find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Jadoo Se Bachne Ke Liye Taweej Latka Sakte Hai?

Jadoo Ya Nazr-E-Bad Se Bachne Ke Taweej Ya Kala Nimbu Latkana Kaisa Hai?
بسم الله الرحمن الرحيم
Jadu Ke Bachaou Ya 'Ilaaj Ki Garz Se Taweez Latkana?
Tehreer: Hafiz Imran Ayub Lahori Hafizahullah.
Romanised: Syed Ibraheem Salafi
Farmaan E Nabawi hai ke:
من علّق تميمة فقد اشرك
"Jisney taweez latkaya usne shirk kiya."
(Sahih: As-Silsilahtus Saheeha: 496, Sahih Jamia al-Sagheer 6394, Musnad Ahmed 4/156, Shoaib Arnoot ney is ki sanad ko qawi kaha hai (Al-Mausuaatul Hadees 17422))
Ek doosra farmaan yun hai ke:
انّ الرّقى والتّمائم و التَولة شرك
"(Shirkiya) mantar, taweez aur muhabbat paidaa karney ke amliyaat shirk hai."
(Sahih: As-Silsilahtus Saheeha 331, Sahih At-Targheeb 3457, Abu Dawood 3883, Haakim 4/241))
Hazrat Abu Basheer Ansari (Razi Allahu Anhu) ka bayaan hai ke main ek safar mein Nabi (ﷺ) ke saath tha, Aap (ﷺ) ney ek qasid ke zari'ah hukm bhijwaya ke "kisi ount ke galey mein taa'nt ka koi haar rehne na diya jaye" ya Aap (ﷺ) ney farmaya ke "jahan kisi ount ke galey mein kisi qism ka haar nazar aaye usey kaat diya jaye."
(Bukhaari 3005, Muslim: Kitabul Libaas, Musnad Ahmed 5/216, Abu Dawood 2552))
Kuch ahle ilm Qur'aani Taweez ko jayiz qarar detey hai lekin darj zail wujuhaat ki bina par is se bhi bachna hi behtar hai:
●Taweez latkaney ki mumaniyat umoomi hai, is mein kisi cheez ki khususiyat ki koi daleel nahi hai.
●Qur'aani taweez kal ko ghair Qur'aani taweez pehanney ka bhi zari'ah ban saktey hain.
●Baitul'Khala (mubashirat, ahtelaam aur janabat aur haiz wa nifaas) wagera mein bhi Qur'aani aayaat ke taweez saath hi honge (jis se yaqeenan Quran ki be-hurmati hogi)
●Quran se shifa hasil karne ka ek khaas tariqa hai aur wo yeh hai ke usey padh kar mareez par dum kiya jaaye, lehaza is aamal se tajawuz nahi karna chahiye.
(Usool Ul Emaan Fee Zauil Kitaabi Wa as-Sunnah (Page: 47))
Ibraheem Nakhayi (Rahimahullah) bayaan farmatey hain ke Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) Qur'aani aur ghair Qur'aani har qism ke taweez ko na-pasand farmatey they.
(Musannaf Ibne Abi Shaiba (23933), (7/374)
Allamah Shamsh Ul Haq Azeem Aabadi (Rahimahullah) inhune naql farmaya hai ke Qazi Abu Bakr al-Arabi (Rahimahullah) jamia tirmidhi ki sharah mein farmatey hain: "Quran ko (taweez ki surat mein) latkana sunnat tariqa nahi, balke latkaney ke bajaye sunnat yeh hai ke usey padh kar nasihat haasil ki jaaye."
(Awn Al-Ma'bood (10/250))
Shaykh Ibne Baaz (Rahimahullah) "Qur'an E Kareem ya jayiz duaon ke taweez ke mutalliq ahle ilm ka ikhtilaaf hai, lekin sahih baat yeh hai ke yeh taweez bhi do wajhe se na-jayiz hai, ek yeh ke mumaaniyat ki ahadees mein umoom hai jo Qur'an aur ghair Qur'an dono tarha ke taweez ke liye aam hain, doosrey yeh ke zari'ah e shirk ki rok thaam (bhi zaroori hai) kuyn ke agar Qur'aani taweez ki ijaazat dey di jaye tou nateeja yeh nikleyga ke is mein doosrey taweez bhi mil jayengey aur yun shirk ka darwaaza khul jayega, aur yeh baat maloom hi hai ke shirk aur gunaah ke tamaam zari'ah ko rokna shariat ke ahem qawaaid mein se hai."
(Kitab ud-Dawaat (Page: 20))
Shaykh Ibne Uthaymeen (Rahimahullah) "Qur'aani taweez se rokney waalon ki baat hi haq se ziyadah qareeb aur sahih hai kuyn ke aisa karna Nabi ﷺ sey saabit nahi, jab ke saabit yeh hai ke mareez par (Qur'aani aayaat aur masnoon wazayif ke saath) dum kiya jaye, lekin agar aayaat aur duaaon ko mareez ki gardan mein latkaya jaye, ya bazu par bandha jaye ya takiye ke neechey rakhwaya jaye tou yeh tamaam kaam na-jayiz hain kuyn ke inka koi saboot maujood nahi."
(Majmu Fatawa Ibne Uthaymeen (1/139))
Shaykh Saleh al-Fauzaan (Hafizahullah) "Sahih rai yeh hai ke Qur'aani taweez latkana bhi mana' hai" Shaykh Abdur Rahman Bin Hasan aur un se pehley Shaykh Sulaimaan Bin Abdullah ney bhi is rai ko tarjee di hai.
('Iaanatul Mustafeed Bi Sharah Kitabut Tahweed 1/142))
》Yahan yeh bhi yaad rahe ke Qur'aani taweez latkaney ka mazeed nukhsaan yeh hoga ke:
●Allah(ﷻ) ko masaib wa takaleef door karney waala samhjney ke bajaye taweez ko sab kuch samhj liya jayega,
●Bimaari mein Allah(ﷻ) se dua mangney ya tabi ilaaj maalij karney ke bajaye mehz taweez hi par aitemaad kar liya jayega, halanke shariat mein bimaar ko Allah(ﷻ) se duayen mangney aur tabi ilaaj maalij karney ki targheeb dilaayi gayi hai,
●Taqdeer par emaan ke bajaye yeh yaqeen kar liya jayega ke taweez taqdeer bhi badal sakta hai.
Yeh mehz imkanaat hi nahi balke jahan bhi taweez latkaney ki ijaazat di gayi hai wahan par yehi surat e haal hai ke log Allah(ﷻ) se dua mangney aur masnoon azkaar o wazayif ki paabandi karney ki bajaye mehz takiye ke neechey taweez rakh leyna ya usey paani mein ghol kar pi leyna ya usey bazu par bandha leyney ko tarjeeh deyte hain, aur is tarha dua jaisi azeem ibadat aur haqiqi wa sharayi tareeqe e ilaaj se bhi mehroom ho jaatey hain, is liye bila-shubah jadu ya kisi bhi marz se bachao ya ilaaj ke liye taweez latkaney ki ijaazat deyna durust nahi balke is ke bar-aks logon ko taweez utaar ney ki dawat deyni chahiye...
Reference: |Kitaab: Jadu Jinnaat Sey Bachao Ki Kitaab. Taleef: Hafiz Imran Ayub Lahori Hafizahullah. Page: 73-75|
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS