find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jume ke Din ki Ahmiyat O Fazilat.

*☘JUMAH KI AHMIYAT AUR FAZAILAT QURAN AUR HADEES KI ROSHNI MEIN☘*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*بِسْمِ الْلّٰهِ الْرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم*

*يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ إِذَا نُودِىَ لِلصَّلَوٰةِ مِن يَوْمِ ٱلْجُمُعَةِ فَٱسْعَوْا۟ إِلَىٰ ذِكْرِ ٱللَّهِ وَذَرُوا۟ ٱلْبَيْعَ ۚ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌۭ لَّكُمْ إِن كُنتُمْ تَعْلَمُونَ*

1⃣Al Quran : Aye Imaan Walon ! Jab Jumaa Ke Din Namaz Ke Liye Azaan Di Jaye to Allah ke Zikr Ki Taraf Jaldi Se Aa Jao Aur Kharid Wa Farokht (Business) Chhodh Do, Tumhare Liye Yahi Baat Behtar Hai Agar Tum ilm Rakhte Ho.

*📕Al Quran [Surah Al Jumah (62), Ayat : 9]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*2⃣Rasoollallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

" Tumharey Tamam Dino Mein Jumaa Ka Din Sabse Afzal Hai Ki is Din Hazarat Aadam αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ko Paida kiya Gaya  Aur usi Din unki Rooh qabz ki Gayee Aur isi Din Soor Phunka Jayega Aur isi din Sab Behosh hongey isliye is Roz (Juma ko) mujh par Ziyada se Ziyada Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durud Padhna Mujh Par Pesh Kiya Jata Hai,

Logon ne Kaha Ya Rasoollallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Hamara Durood Padhna Aap Par kis Tarah Se Pesh Hoga Jab ki Aap to Mitti ho Gaye Hongey ❓

To Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya Allah ta'ala ne Anbiya Karam ke Jism (Body) ko Mitti Par Haram kar Diya Hai.

*📚[Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees: 1035 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*3⃣Hazrat Abu Hurairah radiAllahu anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:-*

"Jab Jumaa ka Din Aata Hai To Farishtey Masjid Ke Darwazey Par Aaney Walon Ka Naam Likhtey Hain Sab Se Pahley Aane Wala Oont (camel)🐪 ki Qurbani Dene Waley Ki Tarah Likha Jata Hai, uskey Baad Aaney Wala Gaay (cow) 🐄ki Qurbani deney Waley ki Tarah Phir Maindey (sheep) 🐑 ki Qurbani ka Sawab Milta Hai, uskey Baad Murgi🐓 (chicken) ka, uskey Baad Andey (egg) ka Lekin Jab Imam (khutba Dene ke liye) Bahar Aa Jata Hai to ye Farishtey Apne Daftar Band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.

*📚[Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees: 929]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*4⃣Hazrat Salman Farsi radi Allahu anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jisney Jumaa Ke Din Ghusal Kiya  aur Khub Paki Hasil ki aur Tel (oil) Ya khushbu istemal ki Phir jumaa ke liye chala Aur Do Aadmiyon 👥 ke beech mein (Saff) Na Ghusa aur jitni uski kismat mein thi Namaz Padhi Phir  jab Imaam bahar Aaya aur Khutbah Shuru kiya to khamosh ho gaya, uskey is Jumah Se guzrey (past) Jumaa tak ke tamam gunaah bakhsh diye jayengey.

*📚[Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees: 910]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*5⃣Hazrat Ibn Abbas radiAllahu Anhu Se Riwayat  hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Ye din (Jumaa) Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko Aata farmaya hai, isliye jo Jumaa ke liye Aaye to ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum Par Miswak bhi hai.

*📚[Sunan ibn Majah, Vol 1, Hadees : 1098-Hasan]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*6⃣Hazrat Abdullah bin Umar radiAllahu Anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne apney minbar par se irshaad farmaya:-*

Logon ko Namaz Jumaa tark karney (Chhodh deney) se baaz rahna chahiye nahi to Allah ta'ala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen Mein ho Jayengey.

*📚[Sunan An Nasai, Vol 1, Hadees : 1373 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*7⃣Hazrat Anas bin Malik radiAllahu Anhu se Riwayat  hai ki asool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jo Shaksh Mujh Par Ek Martaba Durood Bhejega To Allah Subhanahu Us Par 10 Martaba Rahmat Bhejega Aur Uskey 10 Gunaah Maaf Hongey Aur 10 Darajaat Buland Hongey."

*📚[Sunan An Nasaii, Vol1, Hadees : 1300 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*8⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jumah Ke Din Mujh Par Zyada Se Zyada Darood Bhejo, Kyu Ki Tumhara Darood Mujh Tak Pahunchaaya Jata Hai."

*📚[ Sunan e Abu Dawood : 1047 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا*

_*```👉TARJUMAH*_```
Beshak ! Allah Aur uske Farishte Rasool Par Durood Bhejte Hain, Monino ! Tum bhi Rasool Par Durood Aur Salaam bhejte Raha karo.

*📕Al-Quran Surah Ahzab No : 33 Ayat  No : 56*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

_*📌DUROOD IBRAHIM*_

*👈🏿اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ .إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ*

*_👉Alla Huma Salli Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin Kamaa Sallaita Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid._*

_*👉TARJUMAH*_
Aye Allah ! Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Aur Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ki Aal Par Rahmatein Naazil Farma Jis Tarha Tune Ibraheem αℓαyнє ѕαℓℓαм Aur Ibrahim αℓαyнє ѕαℓℓαм Ki Aal Par Rahmaten Nazil Keen, Yaqeenan Tu Buzrugi Waala Qabil-e-Ta'reef Hai.

*👈اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ .إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ*
*👉Allahumma Baarik Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin Kamaa Baarakta Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.*

_*👉🏾TARJUMAH*_
Aye Allah ! Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Aur Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ki Aal Par Barkaten Nazil Farma Jis Tarha Tune Ibraheem αℓαyнє ѕαℓℓαм Aur Ibrahim αℓαyнє ѕαℓℓαм Ki Aal Par Barkatein Nazil Keen, Yaqeenan Tu Buzrugi Waala Qabil-e-Ta'reef Hai.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*9⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya :-*

Behtareen din, Jis per suraj nikal ker chamke, Jumah ka din hai, Isi din Adam αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Paida hue, Isi din Jannat me dakhil kiye gaye, isi din Jannat se zameen Par Utaare Gaye, or Qayamat bhi Juma ke din qayam hogi"

*📚[ Sahih Muslim : 854 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*🔟RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jo shaks Jumah ka din khub achi tarah ghusul kare, or Paidal masjid me Jaye, imam ke Najdiq hokar Dil laga ker khutba sune aur koi bekar baat na kare, to usko her qadam per ek saal ke roze aur uski Raato ke Qiyaam ka sawaab milega

*📚[ Jam e Tirmizi : 495 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣1⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Jumah ka khutba de rahe the ki*

Ek shaks (Salik Gitfani R.Z) masjid me Aye, aur do rakat (Nafil) namaz padhe bina baith gaye, Nabi e Kareem (sallallahu alaihi wa sallam) ne pucha Kya tumne do rakat Nafil (Tahiyatul Masjid) namaz padhi hai ❓

Usne arz kiya Nahi Ya RasoolAllah ﷺ Aap Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya Khade ho jao or do rakat nafil (Tahiyatul Masjid) namaz padhker baitho"

*📚[ Sahih Bukhari : 930-931 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣2⃣ RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαмJumah ka khutba de rahe the ki*

Ek shaks Logon ki Gardane falaangta huwe (logon ko hata ker unke upar se) hua Aage Aane laga, to Aap ne yeh dekhker farmaya: 'Baith Jao ❗ Tumne logon ko takleef di aur der lagai hai"

*📚[Sunan e Abu Dawood : 1118 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣3⃣ RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jumah ke din Mujh Par zyada se zyada darood bhejo, kyu ki tumhara darood mujhtak Pahunchaaya jata hai

*📚[ Sunan e Abu Dawood : 1047 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣4⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jab tum Jumah ke baad Namaz Padhna chaho to 4 rakat (2-2 se) sunnat ada karo (masjid me)

*📚[ Sahih Muslim : 881 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣5⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм*

Jumah ki namaz ke baad koi namaz nahi padhte the, yahan tak ki apne ghar Aate aur do rakat (Sunnat) padhte"

*📚[ Sahih Bukhari : 937 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣6⃣Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Juma ke din har balig ke leye ghusl zarori hai.

*📚[ Sahih al-Bukhari 879 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣7⃣Abu hurairah radhiyallahu anhu se riwayat hain ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Ke jab tone apni sati se juma ke din kaha ke khamoos reh, Aur imaam khutba padh raha ho to tone lagu kaam kiya.

*📚[ Sahih al-bukhari : 934 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣8⃣Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:-*

Jo musalmaan juma ke din ya juma ke raat inteqaal karjaye, Allah subhana watala ose Azaab e qabar se mahfooz rakeh ga.

*📚[Jami` at-Tirmidhi 1074 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*👉Jumuah ki Raat Surah Al-kahaf Padhni ki Fazilat*

*1⃣9⃣Abu Saeed Khudri radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jis Ne Jumah ki raat Surah kahaf Padhi uske Aur baitullah ke darmiyan noor ki roshni ho jati hai.

*📌NOTE* : Jumerat ko Magrib ke baad se Juma ki raat shuru ho jati hai)

*📚Saheeh Al-Jaami, 6471,*
*📚 Sunan Al-Daarimi, 3407*
*📚Sahih Al Baihiqi, Subbul Iman, 2231-Hasan*

*🤲Allah Ta'ala Se Dua Hum Sab Ko Haq Baat Sune Aur Samaj Kar Amal Ki Taufeeq De Aameen Summa Aameen !*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Ek waswsa Shaitan Jab Har Har jagah Aakar Logon ko Bahka Sakta Hai to Nabi Sallallahu Alaihe Wassallam Har Jagah Haazir-O-Naazir Kyu nahi Ho Sakte Hai?

           *EK WASWASA : Shaytan Agar Har Jagah Aakar Logon Ko Behka Sakta Hai To Kya Nabi sallallaho Alayhi Wasallam Har Jagah Haazir O Nazir Nahi Ho Sakte❓*


*بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ*


Al-jawab Tamam duniya ko behkane ke liye ek hi shaytan mutayyan nahi kiya gaya hai balke har insaan ke sath jinno mein se ek qareen ( saathi ) paida kiya jata hai jo usey zindagi bhar behkata aur gumraah karta hai .
*Abdullah bin Masood Razi Allah anhu bayan karte hain ke Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :-*
“Tum mein se har ek Aadmi ke sath uska jinn saathi muqarrar kiya gaya hai sahaba karaam ne arz Kya Aap sallallaho alaihi wasallam ke sath bhi Aye Allah ke Rasool ❓
Aapne farmaya haan mere sath bhi magar Allah ne mujhe is par madad farmai to woh musalman ho gaya pas woh mujhe neki hi ka hukum karta hai.
*( Sahih Muslim 7108 )*
Aur aisha Razi Allah anha ki rivayet mein hai ke har insaan ke sath shaytan hai. ”
*( Muslim aizan )*
*▪▫▪Quran kareem mein Allah Rab ul izzat ka irshad pak hai :*
▫▫”( qayamat ke din ) us shakhs ka saathi ( shaytan ) kahega “Aye hamare parvar-digaar maine usey sarkash nahi banaya tha balke yeh khud door ki gumraahi mein pada hua tha“
*Surah Qaaf Ayat No 27*
Shaytan Azam ( iblees ) akela yeh kaam nahi karta balke woh doosre shayateen ko us maqsad ke liye bhejta hai taake woh logon ko gumraah karen aur fitnah mein mubtila karen .
*Jabir Razi Allah anho bayan karte hain ke Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :*
“Iblees apna takht pani ke Oupar bichhata hai phir apni faujon ( shayateen ) ko hukum deta hai ke woh logon mein jaakar unhen gumraah karen aur fitnah daalen. Iblees ki is jamaat mein adna sa shaytan woh hai jo intehaa darjey ka fitnah purdaaz hota hai un mein se ek shaytan wapas Aakar iblees se kehta hai ke maine aisa aisa kaam
Kiya woh kehta hai tune kuch nahi kiya uske baad ek shaytan Aata hai aur kehta hai ke maine ek shakhs ka peecha us waqt tak nahi chhoda jab tak uske aur uski biwi ke darmiyan tafarraqa na daal diya.
*Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :*
Yeh sun kar iblees usko qareeb kar leta hai aur kehta hai ke tune bohat achcha kaam kiya .
*Aamish Rahimahullah kehte hain*
Ke mera khayaal hai ke Jabir Razi Allah anho ( hadees ke Ravi ) ne yeh alfaaz bhi kahe “ke iblees usey seene se laga leta hai.”
*( Sahih Muslim Aizan)*
Is wazahat se maloom hua ke akela iblees ( Azam ) yeh sara kaam nahi karta balke uske razakaar shaytan aur lashkar ye kaam sar-anjaam dete hain, lehaza sawal mein jo daawa kiya gaya hai woh ghalat hai.
*Raha yeh daawa ke Rasool sallallaho alaihi wasallam har jagah haazir o Nazir hain to yeh daawa bhi quran o ahadees ke sara sar khilaaf hai.*
Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam na to Ghaib ka ilm jante the aur na hi hazir o nazir hain.
Allah Ta’ala ne Aap ko jab aur jis waqt chaha wahi ke zariye agaah farma diya aur jab tak wahi nazil na hoti to Aap us baat se bilkul be khabar rehte the .
*Allah taala ka irshad pak hai :*
▫▫”Aap ( sallallaho alaihi wasallam ) keh dejiye ke mein tum se yeh nahi kehta ke mere paas Allah ke khazane hain ( yani Allah ke khazanon ka maalik mai nahi hun ) aur na mai ghaib jaanta hun aur na mein tum se yeh kehta hun ke mai farishta hun. Mai to sirf us wahi ki ittebaa karta hun jo meri taraf ki jati hai.
*Surah Al-Anaam Ayat : 50*
Allah Ta’ala ne Aap sallallaho alaihi wasallam se ilm ghaib ki wahi farma di aur sath hi yeh bhi bayan kar diya ke Aap sirf wahi ke tabedaar rahen, wahi Aajane ke baad hi Aap ghaib ki khabren dete the.
La-ilm mazare ka Sigha hai yani mai ghaib nahi jaanta, mai ghaib nahi jaanunga ( matlab mein na to ab ghaib jaanta hun aur na aindah jaan sakoonga ) nez Allah ke khazanon ka bhi mai maalik nahi hun, mein ganj bakhsh nahi hun aur na hi mai noori ( farishta ) hun ilm Ghaib Sirf Aur Sirf khaasa Rab Aalameen hai .
*Allah taala ka farmaan hai :*
▫▫”Aap ( sallallaho alaihi wasallam ) keh dejiye ke Aasman walon aur zameen walon mein koi bhi ghaib nahi jaanta siwaye Allah Ta’ala ke aur inhen to yeh bhi maloom nahi ke woh kab uthaye jayenge.”
*Surah Namal : 65*
*❕❕Aqeedah Hazir o Nazir ke bare mein bhi chand ayaat mulahiza hon :*
▫▫”Aur jab humne Moosa ki taraf hukum bheja to tum ( toor ki ) gharb ki taraf nahi the aur na us waqiye ke dekhne walon mein the.
Lekin humne ( Moosa ke baad ) kayi ummaton ko paida kiya phir unpar muddat taweel guzar gayi aur na tum Madyan walon mein rehne wale they ke un ko hamari ayate padh padh kar sunaate the.
Haan hum hi to paighambar bhejne wale the. Aur na tum us waqt jab ke humne ( Moosa ko ) Aawaz di toor ke kinare the balke ( tumhara bheja jana ) tumahare parvar-digaar ki Rehmat hai Taake tum unn logon ko jin ke paas tum se pehle koi hidaayat karne wala nahi Aaya hidaayat karo taake woh naseehat pakden.
*Surah Qasas Ayat :44-46*
Aap Allah Ta’ala ke sachhey Nabi hain is liye Allah Ta’ala ney guzishta ke waqiyaat Aap ko ba-zariya wahi bata diye hain warna un waqiyaat ke zahoor ke waqt Aap un maqamaat par mojood nahi the.
Aur Allah Ta’ala aisa na karega Inn me Aap Ke Hote hue inko Azaab de aur Allah inko azaab na dega is halat me ke wo istighfaar bhi karte hon.
*Surah Anfaal : 33*
Maloom hua ke Nabi sallallaho alaihi wasallam ki maujoodgi ki wajah se logon par azaab nahi Aa sakta. Ab chunke Aap maujood nahi hain is liye tarah tarah ke Azaab nazil Aa rahe Hain.
▫▫Jab tum inme ho aur inke liye namaz khadi karo………..
*Surah Nisa : 102*
is Aayaat se maloom hua ke Nabi sallallaho alaihi wasallam jab maujood hon to Aap hi logon Ko Namaz padhayenge aur ab chunke Aap maujood nahi hain is liye doosre imam logon ko Namaz padha rahe Hain.
*is silsila mein mazeed hawalaat ke liye mulaheza farmayen,*
*Surah Yousuf Ayat 102,*
*Hood Ayat 49,*
*Al Imran Ayat 44,*
Waghera agar Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ko haazir o nazir maan liya jaye to phir meraaj aur hijrat ke tamam waqiyat baatil qarar paate hain.
Meraaj mein Nabi sallallaho alaihi wasallam Macca se baytul muqdas tashreef le gaye ( dekhiye Surah Bani israeel Aayat 1 ) aur Phir Aap Zameen Se Aasman aur sidratul muntaha tak tashreef le Gaye.
*( Dekhiye Surah Najam ayaat 13 – 18 )*
Yani jab Aap masjid aqsa tashreef le Gaye to Phir Aap Macca Mein maujood na they aur jab Aap Aasmano par tashreef le gaye to zameen par maujood na they isi tarah jab Aap madinah tashreef le gaye to Aap Macca mein mojood na they halaan ki mushrikeen Macca Aap ko sargarmi se talaash kar rahe they.
To maloom hua ke hazir o nazir ka aqeedah ahel islam ka nahi balke chaudhween sadi ke mushrikeen ka ijaad kardah hai.
*( ⚠Tanbeeh :* Shaytan mardood ke ilm waghairah ka zikar, Nabi sallallaho alaihi wasallam ke sath karna Aap sallallaho alaihi wasallam ki Gustaakhi hai.

          Allah Ta’ala apne pyare Nabi sallallaho alaihi wasallam Ki Gustaakhi Se Har Musalman Ko Bachaaye. Ameeen )


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Share:

Jume Ke Din Khaas Roza Rakhna kaisa Hai?

*📮JUME KE DIN KHAAS ROZA RAKHNA KAISA HAI❓*

_________________________________

          *🍃بسم اللہ الرحمٰن الرحیم 🍃*

Abu Hurairah Radiallahu Anhu se hadees hai ke woh bayan karte hain ke maine Nabi sallalaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna : tum mein se koi bhi sirf jume ka roza na rakhe illah ye ke ek din is se pahle ya ek din is se baad.

*📚Sahih Bukhari Hadees Number : (1849)*
*📚Sahih Muslim Hadees Number. (1929)*
_________________________________

*🍃▫Aur Imaam Muslim Rahimullah ne apni Sahih muslim mein Abu Hurairah Radiallahu anhu se bayan kiya hai ke woh farmate hain ke nabi sallalaho alaihi wasallam ne farmaya :-*

jume ki raat(thursday) ko baaqi raton se qiyam(praying) ke liye khaas na karo aur jume ko baaqi dino se roze(fast) ke liye khaas na karo illah(unless) ye ke woh tumahre rozon ke darmiyan Aajaye .

*📚Sahih Muslim Hadees Number (Al Siyam : 1930 )*
___________________________________

*🍃▫Aur sahi bukhari mein hai ke Juwairia Bint Haris Radiallahu anha bayan karti hain ke*

Jume Ke din Nabi sallalllaho alaihi wasallam mere paas Aaye to mein roze se thi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya kya tune kal roza rakha tha❓

to woh kehne lagi nahi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya to achha kya kal roza rakhne ka iradah hai ❓

to woh kehne lagi nahi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya : roza tod do. Aur woh kehti hain ke Hammad bin jaad ne Qatadah se suna inhone kaha ke mujhe Abu Ayub ne hadees bayan ki ke Juwairia Radiallahu anha ne bataya ke nabi sallallaho alahi wasallam ne inhen hukum diya to inhone roza tod diya.

*📚Sahih Bukhari Hadees Al-Siyaam :  1930 )*
___________________________________

*🍃🛑Ibn Qudaima Rahimullah bayan karte hain ke :*

Akela jume ka roza rakhna makrooh hai illah (unless) ye ke agr koyi roza rakhta ho to ye is ke mawafiq Aajay maslan : 1 shakhs ek din roza rakhta aur ek nahi rakhta hai (means alternate days) to iska roza wala din jume ke mawafiq Aajaye .

aur is tarah agar kisi ki yeh aadat ho ke woh har mahine ke pehle ya akhiri din aur ya fir mahine ke darmiyan mein roza rakhta ho .

*📗Al-Mughni Ibn Qudaima Jild No : 3 Safa Number : 53*
___________________________________

*🍃▫Khulasa▫🍃*

Malum hua ke jume ko khas roza rakhna mana hai.Lekin usse ek din pahle ya ek din baad sath me milakar rakhe to wo roza jayez hoga .

Ya agar wo kinhi dino me hamesha roza rakhta ho maslan mahine ke pahle din wo rakhta ho aur juma usi din pad jaye to bhi ye roza jayez hoga lekin khaskar ke jume ko roza rakhna Nabi Sallallaho alaihi wasallam ne mana kiya hai.

🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Nawafil Nmaz Ki Fazilat.

*اَلْسَّــــلَاْمْ عَلَيْــــكُمْ وَرَحْــــمَةُ الْلـّٰهِ و َبَرَكَــــاْتُهُ*

*✮┣ l  ﺑِﺴْــــــــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   l ┫✮*
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔         
*💢 Nawafil Namaz Ki Fazilat*

🔆 Hazrat Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн ﷺ​*_ ne farmaya _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ farmata hai Jisne mere kisi wali se Dushmani ki use meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda jin jin ibadato se Mera Qurb hasil karta hai  (yani mere kareeb Aata hai un me se) koi ibaadat mujhko us se ziyada pasand nahi hai jo maine us par farz ki hai ( jaise Namaz Roza , Hajj , Zakat..) 

🔆 Mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki mai usse Muhabbat karne lag jata hu phir jab mai usse Muhabbat karne lag jata hu to,

*🔆Mai uska Kaan (ear) ban jata hu jisse wo sunta hai,*
*🔆Uski Aankh ban jata hu jisse wo dekhta hai ,*
*🔆Uska haath  ban jata hu jisse wo pakadta hai ,*
_*🔆Uska paaw (leg) ban jata hu jisse wo chalta hai.*_

🔆 Aur agar mujhse maangta hai to mai use deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to mai usko Mehfooz rakhta hu Aur mai jo kaam karna chahta hu usme mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apne momeen bande ki Jaan nikalne me hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta.
_*📚Sahih Bukhari: 6502*_

Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa.
*┅┅┅━━══•••¤((۞))¤•••══━━┅┅┅*
●•●┄─┅━━━★✰★━━━┅─┄●•●
  

Share:

Shadi Ke Liye Ladke walo ki Taraf Se Ladki ki Intikhab ki Rasham ki Haqeeqat jo Aaj hmare Muashare me Aam Ho Chuki Hai.

لڑکوں کے نام!!!👇👇👇۔۔
معذرت کے ساتھ،تلخ حقیقت۔۔۔!!! پلیز ایک بار ضرور پڑھنا
ایک کڑواسچ اور ﺍﯾﮏ درخواست....
ہمارے معاشرے میں اپنے بیٹے یا بھائ کے لئے جب شادی کے لئے رشتہ ڈھونڈا جاتا ھے تو
لڑکی کی خوبصورتی
لڑکی کی شرافت
لڑکی کے کام کاج
لڑکی کا رہن سہن
لڑکی کی تعلیم
لڑکی کا خاندان
لڑکی کا جہیز
لڑکی کا جائیداد میں حصہ
لڑکی کی پیدائش سے اسکی جوانی تک کی ھسٹری جن کی گواہی شرط
اور لڑکا کے لئے صرف اسکی نوکری ہونا ہی بہت ھے نہ شکل و صورت اہم نہ کردار اہم ، نہ چال چلن اہم ، نہ اسکے دوست احباب اہم
نہ اسکا گھر والوں سے رابطہ تعلق اہم
نہ اسکے عشق معاشقے اہم ، بس
ایک نوکری اسکے 100 عیبوں پر پردہ ڈال دیتی ھے
اور المیہ یہ ھے کہ
کسی کی بیٹی بہن کے گھر جب دیکھنے جاتے ہیں تو پہلے کہلوا بھیجتے ہیں کہ لڑکی دیکھنے آ رھے ہیں وہاں لڑکی کے دل پہ کیا گزرتی ھے
جو دل و دماغ میں مرتی تڑپتی دعائیں مانگتی سوچتی پاگل ہوتی ھے کہ
کیا ہوگا ،؟
میں پسند آوں گی یا نہیں ؟
پسند نہ آئی تو لوگ کیا کہیں گے ؟
پسند آ بھی تو وہ لوگ کیسے ہوں گے ؟
وہ لڑکا کیسا ھوگا جیسے ھزاروں سوالات
اور
اوپر سے جہالت یہ کہ لوگ کسی کی بہن بیٹی کو بلاتے ہیں
انکو چلنے کا کہا جاتا ھے جیسے منڈی میں بھیڑ بکریوں کو کچھ قدم چلا کر پسند کیا جاتا ھے
اسکے کمرے کو جاکر دیکھتے ہیں انکے گھر کھا پی کر اور واپس ایک میسج بھیج دیتے ہیں
معاف کرنا ہمیں لڑکی پسند نہیں !!
اف
ایسے لوگوں کو تیل کی گرم کڑھائ میں ڈال دینا چاھئے
ظالمو
ایک نہیں 10 بار رشتہ نہ کرو پر
وہاں لڑکی دیکھنے کسی بہانے سے بھی جایا جا سکتا ھے
جب تک پسند نہ آئے رشتے کی بات نہ کیا کرو
وہ لڑکی ھے فرشتہ نہیں ؟ پری نہیں ؟
ایک سادہ سی معصوم سی انسان ھے
جس کے کچھ جزبات ھیں ۔ کچھ خواب ھیں
اسکی بھی کوئی عزت نفس ھے ۔
خدارا اپنے چاند سے بیٹوں کے لئے پریاں ضرور ڈھونڈیں
پر
کسی کی بہن بیٹی کو عیب لگا کر نہین
کسی کی آہ لے کر نہیں
کسی کی بددعا لے کر نہیں ۔
اچھی اور غریب لڑکیوں کو اپناو
تاکہ
آپکے سبب کسی معصوم کی زندگی ہی سنور جائے ۔
اللہ پاک
سب بہن بیٹیوں کے نصیب انکی سوچ سے زیادہ خوبصورت لکھ دے
آمین

🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙
یہ کسی کتاب سے نہیں لی گئی ہے بلکے اپنی طرف سے آپ سب کو اطللاع کی گی ہے لہحاجا  اس کی دلیل کی تللاش میں اپنا قیمتی وقت ضائع ن کرے۔



 

Share:

Jiska Padosi usse Naraaz aur Na khush ho O Musalman Nahi.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

Allah Ki Qasam Woh Shakhs Musalman Nahee

Mahfum-e-Hadees: Ek Roz Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Sahaba-e-Kiraam Se Farmaya –
"Allah Ki Qasam Woh Shakhs Musalman Nahi!"
"Allah Ki Qasam Woh Kabhi Musalman Kehlaane Ke Laayaq Nahi!"
"Allah Ki Qasam Aise Insan Ka Imaan Kaamil Nahi!”
Yeh Sunkar Sahaba-e-Ikraam Hairaan Reh Gaye Aur Aapse Darkhwast Karne Lage Ke,
Aakhir Wo Koun Shakhs Hoga Jiski Muslman Naa Hone Ki Gawaahi Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Teen-Teen Baar Qasam Kha Ker De Rahe Hai?
☆Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Wohi Shakhs Jiska Padosi Uski Ezzaon se Mehfooz Nahi”.
– (Bukhari & Muslim Sharif)

#SABAQ : Yaad Rahe Ke Padosi Sirf Woh Nahi Jiska Ghar Humare Ghar Se Laga Hua Ho. Balki Padosi Dukaan Ka Bhi Hota Hai, Company me Aur Bus, Train Me Safar Ke Douraan Bhi Koi Naa Koi Hota Hai ,.. Unn Sabke Jazbatao Ka Khayal Rakhna Humare Liye Intyehayi zaroori Hai.
– Warna Pyare Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Teen-Teen Baar khasam Kha Kar Ailaan Karne Ki zaroorat  Hi Kya Thi !
Dusri Baat Yeh Hai Ke Iss Hadees-e-Mubarak Me Padosi Kaha Gaya Hai, Jo
Hindu,
Isaayi,
Yahudi
Koi Bhi Ho Sakta Hai. Sabke Sath Me Reham dili Aur Husn-e-Sulukhi Se Bartao Karna Yahi Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Hai.

     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Istekhara karne Ka Tareeqa.

*🍊🍃Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu🍃🍊*
________________________

👉🏻 *Istekhara karne ka tareeqa*
________________________

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​*

*🌹🍃Ahadees "e" Nabvi Sallallahu Alahiwa Sallam🍃🌹*

👉🏻 *Jabir bin Abdullah Radi Allahu anhu se rivayathai ki🍃🍓*

👉🏻 *Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam humko apne tamam kaamo me istikhara karne ki is tarah taalim dete the Jis TARAH  quran ki koi surah sikhlaate🍃🍓*

👉🏻 *Aap s͓̽a͓̽l͓̽l͓̽a͓̽l͓̽l͓̽a͓̽h͓̽u͓̽ a͓̽l͓̽a͓̽h͓̽i͓̽w͓̽a͓̽ s͓̽a͓̽l͓̽l͓̽a͓̽m͓̽ farmate ki jab koi  Ahem muaamla tumahre samne ho to farz ke Alawa do rakat Nawafil padhne ke baad ye dua padhe🍃🍓*

👈🏻 *اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ،فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ،اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِيعَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ (ـ فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ)وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِيوَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي  )فِي  أعَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ( ـفَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ،وَاقْدُرْ لِي الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِي بِهِ*

👉🏻 *Allahumma inni astakhiruka biilmika, Wa astaqdiruka bi-qudratika, Wa as'alaka min fadlik-al-`azeem Fa-innaka taqdiru Wala aqdiru, Wa taalamu Wala aalamu, Wa anta Allamulghuyub. Allahumma, in kunta taalam anna hazal amra khairun li fi dini wa maashi waaqibati Amri (ajili `Amri wa'ajilihi) Faqdirhuwa yas-sirhu li summa barik li Fihi,Wa in kunta ta'lamu anna hazal amra shar-run li fi dini wa ma'ashi wa'aqibati `Amri ( fi ajili `Amri wa ajilihi) Fasrifhu anni wa asrifni anhu. Waqdur li al-khaira haitsu kana Summa ardini bihi.*

*Tarjumah*

👉🏻 *Aye  mere Allah Main  tujhse tere ilm ki badolat khair talab karta hun🍃🍓*

👉🏻 *Aur teri qudrat ki badolat tujh se taaqat mangta hun aur tere fazal e azeem ka talabgaar hun ke qudrat tu hi rakhta hai Aur mujhe koi qudrat nahi🍃🍓*

👉🏻 *ilm tujh hi ko hai aur main kuch nahi jaanta aur to tamam posheeda baton ko janne wala hai🍃🍓*

👉🏻 *Aye  mere Allah  agar tu jaanta hai ke ye kaam jis ke liye istikhara kiya ja raha hai mere deen duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se mere liye behtar hai (ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh behtar hai ) to isko mere liye naseeb kar aur is ka husool mere liye aasaan kar aur phir is mein mujhe barket ataa kar🍃🍓*

👉🏻 *Aur agar tu jaanta hai ke yeh kaam mere deen, duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se bura hai. (ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh bura  hai )  to usko mujh se door kar de aur mujhe bhi is se door karde🍃🍓*

👉🏻 *Phir mere liye khair muqaddar farma de, jahan bhi woh ho aur is se mere dil ko mutmaeen bhi kar de🍃🍓*

👉🏻 *Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke is kaam ki jagah apne kaam ka naam le🍃🍓*

👉🏻📚 *Sahih Bukhari, Vol 2, 1166,*
______________________

*Syed Naushad*

________________________

Share:

Allah ki Taraf Se Utari Gayi Raushan Daleelo aur Hidayat ko Chupane walo par Allah ki Laanat.

❄ *Allah ki taraf se utari gayi Roshan Daleelo aur Hidayat ko Chhupane walo par Allah ki aur Saare Laanat karne walo ki Laanat:*

🌷

إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكْتُمُونَ مَآ أَنزَلْنَا مِنَ ٱلْبَيِّنَٰتِ وَٱلْهُدَىٰ مِنۢ بَعْدِ مَا بَيَّنَّٰهُ لِلنَّاسِ فِى ٱلْكِتَٰبِ ۙ أُو۟لَٰٓئِكَ يَلْعَنُهُمُ ٱللَّهُ وَيَلْعَنُهُمُ ٱللَّٰعِنُونَ

*"Jo log Hamaari utari huyi Daleelo (Bay'yanat)  aur Hidaayat ko chhupaate hai ba-wajood ye ke Hum use apni Kitaab me logo ke liye bayan kar chuke hai un logo par (aise logo par) Allah ki aur Tamaam Laanat karne waalo ki Laanat hai".*

📘(Surah 02 Baqarah: 159)

•············••●◆❁💠❁◆●••············•

             *❄Aaj ki Ayat❄*
                         by

                     *S.I.R.F.*
_Salsabiil Islamic Research Foundation._

            

•············••●◆❁💠❁◆●••······
📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛📛➰➰➰➰➰➰➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
❄ *Kya Imaan hamare Halaq (throat) ke niche ut'ra hai ya sirf Zuban par baqi hai kyunke Kafireen ki Sunnatein aur unki Adatein hamare Dil Wa Dimag par itni gaheri tarah se Chhayi hui hai ke Islami Shariyat par Amal karne walo ko Haqir Nigaho se dekha jaraha hai aur Islami Shariayat ki Jo Batein hamare Nafs ke khilaf hai ham usko apnane ke liye tayyar nahi hai.*

Share:

Hidayat Kaun Deta Hai?

⭕ *HIDAYAT KAUN DEYTA HAI?*

✔ *Hidayat Sirf Allah Ta'ala Deyta Hai*

♦ *Allah Ta'ala ne farmaya: "(Aye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam) Aap jise chahe hidayat nahi dey sakte balke Allah Ta'ala hi jise chahe hidayat aata farmata hai. Aur wo hidayth paane walon ko khoob jaanta hai"*

📚 *[Al Qasas: 56]*
﹍﹎﹍﹎﹍

⭕ *HIDAYAT KIS KO MILTI HAI*?

✔ *Hidayat us ko milti hai jo hidayat ki talash mein ho aur jis ke dil mein hidayat ke manney ka jazba ho*

♦ *Allah Ta'ala ne farmaya: "Keh do ke Allah jise chahta hai gumrah karta hai, aur jo (us ki taraf) ruju hota hai us ko zaroor apni hidayat deyta hai"*

📚 *[Ar Raad: 27]*

Share:

Sirf "Jazakallah" Kahna Kaisa Hai?

📮 *Sirf “Jazakallah” kahena kaisa hai…?*

–BismillahirRahmanNirRaheem–

✅ Jawab :

❎Sirf “Jazakallah” kahena adhura hai kyunke…..

*Jaza yani yani "badla". Badla achha bhi hota hai aur bura bhi. Isliye “Jazaakallah” me 2 matlab chhupe hai ….*

🔴  *“Jazakallahu Sharran”*

jiska matlab…

*“Allah apko SHAR (burai) ataa kare”.*

🔵  *“Jazakallahu Khayran”*

jiska matlab…

*“Allah apko KHAYR (bhalai) ataa kare".*

✅  Isliye  “Jazakallahu Khairan”

kahena zyada sahih aur mukammal hai.

wallahu Alam Sawab.

Share:

Museebat Ya Pareshani me Padhi Jane wali Dua.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

*Hadith : Museebat ya Pareshani mein padhne ki dua*
--------------------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo kisi  museebat ya pareshani mein ho to usko ye dua padhni chahiye

*اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ*
Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin
wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha ila anta

Eh Allah main teri Rahmat ka ummeedwar hun so ek lamhey ke liye bhi mujhe mere nafs ke hawaley na kar aur mere sab kaam bana de  tere siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1649-Sahih
-------------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مصیبت زدہ و پریشان حال کے لیے یہ دعا ہے

*اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ*
اے اللہ! میں تیری ہی رحمت چاہتا ہوں، تو مجھے ایک لمحہ بھی نظر انداز نہ کر، اور میرے تمام کام درست فرما دے، تیرے سوا کوئی معبود برحق نہیں ہے
سنن ابو داوود جلد ٣ ، ١٦٤٩ -حسن
------------------

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Apne Aap ko Zaleel O Khuwar Na Kiya Karo.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆   

Apne Aapko Zaleel-O-Khuwar Na Kiya Karo

Mahfum-e-Hadees: Huzaifa (Razi’Allahu Anhu) Se Marvi Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Momin Ke Liye Munasib Nahi Ke Wo Apne Aapko Zaleel-O-Khuwar Kare”

Sahaba (Razi’Allahu Anhu) Ne Arz Kiya Ke –
“Apne Aapko Zaleel-O-Khuwar Kis Tarah Kiya Ja Sakta Hai ?”

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Aysi Balaaien (Kaam) Apne Sar  Le Ley Jiski Wo Taaqat Nahi Rakhta”.
– (Tirmizi Sharif)

note : Lihaza Insan Uss Kaam Ki zimedari Na Lein Jo Wo Nahi Kar Sakta,
Agar Aisa Na Kiya To Log Uske Na-Khabilyat Par Usey Taana Denge,
Aur Woh Khud Hi Apni Barbaadi Ka Zimmewar Ho Jayega ,..!

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Jinsi Khwahishat Se Kaise Bacha Jaye.

Jinsi Khawahish ( Sexualy Desire ) Se Kaise Bacha JAye?

