"CAB me ye "4 Problems" hain, Jo hme pta Hona Chahiye.
-------------------------------------------------
1) *Nastik* (Jo koi Religion me nhi manta hai) Unke liye Es Act me kuch nhi bataya gya hai, Agar koi kahe ki mai Nastik hu to usko kis Religion se Joda jayega.
(Around *3% log* India me Nastik hain (Wikipedia)

2) *Desh ke internal Security* ko Khatra hai, Ham Sab jante hain ki jo log jis Country ke hote hain usi se Mohabbat karte hain Sabse Zayada, To Doosre Country se aaye huye Hindu , Christian, Etc. Army bhi join krne ka Rights milega unko To wo hamare desh se Gaddari bhi kr Sakte hain , Jisse hme khatra ho Sakta hai, Ese Samjhne ki zaroort hai.
3) Ye *Constitution ke "Article 14" ke Khelaf hai*, Jo ye Kahta hai ki "Right to Equality" (Sabko Equal Treat krna hai)
4) Es Act me *Jo Log "Sri Lanka"* se Aaye hain, *Ya "Myanmar"(Barma)* se Aaye Muslims hain unke bare me Kuch nhi bataya gya hai, Ab enka kya hoga? Ye rahenge ya jayenge?
Es Problems ki wajah se Supreme court esko Reject bhi kr Sakti hai, Ya fir se Amendment krne ko kah Sakti hai.
Sare Muslim bhai Se Guzarish hai ki Aap Hukumat ke Khelaf sirf na Bol kar, Blke wo Constitutionally Valid nhi hai eski baat kre.
( हर बात दलील के साथ)
No comments:
Post a Comment