BIDA’T KA MAA’NA WA MAFHOOM
▶Bida’t ka lughavii wa istelahi maa’na
✏Bida’t ka lughavi maa’na: Ijaad o ihdaas ke hain. Yani koi aesi nayi baat paida karna jis ki pehle se koi asal na ho, ye adaat me bhi hota hai aur deen me bhi hota hai.
▶Bida’t ki istelahi tareef:
✏Deen me koi aesi nayi baat paida karna jis ke liye shariat me asal na ho.
▶Bida’t ka hukm
✏Deen me bida’t haram hai, kyunke deen me usi tareeqe ki pairvi zaruri hai jo Allah ke Rasoolصلى الله عليه وسلم ne jari kiya hai, iske baad deen me kisi nayi baat ki gunjaish nahi hai.
ℹDaleel: Nabiصلى الله عليه وسلم ne farmaya:
✏Jis ne deen me koi aesi chiz aejaad ki jo us me nahi hai, to wo mardood hai.” [SAHIH MUSLIM: 3/1343:1718]
▶Ibtedaa’ aur eejaad ki qismein
✏Ibtedaa’ aur eejaad ki do qismein hain.
Aadat me ibtedaa’ aur eejaad: Jaise nayi nayi eejaadaat aur ye jayez hai isliye ke aadat me asal ibahat hai yani har chiz jayez hai, illa ye ke nas use najayez kah de.
Deen me nayi nayi chizen eejaad karna: Ye haram hai is liye ke deen ye tawqeefi hai, yani Allah ki janib se hai.
▶Deen me bida’t ki qismein
✏Deen me bida’t ki do qismein hain.
Aesi bida’t jis ka taalluq qaol o aeteqad se hai jaise jehmiya, mutazila, rafiza aur deegar gumrah firqon ke aqwal o aeteqadat.
Ibadaton me bida’t jaise Allah ki parastish gair mashroo’ ibadat se karna.
▶Bida’ton ke zuhoor ke asbab
✏Bida’ton ke zuhoor ke asbab mundarjah zel hain.
〽Deeni ahkaam se la ilmi wa jahalat.
〽Khwahishat ki payrvi.
〽Makhsoos logon ki raaye ke liye taa’ssub baratna.
〽Kuffar ki mushabahat aur unki taqleed.
〽Khwahishat ki payrvi.
〽Makhsoos logon ki raaye ke liye taa’ssub baratna.
〽Kuffar ki mushabahat aur unki taqleed.
Taken from....: Sahi Islami Aqidah book
No comments:
Post a Comment