Kya Apne Maa Baap ya Aulad ki Kasam khaya Ja Sakta hai?
Kasam khane ka matlab kya hota hai jise log har bat pe Kasam khate hai maslan Kabhi Biwi Ki, Mahbooba ki ya Mohabbat ki Kasam had to Tab hoti hai jab Koi Apne Maal o Daulat ya Apne Talim (विद्या) ki Kasam Khate hai, Kya Is tarah Kasam khana Jayez hai?
Bismillahirrahmanirrahim
--------------------------------------------
Kasam Khana pade to Sirf Ek Allah ki khao
--------------------------------------------
Hadees: Hazrat Abdullah bin umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi kasam khaye warna khamosh rahey.
(Sahih Bukhari, 2679)
Hadees : Hazrat Ibn 'Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki wo Hazrat Umar bin khattab Radi Allahu Anhu ke pass gaye tab wo kuch logon ke saath they aur us waqt Hazrat Umar Radi Allahu Anhu apney walid ki kasam kha rahey they is par Rasoolullah ﷺ ne unhey pukar kar farmaya aagaah ho jao ki Yakeenan Allah subhanahu tumhey mana karta hai ki tum apney walid ki kasam khao, agar kisi ko kasam hi khani hai to wo Allah ki kasam khaye warna chup rahey.
🔰 (Sahih Bukhari, 6108)
Note: Aksar Dekha Jata hai Log Khud ki ya Kabhi Maa baap Ki ya Kabhi Aulad ki ya Kabhi Biwi ki Kasmein to Kabhi Mahbooba to kabhi Mashooqa ki ya Mohabbat ki Kasam bhi khate hain Lekin ye Jayez nahi Isse Mna Kiya gya hai.
Al Qur'an- Aur Naseehat Karte rahein Yakeenan Naseehat Imaan walon ko Faida Deti hai(51:55)
-------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment