَاثِيلُ ٱلَّتِىٓ أَنتُمْ لَهَا عَٰكِفُونَ
"Jab ke usne apne Baap se aur apni khaum se kaha ke ye murtiyaan jin ke tum mujaawer bane baithe ho, kya hai?
قَالُوا۟ وَجَدْنَآ ءَابَآءَنَا لَهَا عَٰبِدِينَ
"Sab ne jawaab diya ke hum ne apne Baap-Dada ko inhee ki ibaadat karte huye paaya"
قَالَ لَقَدْ كُنتُمْ أَنتُمْ وَءَابَآؤُكُمْ فِى ضَلَٰلٍۢ مُّبِينٍۢ
"Aap ne kaha (yani Ibrahim ne kaha)! phir to tum aur tumhaare baap dada sabhi yaqinan khuli gumraahi me mubtela rahe"
(Surah 21 Ambiya: Ayat 51-54)
Allahu Aalam Bis-Sawab.
No comments:
Post a Comment