find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Roze Ki Halat Me Kulli Kaise Kare Jisse Roza Batil Nahi Ho?

ROOZEY KI HALAT MAI KULLI KARTE WAQT IS TARAH PAANI DAALNA JAYEZ NAHI K HALAQ TAK PAHUNCHNE KA KHADSHA HO.
 



Laqeet bin Sabra apne Walid se riwayat karte hai k mene kaha "Ya Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam! wuzu k baare mai mujhey kuch bataiye", *Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam* ne farmaya: "Wuzu poora karo, ungliyo k darmiyaan khalaal karo aur naak mai acchi tarah paani dalo, lekin agar rooza ho to phir aesa na karo".
*(Abu Dawood, Tirmizi, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2090)

Qasdan Qay (vomit) Karne Se Roza Toot Jaata Hai Aur Usper Qaza Waajib Hai.

Khud Bakhud Qay Aane Se Roza Nahi Toot'ta
 
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " jis rozedar ko khud ba khud qay aaye usper qaza nhi hai albatta jo rozedar qasdan qay laaye wo qaza roza rakhe".
*Sunan Abu Dawud, 2084*
 
  ┅┅┅━━═۞═━━┅┅┅

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS