find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Taweez Latkane walo Ne Shirk kiya. ( Shirk ki tafsilat 10)

Momeeno ke liye to Allah hi kafi hai fir taweez ki kya jarurat?
  Shirk ki Tafsilaat : Part -10*
------------------------------------
*Taawiz-ganda pahbZsh’na Shirk hai.

🍃BismillahirRahmanNirRaheem?
-------------------------------------
*📘Jawab:*
  “(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.
*📙(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)

*🍃  “Un me se Aksar log Allah par Imaan  rakhne ke bawajood bhi MUSHRIK hi hai”.
*📙(Surah 12 Yousuf: Ayat 106)

*Momino ke liye Allah Kaafi hai:

يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِىُّ حَسْبُكَ ٱللَّهُ وَمَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلْمُؤْمِنِينَ

*“Aye Nabi!, Tujhe Allah kaafi hai aur un momino ko jo teri pairwi kar rahe hai”.*

*📙(Surah 08 Anfaal : Ayat 64)*

*🔴 Kisi bhi tarah ka TAAWIZ pahen’na SHIRK hai:

1  “Uqba (R)  farmate hai ke Rasoolullah ke paas 10 admiyao ka giroh bayat karne ke liye aya, Allah ke Rasool ne 9 admiyo se bayt karne ke liye apna hath aage badhaya lekin aakhri 10 we admi se bayt karne ke liye apna hath nahi badhaya,  to logo ne puchha aap ne 9 logo se bayt li aur 1 ko kyun chhod diya ? Rasoolullah ne kaha dekhte nahi ho iske galle me TAAWIZ hai, jab us admi ko malum huwa to usme apne qamis (shirt) me hath daal kal TAAWIZ nikal fek diya, jab us ne TAAWIZ kaatkar fek dene ke baad Rasoolullah ne apna hath badhaya bayt ke liye. Uske baad Rasoolullah ne 1 Usool bataya : “Jis admi ne TAAWIZ latkaayi usne SHIRK kiya”.
📙(Musanad-e-Imam Ahmad)

2. “Uqba ibn Ameer ne riwayat kiya hai ke Rasoolullah ne kaha : agar koi tawiz pahene to Allah uski khawish puri karne me uski madad na kare. Agar koi gale me (samandar ki) sip pahenta hai Allah usko Aman na de”.
*📙(Musanad-e-Imam Ahmad and Al-Hakim)

3  “Imran bin Hasan ne riwayat kiya ke Rasoolullah ne ek adami ko dekha jo apne hath me Copper ka bracelete (Tambe ka Kangan) pahena huwa tha. Rasoolullah ne kaha : tujh par musibat aa jaaye, yah kya hai?  Us admi ne jawab diya : Mere kandhe aur hath dard hone ki wajah se mai kamzori mahsus kar raha hu (Al Wahinah). Rasoolullah ne us se mana kiya  kyun ke ye ek taawiz ki shakl hai. Rasoolullah ne kaha : Yeh apko kuchh nahi dega siway dard ke. Fek de ise”. Aagr tu ise pahne huye mar jata, to tu kabhi najaat hasil nahi kar pata”
📙(Musnad-e- Imam Ahmad)

🔴 Log TAAWIZ kyun pahente hai?

🔹Beshak Allah ne Quran me Shifa rakhi hai. Ham Quran ke makhsus (khaas) surato ko padh kar unse dam kara sakte hai, ye dam karne ka tariqa Sunnat-e-Rasool se sabit bhi hai, lekin Quran ki ayato ka taawiz bana kar pahenna hamare Nabi ki Sunnat nahi hai.*

🔹 Log ka kahena ye hai ke Qurani Ayato ki taawiz banakar pahen ne me kya harz hai kyunke Allah ne Quran ke andar Shifa rakhi hai. Ye baat to sahih hai, waise Nabi s aur Sahaba (Rz) ko  bhi malum tha ke Quran ke andar Allah ne Shifa rakhi hai lekin unone Qurani ayato ka Taawiz banakar nahi pahena.

🔹 Dusari taraf Allah ne ye bhi kaha hai ke “Shahad” (honey) ke andar bhi usne Shifa rakhi hai to kya aap Shahad ki bottle ko bhi apne gale me bandhkar ghumoge?

*✔ Jaise ke Allah ne Quran aur shahad ke bareme ye farmaya:

1
وَلَوْ جَعَلْنَٰهُ قُرْءَانًا أَعْجَمِيًّۭا لَّقَالُوا۟ لَوْلَا فُصِّلَتْ ءَايَٰتُهُۥٓ ۖ ءَا۬عْجَمِىٌّۭ وَعَرَبِىٌّۭ ۗ قُلْ هُوَ لِلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ هُدًۭى وَشِفَآءٌۭ ۖ وَٱلَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ فِىٓ ءَاذَانِهِمْ وَقْرٌۭ وَهُوَ عَلَيْهِمْ عَمًى ۚ أُو۟لَٰٓئِكَ يُنَادَوْنَ مِن مَّكَانٍۭ بَعِيدٍۢ

  “(Aye Rasool) aap kahe dijiye! ke ye (Quran) to imaan waalo ke liye hidaayat wa shifa hai.
*📙(Surah 41 Fusilat : Ayat 44)

2  “Aap ke Rab ne shahad ki makkhi (honey bee) ke dil mei ye baat  daal di ke pahaado me darakhto (dedo) aur logo ki banaayi huyi oonchi oonchi tattiyo mei apne ghar (chatte) bana aur har tarah ke mewe kha aur apne Rab ki aasaan raaho me chalti phirti rah, un ke pet se rang bi rang ka mashroob nikalta hai jis ke rang mukhtalif hai aur jis me (shahad me) logo ke liye shifa hai, ghaur wa fikr karne walo ke liye is me bhi bahut badi nishaani hai”.*
*📙(Surah 16 Nahl : Ayat 68-69)

  Taawiz pahen’na SHIRK kyun hai?

Sabse badi baat ye hai ke Allah ke Rasool  ne bata diya ke Taawiz pahenna Shirk hai, is baat ke pichhe hikmat ye dikhti hai ke :

Insan Taawiz, dhage-dore, gande kyun pahenta hai?
iske pichhe pahen’ne wale ka aqeeda ye hota hai ke jab tak taawiz ya dhaaga mere jism par rahega mujhe koi nuqsan nahi pahuncha sakta goya ke Insan Allah ke bajay Taawiz par ehtemaad aur bharosa karne lag jata hai, isliye ye amal SHIRK ke andar daakhil ho jata hai kyunke nafa-nuksaan ka maalik sirf Allah hi hai,

*✔Jaise ke Allah ka irshad hai:*

*🍃  “Keh dijiye hame koi musibat  pahunch nahi  sakti magar jo Allah ne hamaari qismat me likh rakhi hai, wo hamara kaarsaaz aur Maula hai, Mumino ko to Allah ki zaat par hee bharosa karna chaahiye”.
*📙(Surah 09 Tawbah : Ayat 51)

*🔴 Khulasa :

1. Awwal to Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam Taawiz pahen ne shirk karar diya hai jisne dhage-dore, palite, kangan sab aajate hai.*

2. Dusari baat, jis tarah Shahad (honey) ki bottle ko gale me baandh kar latkaane se shifa nahi milegi, usko khana padega, usi tarah Quran ki makhsus surato ko padhkar usse dam karakar ham Shifa hasil kar sakte hai.

3 Momino ke liye Allah Kaafi hai:

يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِىُّ حَسْبُكَ ٱللَّهُ وَمَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلْمُؤْمِنِينَ

“Aye Nabi!, Tujhe Allah kaafi hai aur un momino ko jo teri pairwi kar rahe hai”.
📙(Surah 08 Anfaal : Ayat 64)

Wallahu Alam Sawab.
-------------------------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS