find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Tabahi Hai waise logo ke liye Jo Musalmano ke Ander Nye Firqe Aur Nafrat Failate Hai. (Kya hm is tarah se Muslaman Hai?)

Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Chahe Kahi ke Kyu Na Ho?

Kya Hm Jante Hai ke Ek Musalman Ka Dusre Musalman Par Kya Haque hai, Musalman Sab bhai bhai hai chahe koi kahi ka rahne wala ho isse Matlab nahi ke koi Ameer koi gareeb, koi Kala Koi Safed, koi Aala khandan wala to koi Gareeb aur Kamjor Isse Hmare ander Nafrat nahi honi Chahiye aur jo log Is tarah ki baton me Musalmano Ke Bich Judayi dalte hai Nayi Gurupe bnate hai Unke liye Tabahi Hai.
Musalman Bhai Bhai
 IRSHAD E BARI TAL'A HAI :-
"Beshak Ahle Emaan bhai bhai hain lehaza apne dono bhaiyon ke darmiyaan sulah kara do aur Allah se darte raho taake tum par raham kiya jaye." "Aye Emaan walon! koi qaoum kisi dusri qaoum ka mazaak na udayen, ho sakta hain ke wo un se behtar ho aur auraten dusri auraton ka mazaak na udayen, ho sakta hain ke wo un sey behtar ho, tum ek dusre par aaib na lagaon aur na bure alqaab se kisi ko pukaron, emaan laane ke baad fasiq hona behad bura naam hain aur jo log tawba nahi karenge wahi zalim hain." "Aye Emaan walon! behad si badgumaniyon sey door raho, beshak baaz badgumaniyan gunah hain, ek dusre ki jasusi na karo aur ek dusre ki gheebat na karo, kya tumme se koi shaksh apne murda bhai ka gosht khana pasand karta hain? tum to us se bura samahjte ho! aur Allah se darte raho, beshak Allahﷻ tauba qubool karne waala hamesha raham karne waala hain." "Aye logon! humne tumhe ek mard aur ek aurat sey paida kiya aur muqtalif qaoumen aur qabiley bana diye hain taake tum ek dusre ko pehchaan sako, Allah ke darbar mein tumme se sab se ziyada izzat waala wo hain jo sab se ziyada muttaqi hain, beshak Allah jaanne wala (aur har cheez se) bakhabar hain."
Suratul Hujraat: 10-13.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Musalmaan Musalman ka bhai hai, na wo us par zulm karta hain aur na zulm hone deta hain, jo aadmi apne bhai ki zarorat puri karega to Allah us ki zarorat puri karega, jo kisi Musalman (bhai) ki musibat door karega tou Allahﷻ qayamat ki musibaton mein se us ki musibat door karega, jisne apne bhai ki parda poshi ki tou Allah qayamat ke din us ki parda poshi karega."
Saheeh Bukhaari: 2442, Saheeh Muslim: 2580.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:-
"Ek dusre se bughz na rakkho aur aapas mein hasad na karo aur ek dusre ki taraf (narazi se) peet na phero aur Allah ke bande bhai bhai ban jao, kisi Musalman ke liye halaal nahi hain ke wo apne bhai se teen raaton se ziyada (baat karna band) boycott kare."
Muatta Imam Malik Riwayat Ibne Qasim Bit'Tehqeeq: 4, Saheeh Bukhaari: 6076, Saheeh Muslim: 2559.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Ek dusre ke saath Muhabbat, ulfat aur raham karne ki misal ek jism ki tarha hain, jab is ka ek aazah (hissa) bimaar hota hain tou sara jism is ke liye bukhar aur bedari ke saath takleef mein rehta hain."
Saheeh Muslim: 2586 Wal'lafz Li, Saheeh Bukhaari: 6011.
Ek Saheeh hadees mein aaya hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Aye (saari duniya ke) logon! sun lo tumhara Rab ek hain aur tumhara baap ek hain, sun lo! kisi Arabi ko kisi Ajmi par, kisi ajmi ko kisi arabi par, surkh ko kaale par aur kaale ko surkh par koi fazilat nahi hain siwaye Taqwa ke, kya maine tumhe pohchaa diya? logon ney kaha: Rasoolullah ﷺ ne pohchaa diya, phir aap ne farmaya: aaj kaunsa din hain? logon ne kaha: hurmat wala din (jummah) hain, phir aap ne poochaa: yeh kaunsa Mahina hain? logon ney kaha: hurmat wala mahina hain, phir aap ney poochaa: ye kaunsa shehar hain? logon ney kaha: haram (Makkah) hain, Aap ﷺ  ne farmaya: Beshak Allah ne tum par tumhare khoon aur amwaal haraam qaraar diye hain, rawi ne kaha: mujhe maloom nahi ke aap ne izzaton ka bhi zikr kiya tha, aaj ke din ki tarha is (hurmat waley) mahine mein, is (hurmat waley) shaher mein, kya maine pohchaa diya hain? logon ne kaha: Rasoolullah ﷺ ne pohchaa diya hain, aap ne farmaya: hazir ghaib tak pohchaa dey (ya'ni jo.log yahan maujood nahi hain un tak mera paigaam pahucha do)."
Musnad Ahmed 5/411 Hadees 23489 Wa Sanadahu Saheeh
Maloom huwa ke Deen e Islam mein Arabi ajmi, kaaley goorey, pathaan punjabi sindhi balochi, pakistani Hindustani aur Mulki gair Mulki ka koi masla nahi hain balke sab Ahle emaan bhai bhai hain lekin tabahi hai in logon ke liye jo Musalmano ko firqon aur tukdiyon mein baantna chahatey hain.
Wama Alaina illal balaagh.
Allah se dua hai ke wo hame kehne sunne se zyaada amal ki taufeek ata farmaye ameen
D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽
#unityofMuslim #MuslimUnity
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS