Kafir Ya Mushriq Se Fatah Hasil Karne ke liye Padhi Jane Wali dua.
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى، حَدَّثَنَا مُعَاذُ بْنُ هِشَامٍ، حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ أَبِي بُرْدَةَ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، أَنَّ أَبَاهُ حَدَّثَهُ، أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ إِذَا خَافَ قَوْمًا، قَالَ: اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ، وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ.
रसूल अल्लाह ﷺ को जब किसी क़ौम से ख़ौफ़ होता तो (दुआ) फ़रमाते _« अल्लाहुम्मा इन्ना नजअलुका फी नुहुरिहिम, वनऊज़ुबिका मिन शुरूरिहिम »
ए अल्लाह हम तुझे उनके बिलमुक़ाबिल करते हैं और उनकी बुराईयों से तेरी पनाह तलब करते हैं।
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ko jab kisi qoum se khouf hota to farmate: _« Allahumma Inna najaluka fii nuhurihim, wa nauzubika min shururihim »*_ Ae Allah! hum tujhe unke bil-muqabil karte hain aur unki buraiyon se teri panah talab karte hain.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو جب کسی قوم سے خوف ہوتا تو فرماتے: _*«اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ، وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ»*_ اے اللہ! ہم تجھے ان کے بالمقابل کرتے ہیں اور ان کی برائیوں سے تیری پناہ طلب کرتے ہیں ۔
🌺When prophet ﷺ feared a (group of) people, he would say: _*« Allahumma Inna najaluka fii nuhurihim, wa nauzubika min shururihim »*_ O Allah, we make Thee our shield against them, and take refuge in Thee from their evils.
📜 *wazahat:* aap nabi kareem ﷺ ko Jab kuffar wa mushriqeen ka darr satata, pareshan ya tang karte to aap ﷺ hadees mein di hui dua ke zariye ALLAH se madad talab kiya karte, aaj jis tarah mulk ke halaat hain jaha Musalmano ko pareshan kiya jaa raha hai unpe zulm ho rahe hain sazishe rachi jaa rahi hain, mansoobe banaye jaa rahe hain, hume chahiye ke masjido se talluk banaye namaz se talluk banaye, qasrat se poore khuloos ke saath Allah se inhi kalimaat ke zariye se madad talab karen.
_aur kitney saare paigamber hain jin ke saath mil kar bohot se Allah walon ne jang ki! nateeja unhen Allah ke raaste mein jo takleefen pohochi unki wajah se naa unhon ne himmat haari, naa woh kamzor pare aur naa unho ne apne aap ko jhukaya. Allah aeise sabit qadam logon se mohabbat karta hai. Unke moonh se jo baat nikli woh uske siwa nahi thi kay woh keh rahey the: hamare parwardigar ! Hamare gunaho ko bhi aur hum se apne kamon mein jo zeyadati hui ho usko bhi maaf farma de, hamen sabit qadam bakhsh de, aur kafir logon ke muqaable mein hame fatah ata farma de. [📖Al Quran 3: 146-147]
📚 _*Sunan Abu Dawud: jild 2, kitab Al Witr 8, hadith no 1537
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
No comments:
Post a Comment