MUSHRIK aur MUQALLID me Eksaaniyat:
BismillahirRahmanNirRaheem
قُلْ أَطِيعُوا۟ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ ۖ فَإِن تَوَلَّوْا۟ فَإِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلْكَٰفِرِينَ
*"Kahe dijiye! ke Allah Ta'ala aur Rasool ki ita'at (pairawi) karo agar ye Muh pher le to beshak Allah Ta'ala kaafiro se Muhabbat nahi karta"
(Surah 3 Aal Imran: Ayat 32)
*Mushrik* us shakhs ko kaha jata hai: *Jo shakhs ALLAH KI IBADAT karne sath sath GAIRULLAH ki bhi IBADAT karta hai.
◼Yaha GAIRULLAH se murah Allah ko chhodkar uski saari Makhlukh jaise AMBIYA, SALIHEEN, AWLIYA, BABA, PEER-MURSHID wagaira hai.
◼MUSHRIK Allah ki ibadat karta to hai lekin in saare GAIRULLAH ki ibadat bhi karta hai yani unke liye SAJDA, RUKU, MANNAT, NIYAZ, DUA digar ibadaat karne ko apne neki samjta hai.
Allah ne kya nasihat ki...
وَلَقَدْ بَعَثْنَا فِى كُلِّ أُمَّةٍۢ رَّسُولًا أَنِ ٱعْبُدُوا۟ ٱللَّهَ وَٱجْتَنِبُوا۟ ٱلطَّٰغُوتَ ۖ فَمِنْهُم مَّنْ هَدَى ٱللَّهُ وَمِنْهُم مَّنْ حَقَّتْ عَلَيْهِ ٱلضَّلَٰلَةُ ۚ فَسِيرُوا۟ فِى ٱلْأَرْضِ فَٱنظُرُوا۟ كَيْفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلْمُكَذِّبِينَ
"Sirf Allah ki ibaadat karo aur us ke siway tamaam **Ma'a'budo se bacho."*
(Surah 16 Nahl : Ayat 36)
Ma'a'dud yani Allah ke alawa wo Hastiya/Murtiya/Dargah/Baba/Peer-Murshid jinki ibadat ki jati hai.
MUQALLID* us Shakhs ko kaha jata hai: *"Jo NABI (SallallahuA'laihiWaSallam) ki ITTEBA ke sath sath GAIR-NABI shakhsiyat (personality) ki ITTEBA ko apne upar FARZ kar leta hai.*
◼Yaha GAIR-NABI se murad Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ke alawa saare IMAM, BUZRUG, PEER-MURSHID, ULEMA, aur SAMAJI Rasm-Riwaj wagaira wagaira hai.
Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ke Pairawi ke Faydein:
قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ ٱللَّهَ فَٱتَّبِعُونِى يُحْبِبْكُمُ ٱللَّهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَٱللَّهُ غَفُورٌۭ رَّحِيمٌۭ
*"kahe dijiye! agar Tum Allah Ta'ala se Muhabbat rakhte ho to meri tabedaari karo, khud Allah Ta'ala tum se muhabbat karega aur tumhaare gunaah maaf kar dega aur Allah Ta'ala bada baqshne waala maherbaan hai".*
(Surah 3 Aal - Imran : Ayat 31)
KHULASA:*
◼ *Ek MUSHRIK Allah ki Zaat, Sifaat aur Ibadat me Gairullah ko sharik karta hai.
◼Dusari taraf, *ek MUQALLID, NABI (SallallahuA'laihiWaSallam) ki RISALAT (NABUWAT) me Shirk karta hai.* Yani Nabi ki Hadees (Sunnat) ke Muqabale me apne Imam, Peer-Murshid aur Buzrugo ke qaul (baat) ko tarji deta hai.
◼Aur ye samjta hai jaisa Allah aur uske Rasool (SallallahuA'laihiWaSallam) ko kisi chiz ko HARAM wa HALAL karne ka ikhtiyar hai wahi ikhtiyar apne Imam, Peer-Murshid aur Ulema ko bhi hai.
No comments:
Post a Comment