find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Rasool Aur Sahaba Kaun Hai? (Aeise 15 Sawalat)

Sare Rasoolon Ne Kis Chij Ki Dawat Di?

17. RASOOL KISE KEHTE HAIN?
Wo nek bande jinhein Allah ne apne deen ka paighaam bhejne ke liye chuna unhein Allah ke Rasool kehte hain, Rasoolon ke paas Allah Ta’ala ki taraf se Farishte aa kar Allah ka paighaam bhejte thaye✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Yaqinan hum ne Apne Rasoolon ko khuli daleelen dey kar bheja aur un ke sath kitaab aur mezaan (tarazu) nazil farmaya taake log adl par qayam rahe” *[Al Hadeed: 25]*
﹍﹎﹍﹎﹍
18. SAARE RASOOLON NE KIS CHEEZ KI DAWAT DI?
Saare Rasoolon ne Tawheed ki dawat di✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “(Aye Nabi) Aap se pehle jo bhi Rasool hum ne bheje us ki taraf yehi wahi nazil farmayee ke mere siwa koi mabood-e-bar’haq nahi, lehaza tum sab Meri hi ebadat karo” [Al Ambiya: 25]
﹍﹎﹍﹎﹍
19.ALLAH KE AAKHRI NABI KAUN HAIN
Allah ke aakhri Nabi Muhammad Sallallahu Aalaihi Wasallam hain✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “(Logo) Muhammad (Sallallahu Aalaihi Wasallam) tumhare mardon mein se kisi ke baap nahi balke (Aap) Allah Ta’ala ke Rasool hain aur tamaam Nabiyon ke Khatim hai” *[Al Ahzaab: 40]
﹍﹎﹍﹎﹍
20 JO ALLAH AUR USKE RASOOL KI BAAT MAANEY USKO KYA MILEGA?
Jo Allah aur uske Rasool ki baat maaney ussey Jannat milegi✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Aur jo Allah Ta’ala ki aur uske Rasool ki farmanbardari karega use Allah Ta’ala (aisi) Jannaton mein dakhil karega jin ke nichey nehren beh rahi hongi, jin mein woh hamesha rahege aur ye bahut badi kaamyaabi hai”
*[An Nisa: 13]*
﹍﹎﹍﹎﹍
21 SAHABA KAUN HAIN?
Jin logon ne Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ko Islam ki halat mein dekha ya Aap ki sohbat ikhtiyaar ki aur maut tak Islam par qayem rahe unhein Nabi ke Sahaba kehte hai✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Jin logon ne sabqat ki (yani sab se) pehle (emaan laaye) muhajireen mein se bhi aur Ansaar mein se bhi aur jinhon ne bhalayee ke sath un ki pairwi ki Allah un sab se raazi huwa aur wo sab us se raazi huwe aur Allah ne un ke liye aise baghaat muhayya kar rakkhe hain jin ke nichey nehren behti hain, jin mein hamesha rahenge, ye bahut badi kaamyaabi hai” *[At Tawba: 100]
﹍﹎﹍﹎﹍
22 RASOOL AUR SAHABA KE RAASTE SE HATNE KA ANJAAM KYA HAI?
Rasool aur Sahaba ke raaste se hatne ka anjaam gumrahi hai✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Jo shaks hidayat ke wazeh ho jaane ke baad bhi Allah ke Rasool ke khilaaf kare aur tamaam Momino ki rah chor kar koi aur rah chale, hum use usi ki taraf mod denge jahan wo kudh muda hai aur jahannum mein phenk dengen, aur wo bahut hi bura thikana hai” *[An Nisa: 115]
﹍﹎﹍﹎﹍
23.ALLAH KE WALI KAUN HAIN?
Jin logon ka emaan behat qawi hota hai aur wo bahut nek hote hain unhein Allah Ta’ala apna dost bana leta hai, aise bando ko Allah ka Wali kehte hain, Wali ka martaba Nabi se kam hota hai✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Yaad rakkho! Allah ke Waliyon par na koi andesha hai aur na wo ghamgeen honge, ye wo log hain jo emaan laaye aur (buraiyo se) parhez karte rahe” *[Younus: 62,63]
﹍﹎﹍﹎﹍
24.ILM HASIL KARNE KA KYA FAIDA HAI?
Allah Ta’ala ne farmaya: “Allah Ta’ala tum mein se un logon ke jo emIlm se insaan sahih aur ghalat mein farq kar sakta hai, Allah Ta’ala ke nazdeek ilm walon ka martaba dosron se ziyada hota hain✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Allah Ta’ala tum mein se un logon ke jo emaan laaye hain aur jo ilm diye gaye hain darjaat buland kar deyga” [Al Mujadilah: 11]
﹍﹎﹍﹎﹍
25 ILM WALON KI KYA FAZILAT HAI?
Ilm wale zameen par Allah ki Tawheed ke gawah hain, ilm walon ka martaba itna ooncha hai ke Allah Ta’ala ne un ki gawahi ko Apni aur Farishton ki gawahiyon ke sath zikr kiya hai✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Allah Ta’ala, Farishte aur Ahle Ilm is baat ki gawahi dete hain ke Allah ke siwa koi mabood nahi, wo adal ko qayem rakhne wala hai, Us galib aur hikmat wale ke siwa koi ebadat ke layeq nahi hi” [Aal e Imran: 18]
﹍﹎﹍﹎﹍
26. DOSRON KO DEEN KI DAWAT DEYNE KI KYA FAZILAT HAI?
Dosron ko Deen ki dawat deyna sab se achchi baat hai, is se aamal sikhaney wale ko bhi aamal karne walon ki tarha sawaab milta hai✓
Allah Ta’ala ne farmaya: Aur us se ziyada achchi baat wala kaun hai jo Allah ki taraf bulaye aur (khud bhi) nek kaam kare aur kahe ke main yaqinan Musalmanon mein se hun” *[Al Fussilaat: 33]
﹍﹎﹍﹎﹍
27. HIDAYAT KAUN DEYTA HAI?
Hidayat sirf Allah deyta hai✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “(Aye Nabi) Aap jise chahe hidayt nahi dey sakte balke Allah Ta’ala hi jise chahe hidayat aata farmata hai. Aur wo hidayth paane walon ko khoob jaanta hai” [Al Qasas: 56]*
﹍﹎﹍﹎﹍
28. HIDAYAT KIS KO MILTI HAI?
Hidayat us ko milti hai jo hidayat ki talash mein ho aur jis ke dil mein hidayat ke manney ka jazba ho✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Keh do ke Allah jise chahta hai gumrah karta hai, aur jo (us ki taraf) ruju hota hai us ko zaroor apni hidayat deyta hai”
*[Ar Raad: 27]*
﹍﹎﹍﹎﹍
29. KYA MARNE KE BAAD DUBARA ZINDAGI HAI?
Han, marne ke baad dubara zindagi hai✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Us ke baad phir tum ko yaqinan maut aa jayegi, phir qayamat ke din bilashuba tum sab (dubara zinda kar ke) uthaye jaoge”
*[Al Mominoon: 15,16]*
﹍﹎﹍﹎﹍
30. QAYAMAT KE DIN KYA HOGA?
Qayamat ke din nek logon ko un ke aamaal ke mutabiq Jannat mein inaam milega aur burayee mein pade rehne walon ko jahannum mein azab diya jayega✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Jin ki tarazu ka palda halka ho gaya ye hain wo log jinhon ne apna nuqsaan aap kar liya jo hamesha ke liye jahannumi honge” *[Al Mominoon: 103]*
﹍﹎﹍﹎﹍
31. HUMARA SAB SE BADA DUSHMAN KAUN HAI?
Shaitaan hummara sab se bada dushman hai✓
Allah Ta’ala ne farmaya: “Shaitaan tumhara dushman hai tum bhi use dushman hi samjho wo apne giroh ko is liye bulata hai ke wo sab (us ke sath) jahannumi ho jayen” *[Fatir: 6]*
﹍﹎﹍﹎﹍
32.AAKHIRAT KI KAAMYAABI KE LIYE KYA KARNA ZAROORI HAI?
Aakhirat ki kaamyaabi ke liye chaar kaam karna zarori hai✓
1. Emaan laana
2. Nek aamaal karna
3. Ek dosre ko haq ki takeed karna
4. Ek dosre ko sabr ki takeed karna
Allah Ta’ala ne farmaya: “Zamane ki qasam, beshak insaan sarasar nuqsaan mein hai, siwaye un logon ke jo emaan laaye aur nek aamal karte rahe aur (jinho ne) ek dosre ko haq ki wasiyyat ki aur ek dosre ko sabr ki takeed karte rahe” [Al Asr: 1-3]
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS