Tawheed ki 3 qismein hai
Tauheed ki kitni qismen hai ?
1)Tawheed e rabubiyat
*Yaani Allah rabb hai
*Rabb yaani
1)Maalik
2)Khaliq
3)raziq
4)tdbeer krne waala
5)nafa o nuqsaan ka maalik
6)zindagi o maut ka Malik
7)hajat rawa, muskhil kusha
*Allah ko rabb kafir bhi maante hai... Isse laazim aata h tawheed ki dusri qism bhi hai
2)Tawheed e uloohiyat (ibadat)
*Yaani tamaam ki tamaam Ibadatein sirf o sirf Allah k lea hai
*Yhi kalma e tawheed hai la ilaha ilal la yaani Allah k siwa koi saccha mabood nhi hai aur yhi tamaam Ambiya ki buniyadi aur pehli dawat thi
*Saccha mabood yaani saccha ibadat k layaq.. Yaani sirf Allah saccha mabood hai.. Baaqi sb batil mabood hai..
*ibadat sirf yh nhi k namaz, roza, zakaat balke ibadat yh bhi k Allah se mohbbat, Allah se umeed, darr, tawakkul, nazar o niyaz, panah talab krna, madad maagna, qurbani krna
3)Tawheed e Asmao sifaat
*Yaani jo naam aur sifaat Allah ki quran majeed mai aur sahih hadees mai aae hai unka iqraar krna.. In shrto k saath
1)Inkaar nhi krna
2)kefiyat(kaisa) bayaan nhi krna
3)taweel(change) nhi krna...
4)misal bayaan nhi krna (yaani allah se kisi ko compare) kynki allah ki jaisa koi nhi hai allah ki tamaam sifaat allah ki shaan k layaq hai..
Allah rehem krta hai
To ham aqeeda rkhte hai k Allah rehem krta hai, ham iska inkaar nhi krte, ham kefiyat bayaan nhi krte k allah kaise rehem krta hai, Ham maene ko change nhi krte na he ham allah ka rehem krna kisi se compare krte.. ALLAH ka rehem krna allah ki shaan k layaq hai.
Masha Allah
ReplyDelete