find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Biwi Apne Shauhar ko Ghusal De sakti Hai?

Biwi Apne Khawind (Husband) ke Mayyat ko Gusal de sakti hai.
-------------------------------------------
Aisa kahna galat hai ki Maut ke baad Nikah Toot Jata hai, or biwi Apne Khawind (Husband) ko nhi Dekh Sakti hai.❌
-----------------------------------------------
Hazrat Aisha (ra) kehti hain ke "Agar mujhe apni is baat ka ilm pehle hi ho gaya hota jo baad mein huwa to nabi akram ﷺ ko aap ki biwiyan hi ghusal deti".
📚 Sunan ibne majah: 1464
📚(Abudawood :3141)

wazahat:
----------------------
👆iss hadees se ye baat wazeh hoti hai ke biwi apne shohar ko (inteqal ho jane ke baad) Gusal de sakti hain kyun ke biwi mehram hum raaz hoti hai, aur iss se satar bhi nahi hota, pas iska ghusal dena shauhar ko be nisbat dusron ke awwal aur behtar hai.

👆Es hadees se ek aur baat ka RADD (Cancel) hota hai ke shohar ke wafaat ke baad biwi apne khawind ko nahi dekh sakti, balke wo dekh bhi sakti hain aur ghusal bhi de sakti hain.
( हर बात दलील के साथ)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS