Logo me Sabse Behtar aur sabse badtar Shakhs Kaun Sa hai?
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺حَدَّثَنَا أَبُو حَفْصٍ عَمْرُو بْنُ عَلِيٍّ، حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ الْحَارِثِ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ زَيْدٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي بَكْرَةَ، عَنْ أَبِيهِ، أَنَّ رَجُلًا، قَالَ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، أَيُّ النَّاسِ خَيْرٌ ؟ قَالَ: مَنْ طَالَ عُمُرُهُ وَحَسُنَ عَمَلُهُ قَالَ: فَأَيُّ النَّاسِ شَرٌّ ؟ قَالَ: مَنْ طَالَ عُمُرُهُ وَسَاءَ عَمَلُهُ.
एक शख़्स ने अर्ज़ किया, अल्लाह के रसूल ﷺ! लोगों में सबसे बेहतर शख़्स कौन है?
आपने फ़रमाया: जिसकी उम्र लंबी हो और अमल नेक हो, उस आदमी ने फिर पूछा की लोगों में सबसे बदतर शख़्स कौन है? आपने फ़रमाया:जिसकी उम्र लंबी हो और अमल बुरा हो।
🌺Ek shakhs ne arz kiya: Allah ke rasool ﷺ! logon mein sab se behtar shakhs kaun hai? aap ne farmaya: ”jis ki Umar lambi ho aur amal nek ho“, us aadmi ne phir poocha ke logon mein sab se badtar shakhs kaun hai? aap ne farmay: ”jis ki Umar lambi ho aur amal bura ho“.
ایک شخص نے عرض کیا: اللہ کے رسول ﷺ! لوگوں میں سب سے بہتر شخص کون ہے؟ آپ نے فرمایا: ”جس کی عمر لمبی ہو اور عمل نیک ہو“، اس آدمی نے پھر پوچھا کہ لوگوں میں سب سے بدتر شخص کون ہے؟ آپ نے فرمایا: ”جس کی عمر لمبی ہو اور عمل برا ہو“
🌺A man said: O Messenger of Allah ﷺ! Which of the people is the best? He said: He whose life is long and his deeds are good. He said: Then which of the people is the worst? He said: He whose life is long and his deeds are bad.
📜 *wazahat:* ek karobari ki nigah mein uska kharch kiya hua maal (investment) ki jo hesiyat hai wahi hesiyat aur moqam waqt ka hai, karobari apne kharch kiye hue maal ke badle mein jo munafa pata hai usse hamesha badhane ka khwahishmand hota hai, isi tarah lambi muddat paane wale ko chahiye ke iska waqt zeyada se zeyada neki ke kamo mein guzre, agar isne apne zindagi ke sarmaya ko isi tarah baki rakha toh jis tarah karobari apne kharch kiye hue maal se nafa kamata hai, isi tarah ye bhi fayda hasil karta rahega, yaani iski nekiya (achhe amaal) badhte rahenge, jo akhirat mein uske qamyab hone ka sabab aur jannat mein Ala moqam paane ka zariya sabit hoga. insh'a Allah
📚Sunan ibne majah: jild 4, kitab Az zuhd 36, hadith no. 2330
Grade Hasan
No comments:
Post a Comment