Islam me jis tarah bachho ke maa, baap,ke huqook hain usi tarah biwiyon ke bhi huqook hain.
Jaisa ke muashre me Aam hame dekhne Ko milta hai ke kuch log apni Biwi Ko pasand nahi karte aur unhe talaaq Dena chahte hain, Lekin talaaq ke Baad jo Biwi ko Haq mehar Dena hota hai, isliye wo shohar apni biwiyon ke saath badsulooki(zulm) kar dete hain, taki tang akar Biwi khud hi khul'aa le le.
Aur is tarah shohar Ko Haq Mehar Ada nahi karna padega‼
Islam ne is cheez Ko bhi Roka hai,
Jaisa ke Irshad e Bari tal'a hai :-
Arabic:-
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا یَحِلُّ لَکُمۡ اَنۡ تَرِثُوا النِّسَآءَ کَرۡہًا ؕ وَ لَا تَعۡضُلُوۡہُنَّ لِتَذۡہَبُوۡا بِبَعۡضِ مَاۤ اٰتَیۡتُمُوۡہُنَّ اِلَّاۤ اَنۡ یَّاۡتِیۡنَ بِفَاحِشَۃٍ مُّبَیِّنَۃٍ ۚ وَ عَاشِرُوۡہُنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِ ۚ فَاِنۡ کَرِہۡتُمُوۡہُنَّ فَعَسٰۤی اَنۡ تَکۡرَہُوۡا شَیۡئًا وَّ یَجۡعَلَ اللّٰہُ فِیۡہِ خَیۡرًا کَثِیۡرًا ﴿۱۹﴾
Roman :-
Aye' Emaan walo! Tumhen halal nahi kay zabardasti aurton ko virsay mein ley betho unhen iss liye rok na rakho kay jo tum ney unhen dey rakha hai uss mein say kuch ley lo haan yeh aur baat hai kay woh koi khuli buraee aur bey hayaee keren unn kay sath achay tareeqay say bod-o-baash rakho go tum unhen na pasand kero lekin boht mumkin hai kay tum kissi cheez ko bura jano aur Allah Taalaa iss mein boht hi bhalaee ker dey
Surah Nisa ayat no 19 📚
Agar Biwi burai aur be hayaai par utar ayi hai tab use choda ja Sakta hai‼
Aisa nahi hai ke khwaah ma khaa choti choti baton par ladaai ki jaye -
Jaisa ke :- saalan me namak zyaada pad Gaya to is baat par ladaai ki, use mara aur aye din jhagda shuru kar diya, taki tang akar khul'aa le le aur aur mujhe Haq Mehar Ada na karna pade.
Is ayat se ye baat bhi pata chalti hai ke agar Biwi be hayaai par utar ayi to uske shohar Ko ikhtiyaar hai ke wo apni Biwi Koburai, aur behayaai se roke ‼
Misaal ke Taur par agar kisi ki Biwi Bina parde ke baahar nikalti hai to uske shohar Ko chahiye ke wo ZAbardasti use parda karwaye ‼
Pehle akhlaaq se samjhaaye, phir pyaar se samjhaaye, phir ZAbardasti samjhaaye, aur agar Biwi fir bhi baaz na aye to fir aisi Biwi Ko saath rakhne ki koi zarurat nahi hai, Lekin Sabse pehle Islah ki koshish ho I chahiye
Kyunki ye khawand ki Zimmedari hai ke wo apni biwi, aur bachho Ko dozakh ki Aag se bachaaye‼
To be continued in Sha allah .........
Allah se dua hai ke wo hame kehne sunne se zyaada amal ki taufeek ata farmaye ameen.