Noha aur matam karna kaisa hai islam me?
Bismillahirrahmanirrahim*
*✦ HADITH: Agar noha (matam) karne wali bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega*
---------------
*¹HADITH*
*Abu Malik al-Ash'ari Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah (ﷺ) Ne Farmaya "Meri ummat mein jahiliyat ki ( yani kufr ke zamane ki) 4 cheezin hain jisko ye log chorhte nahi hain*
*"Apne hasab (ohde) par fakhr karna ,dusro ke nasab (khandan) par taane karna , sitaron se pani ki ummed rakhna , aur chotha noha (matam) karna ,agar noha (matam) karne wali bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega."*
Sahih Muslim, Vol 2, 2160
------------
*²HADITH*
Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya *"Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai , aur noha karney wali agar bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega."*
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 -Hasan
--------------------------------------
No comments:
Post a Comment