Jaali Taweez Aur Manghadat Wazeefe
Aaj kal jaali taweezat aur manghadat wazeefon ka kaarobar (business) apne zoron par hai, TV aur social media waghera par aap ko deen se door hazraat telephone calls ke jawabaat mein kuch is tarah ke deeni totke batate nazar aayenge:
.................“Ek Madni behan ne rizq ki kushadgi ke liye kaha to wazeefa paish e khidmat hai” Har namaz ke baad awwal o aakhir durood shareef ke saath “Ya Razzaq” padhen In sha Allah rizq mein ziyadti aur kasrat hogi”.................
Yeh sirf ek misaal thi haqeeqat mein roz-marrah (daily) ke mukhtalif masail jaise shadi mein rukawat, balaaon (museebaton) ko talna, aulaad ka husool, ya kisi bhi khaas khwahish (Desire) ko poora karne ke liye aise hi jaali wazeefon ka istemaal mamool ban chuka hai jis ki Quran o Sunnat to door ki baat balki Sahaba e Kiraam, Taba’een aur Salaf e Saliheen ke daur mein bhi koi daleel nahi milti.
Shariyat ka hukm:
Agar aap Quran o Hadees ka mutala karen to aap ko rizq mein kushadgi, aulaad ke husool, museebaton se bachne waghera jaise har masle ka hal mil jayega. Misaal ke taur par rizq mein kushadgi ke liye Kitaab o Sunnat ki taleem yeh hai:
مَنْ أَحَبَّ أَنْ يُبْسَطَ لَهُ فِي رِزْقِهِ، وَيُنْسَأَ لَهُ فِي أَثَرِهِ، فَلْيَصِلْ رَحِمَهُ
Tarjumah: (Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya) Jo chahta ho ke us ki rozi mein kushadgi ho aur us ki umar mein izafah ho to woh sila rehmi kiya kare.
(Sahih Bukhari: 5986 and Sahih Muslim: 2557)
Isi tarah Quran o Hadees mein kayi maqamat par rizq mein barkat aur doulat mein ziyadti kaise ho iska zikr milta hai.
Lekin Afsos!
Chunki rizq ki kushadgi ke liye Kitaab o Sunnat mein maujood ahkamaat par amal karna mushkil aur jaali wazeefon ka 111 baar wird karna asaan amal hai is liye aksar log Sahih aur khalis deen ko chor kar jahilon ke ijaad kiye huwe naqli deen par amal kar rahe hain.
Kya Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka chora huwa deen na-mukammal tha jo logon ko aisi shariyat-saazi ki zaroorat paish aa gayi?
Kya is naam Nihaad deeni giroh mein zara bhi Allah ka khauf nahi raha ke logon ko Kitaab o Sunnat ki taleemat se door kar ke apne banaye huwe gumraah karne waale deen par lagane mein mashgool hain?
No comments:
Post a Comment