find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Rishtedaro ko hmne kya diya aur Rishtedaron ne hme kya diya.

📮 *Rishtedaaro ko hamne kya diya aur Rishtedaaro ne hame kya Diya❓

🔹Shariyat ne Rishtwdaari katne se saqt mana kiya hai lekin kya ham apne Rishtedaari ka haq adaa kar rahe hai?

🔹Aaj Rishtedaari ka matlab ke sirf Shadi-biha aur Maut ke waqt dusre ko yaad karna hota hai.

🔹Lekin aaj ham apne Rishtedaaro ke Deen aur unki Aakhirat ko lekar laparwah nazr aate hai.

🔹 *Aaj hamare Rishtedaar Kufriya aur Shirkiya Aqeedo me, Bidat me aur Rasm-Riwaaj me dube huye hai.* Lekin kya hamne kabhi apne Rishtedaaro ko Jahannam ki Raah se bachane ki koshish ki hai ? Aur kya ham apne Rishtedaaro ko Jannat ki Raah par laaane ki koshish ki hai?

🔹Kya ham apne Rishtedaaro ko *Tawheed aur Itteba-e-Rasool* ki taraf bulaya hai? Kya aap apne Rishtedaaro me paaye jaane wale Gumrahiyo ki islaah karne ki koshish ki hai?

🔹Kya aap nahi chahte ke is Duniya me ki tarah Jannat me bhi apke saare Rishtedaar apne sath rahe ?

🔹Hamko Jannat sirf aur sirf *Tawheed aur Itteba-e-Rasool aur Salaf ke Raaste par chalne se hi hasil ho sakti hai.*

🔹Haqiqi taur par yaani Akhirat me apni Rishtwdaari ko Baqi rakhna chahte ho to apne Rishtedaaro ko *KUFR, SHIRK, BIDAT se bachne ki aur Allah aur Rasool ki itebah ki taraaf Sabr ke sath dawat dete rahe.* Hamara kaam sirf Haq ki Dawat pahucha dena aur Allah ka kam Hidayat ata karna hai.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS