Aurto ko Masjid me "Jamat se Namaz ada karne" se Muttalliq Aahadees.
1) Mafhom-e-hadees:- Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: *Tum apni aurton ko masjidon me jane se na roko, albattah unka ghar unke liye behtar hai.* [Abu Dawood h# 567] [Musnad Ahmad 2/76]
2) Umar razi Allah anho ki aik biwi theen jo subah aur esha ki namaz jamaat se parhnay ke liye Masjid mein aaya karti theen. un se kaha gaya ke bawajood is ilm ke ke Umar razi Allah anho is baat ko makrooh jantay hain aur woh ghairat mehsoos karte hain phir aap masjid mein kyun jati hain. is par unhon ne jawab diya ke phir woh mujhe mana kyun nahi kar dete. logon ne kaha ke rasoolAllah sallAllahu aleh wasalam ki is hadees ki wajah se ke Allah ki bndiyon ko Allah ki Masjido mein anay se mat rooko.
(Sahih Bukhari Hadees # 900)
3) Rasool Allah sallAllahu aleh wassalam ne farmaya : tum Allah ki bandion ( aurton ) ko masjid mein namaz parhnay se nah roko, to un ke aik betay ne un se kaha : hum to inhen zaroor rokain ge, yeh sun kar Ibn Umar razi Allah anhuma sakht naraaz hue aur bolay : mein tum se rasool Allah sale Allah aleh wassalam ki hadees bayan kar raha hon aur tum kehte ho ke hum inhen zaroor rokenge?
(Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 16)
4) aik khobsorat aurat rasool Allah sale Allah alaihi wassalam ke peechay ( aurton ki safon mein ) namaz parha karti thi to baaz log agay barh kar pehli saf mein ho jatay thay taakay woh usay nah dekh saken aur baaz agay se peechay aa kar aakhri saf mein ho jatay thay ( aurton ki saf se mili hui saf mein ) phir jab woh ruku mein jatay to apni baghlo ke neechay se usay dekhte, is mauqa par Allah taala ny aayat « انملع دقلو مكنم نیمدقتسملانیرخأتسملا انملع دقلو » ”Hum khoob jantay hain un logon ko jo agay barh jane walay hain aur un logon ko bhi jo peechay hatt jane walay hain“ ( : رجحلا۲۴ ), nazil farmai.
(Jam e Tirmazi Hadees # 3122)
*En sab hadeeso se yhi pata Chalta hai ki Aurte masjid me Namaz ada karti thi, Esi liye ham Muslims ko bhi Aurto ke liye Masjid me Seperate Intazam karna Chahiye,*
Alhumdullah Aaj Kayi Masjido me Aurto ka Alag Entazam hai, or wo Namaz ada karti hain.
( हर बात दलील के साथ)
No comments:
Post a Comment