Sajde me dua mangna kaisa hai?
Banda Apne Ran ke Kareeb Kab hota hai?
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلَمَةَ، قال: حَدَّثَنَا ابْنُ وَهْبٍ، عَنْ عَمْرٍو يَعْنِي ابْنَ الْحَارِثِ، عَنْ عُمَارَةَ بْنِ غَزِيَّةَ، عَنْ سُمَيٍّ أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: أَقْرَبُ مَا يَكُونُ الْعَبْدُ مِنْ رَبِّهِ عَزَّ وَجَلَّ وَهُوَ سَاجِدٌ فَأَكْثِرُوا الدُّعَاءَ.
नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: बंदा अपने रब से सबसे ज़्यादा क़रीब सजदे की हालत में होता है, लिहाज़ा ( सज्दे में ) तुम लोग बकसरत दुआ किया करो।
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: bandah apne rab se sab se zeyada qareeb sajde ki halat mein hota hai, lehaza ( sajde mein ) tum log bakasrat dua kiya karo.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، بندہ اپنے رب سے سب سے زیادہ قریب سجدہ کی حالت میں ہوتا ہے، لہٰذا ( سجدے میں ) تم لوگ بکثرت دعا کیا کرو۔
Allah's Apostle ﷺ said, The closest that a person can be to his Lord, the Mighty and Sublime, is when he is prostrating, so increase in supplication then.
*wazahat:* sajdah Namaz ka ek hissa hai aur iski adaigi zameen par naak aur peshani rakhne se hoti hai chunancha jab namazi yeh amal karta hai to us waqt woh apne Rab ke qareeb tareen hota hai. Quran Majeed se is ki taeed is tarha hoti hai: _"..aur sajda kar aur qareeb hoja"_ [ Quran 96:19].
Kasrat sujood Allah taala ko bohat pasand hai kyun ke is mein Allah taala ke samnay inteha darje ki aajzi, inkisari aur bandagi ka izhaar hota hai, isliye momin ko chahiye ki sajde ki halat mein qasrat se dua kiya karen.
_*Sunan Nasai: jild 2, kitab At-Tatbiq 12, hadith no. 1138*_
*Grade: Sahih*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
No comments:
Post a Comment