Aazan ka Urdu me Tarjuma (Translation)
Aazan ka Meaning kya Hota hai?
Bismillahirahmanirrahim
------------------------------------------
Hum Sub Daily Aazan Sunte hain Aur Phir Namaz bhi Padhte Hain, Isliye Tarjuma/Matlab bhi Janna chahiye Aazan ka.
Azan with Urdu translation
------------------------------------------
اَللهُ أَكْبَرُ، اَللهُ أَكْبَرُ
Allaahu Akbar, Allaahu Akbar
Allah Sabse bada hai
Allah Sabse bada hai
اَللهُ أَكْبَرُ ، اَللهُ أَكْبَرُ
Allaahu Akbar, Allaahu Akbar.
Allah Sabse bada hai
Allah Sabse bada hai
أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ
أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ
Ash-hadu an laa ilaaha illaallaah
Ash-hadu an laa ilaaha illaallaah.
Mein gawahi deta hu ke Allah ke Siwa koi mabud nahi
Mein gawahi deta hu ke Allah ke Siwa koi mabud nahi.
أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللهِ
أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَّسُولُ اللهِ
Ash-hadu anna Muhammadan Rasool-Allah
Ash-hadu anna Muhammadan Rasool-Allah.
Mein gawahi deta hu ke beshaq Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hai.
Mein gawahi deta hu ke beshaq Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hai.
حَيَّ عَلَى الصَّلَاةِ
حَيَّ عَلَى الصَّلَاةِ
Hayya ‘alaas-salaah
Hayya ‘alaas-salaah
Aao Namaz ki tarf
Aao Namaz ki tarf
حَيَّ عَلَى الْفَلَاحِ
حَيَّ عَلَى الْفَلَاحِ
Hayya ‘alaal-falaah
Hayya ‘alaal-falaah
Aao Kamyabi ki taraf
Aao Kamyabi ki taraf
اَللهُ أَكْبَرُ ، اَللهُ أَكْبَرُ
Allaahu Akbar, Allaahu Akbar.
Allah Sabse bada hai
Allah Sabse bada hai
لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ
Laa ilaaha illaallaah.
Allah ke siwa koi mabud nahi
------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment