find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Muharram ka mahina gam aur matam ka mahina hai?

Kya muharram gam aur matam ka mahina hai?
Muharram ke mahine me matam karna kaisa hai?

*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*
----------------------------------------------
*Kya Muharram Gam (गम) ka Maheena Hai?
----------------------------------------------
Allama Iqbal ne kaha:-
👉 *Keh Do Gham-E- Husain Manany Walon Ko*
*Momin Kabhi Shaheedo Ka Matam Nhi Krte.*

👉 *Hai Ishq Apni Jan Se Zyada Aal-E-Rasol Se*
*Yun Sar-E-Aam Hum Unka Tamasha Nai Krty*.❌

👉 *Phir bat yeh bhi qabile ghaur hai ki islami tarikh shahaadaton se bhari padi hai. koi din aisa nahi jisme kisi sahabi ki shahaadat na hui ho. jaise ki "Umar Farooq" (RaziAllahu anhu) ki shahadat ka waqiya. agar baad me hone wali in shahadaton ke manaane ki shar'an koi haisiyat hoti to hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu ki shahadat is laaiq thi ki ahle islam iska aitebar karte. Hazrat Usman RaziAllahu Anhu ki shahadat aisi thi ki iski yadgar manai jati. phir in shahadato ki bina par agar islam me maatam ki ijaazat hoti to yaqinan tarikh-e-islam ki yeh dono shahadaten aisi thi ki ahle islam in par jitna bhi maatam karte kam hota.*

👉*Hasan or Hussain (r) ki shahadat ka waqiya to Nabi Kareem ﷺ ki wafaat se 50 saal baad pesh aya*
-----------------------------------
👉 Yeh bhi khayal rahe ki is mahine ki hurmat sayyidina Hazrat Husain RaziAllahu anhu ke waqiya-e-shahadat se pehle hi sabit chali a rahi hai. jaisa ki upar wazahat guzri. Baaz log yeh samajhte hain ki yeh mahina isliye qabil-e-ahtraam hai ki isme hazrat Husain RaziAllahu anhu ki shahadat ka waqiya pesh aya tha. yeh khayal bilkul ghalat hai. Yeh shahadat ka waqiya to Nabi Kareem ﷺ ki wafaat se 50 saal baad pesh aya aur deen ki takmeel Nabi kareem ﷺ ki zindgi me kar di gai thi.
📚(Dekhiye Surah Mayda, Ayat No-3)

*Or Matam ko to Nabi ﷺ ne taqeed se mna Farmaya tha*
-----------------------------------------
*Mayyat ko is par Noha (matam) kiya jane ki wajah se bhi Qabar mai Azab hota hai* 😔😔
------------------------------------
👉Abdullah bin Umar radi allahu taaala anhu ne apne walid se rivayat kiya ki  Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmya ke Mayyat ko is par Noha (matam) kiya jane ki wajah se bhi Qabar mai azab hota hai.
📚 {Sahih al-Bukhari:,1292}

👉 Lekin ek to *islam me maatam ki ijazat nahi, dusre yeh tamaam waqiyaat takmeel deen ke baad pesh aye hain*, isliye inki yaad me majlisen aur mehfil-e-maatam qaaim karna deen me izaafa hai.

👉Rasool Allah  ﷺ  ne farmaya:-
👉 *Har bidat (deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.*
📚 [Sunan Nasaii 1579 Sahih - islam360]

*Allah ne farmaya:*
👈 *اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ وَ اَتۡمَمۡتُ عَلَیۡکُمۡ نِعۡمَتِیۡ وَ رَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسۡلَامَ دِیۡنًا*

👉 *Mai ne tumhare liye Deen ko mukammal (complete) kr diya hai*
(matlb deen ke tariqe me koi bhi cheez joda ya hataya nhi ja sakta hai.)
📚 [Quran Surah mayda ayt: 3]

*Muharram gam ka Maheena nahi Ibadat ka Maheena hai.*
----------------------------------------
👉 Muharram me kasrat se *nafli roze rakhne chahiye kyunki Nabi Kareem ﷺ ne farmaya- Ramzaan ke baad afzal tareen roze Allah ke mahine Muharram ke hain.*
📚( Abu Dawud-2429, Sahih Muslim-1163, 1123,)
( *हर बात दलील के साथ*)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS