Juma se mutalliq Aam malumaat
--------------------------------------------------
*Jume ki namaz ke liye awwal waqt me masjid jana*
📚 *(Sahih Bukhari:#929)
--------------------------------------------------
*Juma ki Namaz se pahle 2 Rikat Tahyatul masjid padhna.*
👉Baki Nafil Namaz jitna chahe padhe.
📚 *[Bukhahri: 930,1166]
=========================
*Juma ki Namaz ke bad 4 rikat sunnat hai(agar masjid me ada kre to) ghr ja kar ada kre to 2 Rikat hai.*
*Nafil Namaz jitna chahe utna padh Skte hain eski koi limit nhi.*
📚 *[SAHIH MUSLIM:#1915]
*[ABU DAWOOD:#1127]
=========================
*Juma mubarak kahna 1 nayi Ejad hai islam me..*
➡ *Deen me koi bhi nayi cheez Shamil krna bidat hai*
📚 [Sahih al bukhari:2697]
=========================
*Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega*
📚 *[Mustadrak Hakim 3392]*
[Sahih Al jamee 647]
*Juma khutba (Taqreer) baith kr dena Sabit nhi*
👉 *baith kar juma ka khutba dena khilaf-e-sunnat hai* 👇👇
--------------------------------------------------
👉Jaabir se riwayat hai ke Rasool’Allah *khade hokar khutba dete aur 2 khutbo’n ke darmiyan baith‐te. Jo shaqs ye kahe ke Aap baith kar khutba dete the is ne ghalat bayaani ki.*
📚(Sahi Muslim: al Juma 862)
👉Nabi e Rahmat(ﷺ) ne *khade hokar khutba diya aur Aap ke hath mein A’asaa ya kamaan (Stick or Bow) thee.*
📚 (Abu Dawood: al Salah 1096)
*Kya Aurat Juma ki Namaz ghr me padh Sakti hai*❌
----------------------------------------------------
*"Nahi"* 👇
👉 Aurat agr *ghr me pdhegi to Usko "Zohar" Ki Namaz pdhni hai na ki Juma ki.* kyu ke Juma ki Namaz Masjid me hi hoti hai , Jamat ke sath, Yahi Sunnat se Sabit hai.
--------------------------------------------------------
*Zohar ki Rikat* 👇
👉Pahle:- 4 Rikat Sunnat
👉Farz:- 4 Rikat
👉Baad me 2 Rikat Sunnat
(Baki Nafil Namaz ki koi fix Tadad Hadees se Sabit nhi, Aap jitna chahe utna padhiye)
📚[Jam e Tirmazi # 414]
( *हर बात दलील के साथ*)
No comments:
Post a Comment