حَدَّثَنَا آدَمُ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سُلَيْمَانَ التَّيْمِيِّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ أَبَا عُثْمَانَ النَّهْدِيَّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْدٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""مَا تَرَكْتُ بَعْدِي فِتْنَةً أَضَرَّ عَلَى الرِّجَالِ مِنَ النِّسَاءِ"".
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں نے اپنے بعد مردوں کے لیے عورتوں کے فتنہ سے بڑھ کر نقصان دینے والا اور کوئی فتنہ نہیں چھوڑا ہے۔
Prophet ﷺ said: After me I have not left any affliction more harmful to men than women.
wazahat:* Aksar mard aurton ke husn wa ishq ka shikar ho kar apna deen wa duniya sab gawah baith te hain. Isi fitne ko istemal kar ke isai aur yahoodiyon ne millat ko tabah wa barbaad kar diya. Allah par imaan aur iski girift ka khauf ek insaan ko waqti khwahishat aur aarzi lazaton se mehfooz rakhne ka zabardast zariya hai. Allah ki nigrani ka ehsas haraam se bachne ke liye ek musalman mein hairat angez kirdaar ada karta hai. Kuch wasail wa zariye hain jinhe ikhteyar kar ke hum iss fitne se mehfuz rah sakte hain~ jaise nigaho ki hifazat, Allah swt ne mard/aurat ko [Quran 24:30] nigahen nichi rakhne ko hukm diya hai, dil se bure khayalat ko hatana, nikah karna, roza rakhna kyun ki roza jinsi khwahisho (sexual desire) ko kam karta hai [ibne majah: 1846], buri sohbat se parhez, fitne ki jagaho se duri, ghar mein tilawat aur nafali ibadat qayam karna, Akhirat ki nematon ko yaad rakhna wagera.
 _*Sahih Bukhari: jild-7, kitab Al-Nikah 67, hadith no. 5096. 
   Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera.
kisi Aurat ke pas Nukah Ka PAigaam kaise Bheje? 
Share:

Kutte Ke Mooh Daale Hue Saman Ko Saaf Karne Ka Byan.

🥀As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu🥀

Bismillah bir rahma nir raheem

RELATED _  Kutte ke muh daale hue bartan ko dhone ka bayan❓

🌈Hazrat Abu razeen radi Allahu anhu kehte hain, Maine Abu hurairah radi Allahu anhu ko dekha, woh Iraq walo ke samne apni peshani par hath maar kar { Afsos zahir karte hue } keh rahe ki iraq walo! Tum log yeh khayal karte ho ki Mai Nabi Salallahu alaihi wasallam ki taraf jhoothi bat nisbat karke hadith bayan karta hoon, usse tumhara maqsad yeh hain ki tumko fayeda hasil na ho aur main gunahgar ho jau ! Mai Allah ki kasam kha kar kehta hoon ki Nabi kareem Salallahu alaihi wasallam ne farmaya, Jis bartan mein kutta muh daalta hain use saat martaba dhona chahiye🍂

SAHI MUSLIM
HADITH NO. 279

🌈Hazrat abdullah ibn e mugaffal radi Allahu anhu kehte hain ki Nabi Salallahu alaihi wasallam ne farmaya jab Tum me se kisi ke bartan mein kutta muh daalta hain  toh usko saat martaba dhona chahiye aur aanthvin {8vi} martaba mitti se saaf kare🍂

SAHI MUSLIM
HADITH NO. 280

BY,, SHEIKH SAMREEN SALAFI

Jazak Allahu Khair

Share:

Allah Ke Siwa Kisi Aur ki Qasam Na Khao.

*🌷🌿🌷 ●■  ﷽  ■● 🌷🌿🌷*

*●❁🌺 Hadees Of The Day 🌺❁●*
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
  *▔▔▔▔▔
*✦ Allah Ke Siwa Kisi Ki Bhi Qasam Na Khao ✦*
▁▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁▁

♻ अब्दुल्ला बिन उमर रज़िअल्लाहो अन्हुमा से बयान किया के आप अल्लाह के रसूल मोहम्मद _*(ﷺ​)*_ ने फ़रमाया "अगर किसी को क़सम खानी ही है तो अल्लाह सुब्हा-नहु व-तआला ही कि क़सम खाऐ, वर्ना ख़ामोश रहे ।।।

♻ Abdullah ibn Umar (RaziAllahu anhuma) se riwayat hai ki Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн ﷺ​*_ ne farmaya ki: Agar kisi ko Qasam khani ho to _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ ki hi Qasam khaye warna khamosh rahe.

♻ عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اگر کسی کو قسم کھانی ہی ہے تو اللہ سبحانه وتعالیٰ ہی کی قسم کھائے، ورنہ خاموش رہے۔

♻ Narrated `Abdullah bin Umar Raziyallahu: The Prophet Mohammad _*(ﷺ​)*_ said, Whoever has to take an oath should swear by Allah or remain silent. (i.e. He should not swear by other than Allah.)

_*╰ReF➛┒*_
            _*📚 [Sahih Bukhari -2679]*_
*╥────────────────────❥

Share:

Hme Koi Museebat Nahi Pahuch Sakti Siwaye Uske Jo Allah Subhanahu Ne Hmare Liye Likh Di Hai.

*Bismillahirrahmanirrahim*

*💐Al Quran : Kah do ki humko koi museebat nahi pahuch sakti siwa uske jo Allah subhanahu ne hamare liye likh di ho💐*
----------------------------------------
✦ *Al Quran : Kah do ki humko koi museebat nahi pahuch sakti siwa uske jo Allah subhanahu ne hamare liye likh di ho wahi hamara kaarsaaz hai aur momeneo ko Allah subhanahu hi par bharosa rakhna chahiye*
📘Surah At-Tawbah (9), Verse 51

✦ *Hadith : Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ek tandurast momeen ALLAH subhanahu ke nazdeek kamzor momeen se ziyada pasandeeda aur behtar hai , lekin dono mein se har ek mein khair hai, jo tumhe nafaa de usmein ragbat karo (yani uske kareeb jao) aur ALLAH se madad maango aur Dil na haaro agar tumhe koi museebat pahunche to yu na kaho ki agar main is is tarah kar leta  (to ye nahi hota), balki ye kaho ki*
*قَدَّرَ اللَّهُ وَمَا شَاءَ فَعَلَ*
*Qaddar-Allahu wa Ma-Sha-aa fa'aala*
*Jo ALLAH ne muqaddar kar diya aur jo usne chaha kiya, kyunki lafz "agar" shaitan ka kaam shuru kara deta hai*
📗Sunan Ibn Majah, Jild 1 , 79 -Sahih

Share:

Dua Qabul Hoti Hai.Apne Rab se Na Ummeed N hoye.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

DUA QUBOOL HOTI HAI

Mahfum-e-Hadees: Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Hamesha Bandey Ki Dua Qabool Hoti Hai,..”
Jab Tak Wo Gunaah Ya Naata(Rishta) Todney Ki Dua Na Kare, Aur Jaldi Na Kare”
*Logon Ne Kaha: Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ! “Jaldi Ka Kya Matlab Hai?”
*Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Ki Yu Kahey Ki Maine Dua Ki
Mai Nahi Samajhta Ki Wo Qubool Hogi Phir NaUmmid Ho Jaye Aur Dua Chorr Dey.
– (Sahih Muslim Sharif)

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Allah ki Tadbeer kahi Hmari Soch Se Behtar Hai,(اللہ کی تدبیر کہی ہماری سوچ سے بہتر ہے)

Allah se Naummid Na hoye

Allah Ki Tadbeer Kahi Hmari Soch se Behtar Hai
Allah Har Halat Me Apne Bande Ki Madad karta hai.


