find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam me talaq ka masla

ISLAM ME TALAAQ KA MASLA

1Talaaq Quran Majeed Ki Roshni Mein
Jin aurato ko talaaq di gayi ho wo teen haiz aaney tak apne aapko rookey rakkhey. aur unke liye ye jayez nahi hai k Allah ta'ala ne unke raham mein jo kuch khalk kiya hai use chipaaye unhe hargiz aesa nahi karna chahiye agar wo Allah aur yaum e aakhirat par emaan rakhti hai agar unke shohar taalluqaat durust kar lene par aamaada ho to wo is iddat k doraan mein unhe phir apni zojiyat mein wapas lene k haqqdaar hai, aurato k liye ye bhi maroof tareeqey par wese hi huqooq hai jese mardo k un par, albatta mardo ko unpar darja hasil hai aur Allah ta'ala sab par gaalib hai aur hikmat wala hai.
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 228)
✏*Yeh tallaqen do martaba hain phir ya to achai say rokna ya umdagi kay sath chor dena* aur tumhen halal nahi kay tum ney unhen jo dey diya hai uss mein say kuch bhi lo haan yeh aur baat hai kay dono ko Allah ki hudood qaeem na rakh sakney ka khof ho iss liye agar tumhen darr ho kay yeh dono Allah ki haden qaeem na rakh saken gay to aurat rehaee paney kay liye kuch dey dalay iss mein dono per gunah nahi yeh Allah ki hudood hain khabardar inn say aagay na barhna aur jo log Allah ki haddon say tajawuz ker jayen woh zalim hain.
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 229)
Comment* : In ayaat se wajah hota hai ke Talaq ka waqt “Teen haiz* hai nake teen second.
2⃣ Doraan e Haiz Aurat Ko Talaaq Dena Gair Masnoon hai
✏*Aey nabi! jab tum apni biwiyon ko talaaq dena chahao to unn ki iddat mein unhen taalaq do* aur iddat ka hisab rakho aur *Allah say jo tumhara perwerdigar hai dartay raho na tum enhen inn kay gharon say nikalo aur na woh  ( khud )  niklen* haan yeh aur baat hai kay woh khuli buraee ker bethen yeh Allah ki muqarrar kerda hadden hain jo shaks Allah ki haddon say aagay barh jaye uss ney yaqeenan apney upper zulm kiya tum nahi jantay shayad iss kay baad Allah Taalaa koi naee baat peda ker dey.
(Surah Talaq Surah no. 65 Ayat no. 1)
✏Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai talaaq e masnoon ka tareeqa ye hai k aadmi halat e tahar mein jima k bagair talaaq de.
(Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1640)
3⃣Baik Waqt (Ek Saath) Teen Talaaqey Dena
✏Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaney mein aur Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu k zamana e khilafat mein aur Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu k zamana e khilafat mein do saal tak *baik waqt di gayi teen talaaqey ek hi shumaar ki jaati thi*, Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne kaha "*Jis cheez mein loogo ko (soochne samajhne k liye) mohlat di gayi thi loogo ne us baarey mein jald-baazi se kaam lena shuru kar diya hai* (jo khilaaf e sunnat hai) *lihaza* ayindah hum (saza k taur par) baik waqt di gayi teen talaaqo ko teen hi nafiz karengey" chunanchey (uske baad) Hazrat E Umar Razi Allahu Anhu ne apna faisla naafiz farma diya.
(Sahih Muslim Kitabut Talaaq)
*Comment* : Baik Waqt Teen Talaaqey Dena Khilaaf E Sunnat Hai,Baik Waqt Teen Talaaqey Dene Se Ek Hi Talaaq Hoti Hai (Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne Apne Ahad E Khilafat K Kuch Arsa Baad Baik Waqt Di Gayi Teen Talaaqo Ko *Saza K Taur par* Ek Hi Naafiz Karaya tha)
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS