Ghar ko Qabristan banne se kaise bacha sakte hai?
Jab ham apne Ghar me Quran ki tilawat karte hai to Shaitan Hamare Ghar me dakhil nahi hota.
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ مُحَمَّدٍ، عَنْ سُهَيْلِ بْنِ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: لَا تَجْعَلُوا بُيُوتَكُمْ مَقَابِرَ، وَإِنَّ الْبَيْتَ الَّذِي تُقْرَأُ فِيهِ الْبَقَرَةُ لَا يَدْخُلُهُ الشَّيْطَانُ.
नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: अपने घरों को क़ब्रिस्तान ना बनाओ। वो घर जिसमें सूरह अल-बक़रा (सूरह न• 2) पढ़ी जाती है उस घर में शैतान दाख़िल नहीं होता।
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”apne gharon ko qabristan naa banao, woh ghar jis mein surah al-baqrah (sunar no. 2) parhi jati hai uss ghar mein shaitan daakhil nahi hota“.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”اپنے گھروں کو قبرستان نہ بناؤ۔ وہ گھر جس میں سورۃ البقرہ (سورہ 2) پڑھی جاتی ہے اس میں شیطان داخل نہیں ہوتا“
The Prophet ﷺ said, Do not turn your houses into graves. Indeed Ash-Shaitan does not enter the house in which Surat Al-Baqarah (surah no. 2) is recited.
📜 *wazahat:* yani jin gharon mein surah al baqara padhi jaati hai (chahe ek ayat ya ek ruku hi kyun na ho) uss ghar mein shaitan dakhil nahi hota, nabi kareem ﷺ ne farmaya jis kisi ne surah baqra ki aakhri 2 ayato ko raat mein padha (sone se pehle), *wo shakhs har burayi aur shaitan ke shar se mehfuz rahega.* Iss hadees mein qabristan se muraad hai yaani jin gharon mein Quran ki tilawat aur nawafil namazon ki taqeed nahi ki jaati hain wo qabristan ke misaal jaise hain, jis tarah qabre amal aur ibadat se khaali hoti hain aise ghar bhi amal aur ibadat se mehroom qabristan ke manind hote hain. [📗Tirmidhi: 451]
📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 5, kitab fazail Al-Quran 45, hadith no. 2877*_
*Grade sahih*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
No comments:
Post a Comment