Ramadhan se mutalliq baaz ghalat fehmiyon ka izaala
Part: ⓵
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Islamic Dawah Centre - Taif
Islamic Dawah Centre - Taif
Romanised By: Umar Asari
Ramadhan se mutalliq logon mein kayi ghalat fehmiyan paayi jaati hain. Chand ghalat fehmiyon ka izaala is mukhtasar se mazmoon mein kiya jaa raha hai taaki un baton ki haqeeqat hamein pehle se maloom rahe aur apne alawah doosron ko bhi un se aagah karen:
*➊* Ramadhan ka isteqbaal karne ki koi makhsoos dua ya koi makhsoos tareeqa nahi hai aur na hi isteqbaal e Ramadhan mein us se ek do din pehle roza rakhna saabit hai balki mumani’at ki Hadees aayi hai.
*➋* Ramadhan ka chaand dekhna har ek ko zaroori nahi hai, kuch ne dekh liya to kaafi hai, isi tarah qabil e aitemaad khabron ke zariye Ramadhan ke chaand ka suboot milne par roza rakha jaayega.
*➌* Logon ke andar yeh ghalat fehmi hai ke roza rakhne ki koi makhsoos dua hai jabki aisi koi baat nahi balki roza rakhne ke liye sirf niyat ki zaroorat hai jo sehri khaane se pehle pehle kisi bhi waqt kar sakte hain aur sehri khaana masnoon hai.
*➍* Kuch log yeh sochte hain ke roze ki haalat mein ihtehlaam hone se roza toot jaata hai. Is wajah se agar kisi ko din mein ihtehlaam ho jaaye to apna roza tod leta hai jo ke bahut badi ghalati hai. Ihtehlaam se roza nahi toot-ta. Ihtehlaam hone par bus ghusl kar le.
*➎* Kuch log yeh sochte hain ke janabat yani napaaki ki haalat mein sehri nahi khayi jaati. Yeh bhi ghalat hai. Napaaki ki haalat mein bhi sehri khaa sakte hain albatta Fajr se pehle ghusl kar le taaki jamaat se Fajr ki namaz padh sake.
*➏* Roze ki haalat mein biwi se jimaa’ (hambistri) karna mana hai. Hansi mazaaq karna, bosa lena jaaiz hai lekin shart yeh hai ke jimaa’ mein waaqe’ hone ka khatra na ho. Raat mein biwi se jimaa’ kar sakte hain.
*➐* Roze ki haalat mein aurat apne bachche ko doodh pila sakti hai is se roza nahi toot-ta hai. Haamla aur doodh pilaane waali aurton ko roza rakhne se bachche ko ya khud ko nuqsan na ho to woh roza bhi rakh sakti hain.
*➑* Baghair namaz ada kiye bhook piyaas bardasht karne waale samajhte hain ke hamara bhi roza sahih hai jabki namaz ki adaigi na karne waale ka koi amal qabool nahi hoga. Haan baghair taraweeh padhe roza durust hai magar chunki Ramadhan mein qiyam-ul-lail ka sawaab bahut hi ziyadah hai is liye taraweeh ka bhi khaas ehtimaam karna chahiye.
*➒* Ramadhan mein agar koi shadi karna chaahe to koi harj nahi, roze ki halat mein biwi se hambistri mana hai, raat mein ijazat hai.
*➓* Roze mein baghair taqat waala injection, kaan aur aankh mein drops istemaal kar sakte hain isi tarah kam asar waala paste bhi istemaal kar sakte hain. Yeh amal raat tak mu’akhkhar kar le to behtar hai albatta naak mein drops daalne ke mutalliq ikhtilaaf hai use bhi raat tak mu’akhkhar kar liya jaaye to ziyadah behtar hai.
*⓫* Roze ki haalat mein ajnabi ladki se baat kar li ya film dekh liya, gana sun liya, taash khel liya ya cricket waghera mein waqt barbaad kar diya to in baaton se roza nahi toot-ta magar ajnabi ladki se baat karna, film dekhna aur gaana sunna haraam hai aur yeh na sirf Roze ki haalat mein mana hain balki aam dino mein bhi mana hain aur waqt ko barbaad karne waale kaamon masalan taash aur cricket waghera se bachna behtar hai taaki faraiz aur waajibaat ki adaaigi mein kotaahi na ho. Agar yeh kaam shart wala ho to haraam hai.

*☘To be continued In sha Allah...
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
No comments:
Post a Comment