Allah ke Najdik Kisi Kafir ki Ahmiyat.
Allah ke Najdik Yah Duniya ke Maal o Asbab, Hire Jawajrat ki kitni Ahmiyat hai?
Allah ke Najdik Duniya ki kya Haisiyat hai?
what is the Value of Kafir according to Quran-o-Hadees
*Bismilahirrahmanirrahim*
-------------------------------------------
*ALLAAH KE NAZDEEK KAAFIR KA MAQAAM !*
Raavi e Hadees Sahl Bin Sa’d (رضي اللّٰه عنه),
•
Rasool Allaah (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) ne farmaaya:
•
" لَوْ كَانَتِ الدُّنْيَا تَعْدِلُ عِنْدَ اللَّهِ جَنَاحَ بَعُوضَةٍ مَا سَقَى كَافِرًا مِنْهَا شَرْبَةَ مَاءٍ " .
•
*“Agar Allaah ke nazdeek Duniya ki qadar (wa qeemat ya ahmiyat) Machchar ke parr ke baraabar bhi hoti to kisi Kaafir ko us se Ek Ghoont Paani bhi na pilaata.”*
•
Jaami’ At-Tirmizee, Kitaabuz-Zuhd, Hadees [Hasan]: 2320📚
•
WAZAAHAT: 🔰
*Maf-hoom ye hai ke Allaah (تعالیٰ) ke nazdeek Dunya ki koi Qadar wa Qeemat nahin hai balke Haqeer se Haqeer cheez hai, us ki haqaarat ki daleel ye hai ke agar Allaah ke nazdeek Duniya ki koi Qadar wa Qeemat hoti to usey sirf apne Mahboob Bando ko nawaazta, jab ke haal ye hai ke usey apne Dushmano ya'ni Kuffaar aur Mushrikeen ko deta hai,*
•
*Ye mumkin hi nahin hai ke dene waala apne Dusmano ko woh cheez de jo us ke nazdeek Qadar wa Qeemat waali ho, Kaafiro ko Jannat ki Ek Adnaa Ni'mat se isi liye Mahroom rakha gaya hai kyunke Jannat Allaah ke Mahboob Bando ke liye hai, na ke us ke Dushmano ke liye,*
•
*Ma'loom hua ke Allaah ke nazdeek Dunya aur us ke maal wa asbaab ki qat'an koi ahmiyat nahin hai, lihaazaa Ahl Eemaan ke nazdeek bhi us ki zyaadah ahmiyat nahin honi chaahiye balke usey Aakhirat ki zindagi sawaarne ka ek zaree'ah samajhna chaahiye.*
---------------------------------
No comments:
Post a Comment