ایک بزرگ ولی اللہ جناب داؤد طائی رحمتہ اللہ علیہ سے منسوب ایک حکایت ہے کہ:

ان کے شہر ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﻋﻮﺭﺕ ﺑﯿﻮﮦ ﮐﯿﺎ ﮨﻮﺋﯽ ﮐﮧ ﺍﺱ ﭘﺮ ﻣﺼﯿﺒﺘﻮﮞ ﮐﮯ ﭘﮩﺎﮌ ﭨﻮﭦ ﭘﮍﮮ۔ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﺎ ﺳﺎﺗﮫ ﺍﻭﺭ ﮐﻞ ﺟﻤﻊ ﭘﻮﻧﺠﯽ ﺑﺲ ﺗﯿﻦ ﺩﺭﮨﻢ۔ ﺣﺎﻻﺕ ﺳﮯ ﻣﻘﺎﺑﻠﮧ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﯽ ﭨﮭﺎﻧﯽ ﺍﻭﺭ ﺟﺎ ﮐﺮ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺳﮯ ﺍﻥ ﺗﯿﻦ ﺩﺭﮨﻢ ﮐﺎ ﺍﻭﻥ ﺧﺮﯾﺪ ﻻﺋﯽ، ﮐﭽﮫ ﭼﯿﺰﯾﮟ ﺑﻨﺎ ﮐﺮ ﻓﺮﻭﺧﺖ ﮐﯿﮟ ﺗﻮ ﭘﺎﻧﭻ ﺩﺭﮨﻢ ﻭﺻﻮﻝ ﭘﺎﺋﮯ۔ ﺩﻭ ﺩﺭﮨﻢ ﺳﮯ ﮐﮭﺎﻧﺎ ﭘﯿﻨﺎ ﺧﺮﯾﺪﺍ ﺍﻭﺭ ﺗﯿﻦ ﺩﺭﮨﻢ ﮐﺎ ﭘﮭﺮ ﺳﮯ ﺍﻭﻥ ﻟﯿﺘﯽ ﺁﺋﯽ۔ ﺍﺳﯽ ﻃﺮﺡ ﮐﭽﮫ ﺩﻥ ﮔﺰﺭ ﺑﺴﺮ ﮐﯿﺎ، ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺳﮯ ﮐﮭﺎﻧﺎ ﭘﯿﻨﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﻭﻥ ﻟﯿﮑﺮ ﮔﮭﺮ ﮐﻮ ﻟﻮﭨﯽ، ﺍﻭﻥ ﺭﮐﮫ ﮐﺮ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﻮ ﮐﮭﺎﻧﺎ ﭘﯿﻨﺎ ﺩﯾﻨﮯ ﻟﮕﯽ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﭘﺮﻧﺪﮦ ﮐﮩﯿﮟ ﺳﮯ ﺍﮌﺗﺎ ﮨﻮﺍ ﺁﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﻭﻥ ﺍﭨﮭﺎ ﮐﺮ ﻟﮯ ﮔﯿﺎ۔ ﻋﻮﺭﺕ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﮐﻞ ﮐﺎﺋﻨﺎﺕ ﮐﺎ ﯾﻮﮞ ﻟُﭧ ﺟﺎﻧﺎ ﺳﻮﮨﺎﻥ ﺭﻭﺡ ﺗﮭﺎ، ﻣﺴﺘﻘﺒﻞ ﮐﯽ ﮨﻮﻟﻨﺎﮐﯿﻮﮞ ﺳﮯ ﺧﻮﻓﺰﺩﮦ ﺍﻭﺭ ﻏﻢ ﻭ ﻏﺼﮯ ﺳﮯ ﭘﺎﮔﻞ ﺳﯽ ﮨﻮ ﮐﺮ ﺭﮦ ﮔﺌﯽ۔

ﺩﻭﺳﺮﮮ ﺩﻥ ﺳﯿﺪﮬﺎ جناب داؤد طائی ﮐﮯ ﮔﮭﺮ ﮔﺌﯽ ﺍﻭﺭ ﺍُﻥ ﮐﻮ ﺍﭘﻨﺎ ﻗﺼﮧ ﺳﻨﺎ ﮐﺮ ﺍﯾﮏ ﺳﻮﺍﻝ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﯿﺎ ﮨﻤﺎﺭﺍ ﺭﺏ ﺭﺣﻤﺪﻝ ﮨﮯ ﯾﺎ ﻇﺎﻟﻢ؟ جناب داؤد طائی ﻋﻮﺭﺕ ﮐﯽ ﺩﺭﺩ ﺑﮭﺮﯼ ﮐﮩﺎﻧﯽ ﺳﻦ ﮐﺮ ﭘﺮﯾﺸﺎﻧﯽ ﮐﮯ ﻋﺎﻟﻢ ﻣﯿﮟ ابھی اسے تسلی دے رہے تھے کہ اتنے میں ﺩﺭﻭﺍﺯﮮ ﭘﺮ ﺩﺳﺘﮏ ﮨﻮﺋﯽ، ﺟﺎ ﮐﺮ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﻮ ﺩﺱ ﺍﺟﻨﺒﯽ ﺍﺷﺨﺎﺹ ﮐﻮ ﮐﮭﮍﮮ ﮨﻮﺋﮯ ﭘﺎﯾﺎ۔ ﺍُﻥ ﺳﮯ ﺁﻣﺪ ﮐﺎ ﻣﻘﺼﺪ ﺍﻭﺭ ﻣﺎﺟﺮﺍ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﺗﻮ ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ؛ ﺣﻀﺮﺕ ﮨﻢ ﺳﻤﻨﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﺳﻔﺮ ﮐﺮ ﺭﮨﮯ ﺗﮭﮯ ﮐﮧ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﮐﺸﺘﯽ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺳﻮﺭﺍﺥ ﮨﻮﮔﯿﺎ۔ ﭘﺎﻧﯽ ﺍﺱ ﺗﯿﺰﯼ ﺳﮯ ﺑﮭﺮ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﮨﻤﯿﮟ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﻣﻮﺕ ﺻﺎﻑ ﻧﻈﺮ ﺁ ﮔﺌﯽ۔ ﻣﺼﯿﺒﺖ ﮐﯽ ﺍﺱ ﮔﮭﮍﯼ ﻣﯿﮟ، ﮨﻢ ﻣﯿﮟ ﺳﮯ ﮨﺮ ﺷﺨﺺ ﻧﮯ ﻋﮩﺪ ﮐﯿﺎ ﮐﮧ ﺍﮔﺮ ﺍﻟﻠﮧ ﭘﺎﮎ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﺟﺎﻥ ﺑﭽﺎ دیں ﺗﻮ ﮨﻢ ﻣﯿﮟ ﺳﮯ ﮨﺮ ﺁﺩﻣﯽ ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﮨﺰﺍﺭ ﺩﺭﮨﻢ ﺻﺪﻗﮧ ﺩﮮ ﮔﺎ۔ ﺍﺑﮭﯽ ﮨﻢ ﯾﮧ ﺩُﻋﺎ ﮐﺮ ﮨﯽ

ﺭﮨﮯ ﺗﮭﮯ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﭘﺮﻧﺪﮮ ﻧﮯ کہیں سے ﮨﻤﺎﺭﯼ ﮐﺸﺘﯽ ﻣﯿﮟ ﺍﻭﻥ ﮐﺎ ﺍﯾﮏ ﮔﻮﻻ ﻻ ﮐﺮ ﭘﮭﯿﻨﮏ ﺩﯾﺎ۔ ﺟﺴﮯ ﮨﻢ ﻧﮯ ﻓﻮﺭﺍً ﺳﻮﺭﺍﺥ ﻣﯿﮟ ﭘﮭﻨﺴﺎﯾﺎ، ﮐﺸﺘﯽ ﮐﻮ ﭘﺎﻧﯽ ﺳﮯ ﺧﺎﻟﯽ ﮐﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﺳﯿﺪﮬﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﻧﺰﺩﯾﮏ ﺗﺮﯾﻦ ﺳﺎﺣﻞ ﭘﺮ ﺁ ﭘﮩﻨﭽﮯ۔ ﮨﻢ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﯾﮩﺎﮞ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺍﺟﻨﺒﯽ ﺗﮭﮯ ﺍﺱ ﻟﯿﺌﮯ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﺳﮯ ﮐﺴﯽ ﻣﻌﺘﺒﺮ ﺁﺩﻣﯽ ﮐﺎ ﻧﺎﻡ ﭘﻮﭼﮭﺎ تو ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﮨﻤﯿﮟ ﺳﯿﺪﮬﺎ ﺁﭖ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺑﮭﯿﺞ ﺩﯾﺎ ﮨﮯ۔ ﯾﮧ ﻟﯿﺠﯿﺌﮯ ﺩﺱ ﮨﺰﺍﺭ ﺩﺭﮨﻢ ﺍﻭﺭ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﻃﺮﻑ ﺳﮯ ﻣﺴﺘﺤﻘﯿﻦ ﮐﻮ ڈھونڈ کر ﺩﮮ ﺩﯾﺠﯿﺌﮯ گا

داؤد طائی رحمتہ اللہ علیہ اللہ رب العزت کی اس حکمت پر حیران و پریشان ہوتے ہوئے ﺩﺱ ﮨﺰﺍﺭ ﺩﺭﮨﻢ ﻟﯿﮑﺮ ﺳﯿﺪﮬﺎ ﺍﻧﺪﺭ ﺍُﺱ ﻋﻮﺭﺕ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﮔﺌﮯ۔ ﺳﺎﺭﮮ ﭘﯿﺴﮯ ﺍُﺳﮯ ﺩﯾﺘﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﮐﮩﺎ؛ ﺍﺏ ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﺳﮯ ﺍﯾﮏ ﺳﻮﺍﻝ ﮐﺮﻧﺎ ﭼﺎﮨﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﮐﮧ ﮐﯿﺎ ﺗﯿﺮﺍ ﺭﺏ ﺭﺣﻤﺪﻝ ﮨﮯ ﯾﺎ ﻇﺎﻟﻢ؟

بیوہ عورت داؤد طائی رحمتہ اللہ کے چہرے کو تکتی رہ گئی... اسکی آنکھوں سے اشک جاری تھے... گویا اس کے جسم کا ہر ہر حصہ, ہر ہر بال رب کے شکر میں ڈوبا جا رہا ہو.

اللہ کی تدبیریں ہماری سوچ سے کہیں بہتر ہیں. اللہ کا شکر ادا کریں اور اسکی ذات پر مکمل بھروسہ رکھیں. وہ کسی کو تنہا نہیں چھوڑتا.

Share:

Maa Ki Nafarmani Karna Haraam Hai.

MAA KI NAFARMANI

Maa Ki Nafarmani Tum Par Haraam Ki.
     Mahfum-e-Hadees:
 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai
Allah Ta’ala Ne ‘Maa’ Ki Nafarmani Tum Par Haraam Ki,
Aur Betiyo Ka Zinda Dafnana Haraam Kiya,
Aur Kisi Ko Na Dena Aur Dusro Se Mangne Se Manaa Kiya,
Aur Na Pasand Kiya Fizul Bakbak Karna Aur Bahot Sawaal Karna Aur Maal Barbad Karna”.
– (Bukhari Sarif, Hadees No:2247, Musakat Ka Bayan)
• Sabaq:
– Yaani Allah Ta’ala Ne Maa Ki Nafrmani Aur Betiyonko Zinda Dafnana Bhi Haraam Karar Kar Diya,
– Aur Kisiko Na Dena Matlab Sadqa-Khairaat Na Karna Aur Beja Sawal (Mangna) Karna Bhi Haraam Thehraya,
– Aur Fizul Baate Karna, Zaroorat Se Jyada Mangna, Maal Ko Barbad Karna Inn Saari Baton Ko Bhi Haraam Me Shumar Kiya Hai.
Share:

Har Baccha Fitrat-E-Islam Pe Hi Paida Hota Hai.

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

🍀 *HAR BACHA FIRAT E ISLAM PAR HI PAIDA HOTA HAI* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

  أَنَّ أَبَا هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ ""مَا مِنْ مَوْلُودٍ إِلَّا يُولَدُ عَلَى الْفِطْرَةِ، ‏‏‏‏‏‏فَأَبَوَاهُ يُهَوِّدَانِهِ وَيُنَصِّرَانِهِ أَوْ يُمَجِّسَانِهِ.

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Hazrat Abu Hirairah radiyallahu anhu se riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya " Har bacha firat (islam) par paida hota hai lekin uss ke Maan Baap usay Yahoodi ya Essayi ya Majoosi bana dete hain.

🌴 *Urdu* 🌴

  حضرت ابو ھریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہر بچہ فطرت پر پیدا ہوتا ہے لیکن اس کے ماں باپ اسے یہودی یا نصرانی یا مجوسی بنا دیتے ہیں۔

🌴 *English* 🌴

  Narrated Abu Huraira radiyallahu anhu  Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam said "  Every child is born with a true faith of Islam (i.e. to worship none but Allah  Alone) but his parents convert him to Judaism, Christianity or Magainism.

💐 *Sahih Bukhari* 💐
💐 *Hadith # 1359* 💐

🌹 *Please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Mushrikeen Par Jannat Haraam Hai Aur wo Hamesha Jahannum me hi Rahenge.

Mushrikeen Par Jannat Haram hai Aur Wo HAmesa JAhannumMe Hi RAhenge

ḀḶ QṳRḀN
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​*
*وَ اتَّخَذُوۡا مِنۡ دُوۡنِہٖۤ  اٰلِہَۃً  لَّا یَخۡلُقُوۡنَ شَیۡئًا وَّ ہُمۡ یُخۡلَقُوۡنَ وَ لَا یَمۡلِکُوۡنَ لِاَنۡفُسِہِمۡ ضَرًّا وَّ لَا نَفۡعًا وَّ لَا یَمۡلِکُوۡنَ مَوۡتًا  وَّ لَا حَیٰوۃً   وَّ  لَا نُشُوۡرًا*
In logon ne Allah ke siwa jinhen apne mabood thera rakhe hain wo kissi cheez ko paida nahi kar sakte
Balke woh khud paida kiye jate hain yeh to apni jaan ke nuksan nafe ka bhi ikhtiyar nahi rakhte
Aur na maut-o-hayat ke aur na doobara ji uthne ke woh malik hain
Al Quran Surah Furqan 25, Aayat 3,*
Logo! Ek misal biyan ki jarahi hai zara kaan laga kar suno
Allah ke siwa jin jin ko tum pukarte ho wo ek makkhi bhi to paida nahi kar sakte go sare ke sare hi jama ho jayen.
Balke agar makkhi un se koi cheez le bhage to ye to usse bhi us se cheen nahi sakte
Bada boda hai talab karne wala aur bada boda hai woh jis se talab kiya jaraha hai
Al Quran Surah hajj 22.Aayat 73,*
*یٰۤاَیُّہَا النَّاسُ اَنۡتُمُ الۡفُقَرَآءُ  اِلَی اللّٰہِ ۚ وَ اللّٰہُ  ہُوَ  الۡغَنِیُّ   الۡحَمِیۡدُ*
 *Aye logo! Tum Allah ke mohtaj ho aur Allah be niyaz khoobiyon wala hai*
 *Al Quran Surah Fatir 35.Aayat 15*
*اِنَّہٗ مَنۡ یُّشۡرِکۡ بِاللّٰہِ فَقَدۡ حَرَّمَ اللّٰہُ عَلَیۡہِ الۡجَنَّۃَ وَ مَاۡوٰىہُ النَّارُ ؕ وَ مَا لِلظّٰلِمِیۡنَ مِنۡ اَنۡصَارٍ*
  *Jo shaks Allah ke Sath shareek karta hai Allah Ta"ala ne us par jannat haram kar di hai*
 *Uska thikana jahannum hi hai aur gunehgaron ki madad karne wala koi nahi hoga*
 *Al Quran Surah Maeed 5.Aayat 72,*
 *Nabi Kareem Sallallahu Alahiwa Sallam Ne Farmaya
*إِذَااسْتَعَنْتَ فَاسْتَعِنْ بِاللهِ*

*Izasta'anta fasta'in billaah*

Tarjama: Jab tum madad maango to Allah Ta'ala hi se madad maango

Tirmizi: 2516*
*Comment*
 *Aaj Ke Daur Ka Qabar parast Makkah ke mushrikeen ko Maat de gaya
*Ambiya ko Pukarne wale Auliya Ko Pukarne wale Baghdadi Baba Ko ajmeri Khwaja Ko Ghode Shah ko Chuna Shah ko Noorullah shah ko Data peer ko  Pukarne wale Jaan le Allah Shirk ko Kabhi Muaf nahi karta hai*
________________________
*Syed Naushad
____________________
Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS