find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Fitra Kise Aur Kyu Dena Chahiye? (Fitre se Joode Malumat)

Fitra Kab Aur Kaise Nikalna Chahiye?

Fitra Kyu Dena?
Fitra dena Musalman par farz hai. (Bukhari)
Fitra Kin logo par farz hai?*
Musalmano me se har chote/bade, mard/aurat, ghulam/aazad par farz hai. (Bukhari)
Fitra dene me kya hikmat hai?*
Fitra roze me rozedar se hone wali ghaltio ki paaki ke liye hai, aur ye Fitra miskeeno ke liye khana hai. (Bukhari)
Fitre me kya dena?*
Aam taur par jo khana khate hai, wo hi fitre me dena. (Bukhari)
>> Jaise gehu, chawal, daal
>> Paise nahi dena.
Fitra Kitna dena?*
Ek aadmi ki taraf se ek saa' dena. (Bukhari)
>> Saa' anaj ko ginne ka ek aala hai, jo taqreeban 2.5kg ke barabar hota hai.
Fitra Kab dena?*
(Eid ka chand dikhne ke bad se le kar) Eid ki namaz ke pahle tak dedena. (Muslim)
>>Eid se ek ya do din pahle bhi de sakte. (Bukhari)
Fitra Kisko dena?*
Ghareeb aur miskeen faqeero ko dena. (Bukhari)
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS