find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts sorted by relevance for query social. Sort by date Show all posts
Showing posts sorted by relevance for query social. Sort by date Show all posts

Social Media Ka Istemal Karne wali Deen dar Ladkiyaan (Girls) Jo Inbox me kisi Na Mehram se Bat nahi karti.

Waisi Ladkiyaan (Girls) jo Social Media par Non Mehram se bat nahi karti hai inbox me.

Kya Social Media Istemal Karne wali Sari ladkiyaan Be haya hi hoti hai?

Social Media ka sahi istemal kaise kare?

Social Media par Kisi ladke ke messages ko dekh kar kya karna chahiye?

Na Mehram se Social Media par Inbox me chat karna.

Social Media  Joine karne ka ek behan ka waqya.

Social Media Par ladke aur Ladkiyo ka Chat karne ke bare me Islam kya kahta hai?

میں نا محرم سے بات نہیں کرتی۔۔۔!!!

I don't talk to Non Mahram.

اگر ایک دین پر چلنے والی لڑکی یہ کہے کہ میں نامحرم سے ان باکس میں بات نہیں کرتی۔۔۔تو اسے یہ طعنہ دے دیا جاتا ہے کہ اگر تم ایسا سوچتی ہو تو سوشل میڈیا یوز کیوں کرتی ہو؟؟؟؟

پہلی بات سوشل میڈیا کا اچھا یا برا استعمال ہمارے اپنے ہاتھ میں ہے.

دوسری بات دین پر عمل کرنے والی لڑکی کو کیا سمجھ رکھا ہے آپ نے۔۔۔۔؟

کہ کیا وہ جنگلوں سے آئی ہوئی کوئی مخلوق ہے؟؟

اگر اللہ کے حکم پر عمل کرتی ہے تو بس اب جنگل میں جا کہ اپنی ایک دنیا بسا لے اس لڑکی کوئی حق نہیں کہ یہ دنیا میں گھومے یا لوگوں سے رابطے میں رہے۔۔۔۔
Seriously......????

اللہ کے حکم پر عمل کرنے والی زندگی کو بھرپور طریقے سے انجوائے کرتی ہے مگر اللہ سبحان وتعالی کی بتائی ہوئی حدود کے اندر رہ کر۔۔۔۔۔۔اسے اچھائی اور برائی کا فرق پتہ ہوتا ہے۔۔۔۔۔ان ایپس کے اچھے اور برے استعمال کا پتہ ہوتا ہے۔۔۔۔۔۔۔۔!!!!

آپ حق نہیں رکھتے کہ اللہ کے حکم پر چلنے والی لڑکی کو بڑے آرام سے اُٹھ کر یہ فتوی دے دیں کہ تم سوشل میڈیا یوز نہیں کر سکتی!!!

آپ سوشل میڈیا کا استمعال کر سکتی ہیں اسلام کی پیاری شہزادی!!!!

اسے استعمال کریں اپنے رب کا دین پھیلانے کے لیے

اسے استعمال کریں لوگوں کو اللہ کے قریب لانے کے لیے
اس کا استعمال ضرور کریں اپنے اللہ کی محبت کی آگاہی کے لیے۔

رب نے سود سے روکا ھم نی بینک بنالیۓ

رب نے زنا سے روکا ھم نے کلب بنالیۓ

رب نے پردے کا حکم دیا ھم نے ٹی وی اور ڈش خرید کر بے حیاۂی کو عام کر دیا ۔۔۔

رب نے کہا قرآن میں تمھاری کامیابی ہے اور ھم نی آکسفورڈ کی کتابوں کو کامیابی بنا لیا .

ذرا سوچئے آج مسلمان اس وجہ سے پریشان ہیں جس کو راضی کرنا تھا اس کو ناراض کر دیا  تو پھر رحمت کیسی ؟
نیکی کی دعوت عام کرو .

اللہ تعالیٰ عمل کی توفیق عطا فرمائے آمین ثم آمین

جزاکم اللہ خیرا کثیرا

Share:

Islamic post pe Apna Naam Likhna ( Tahreer karne wale ka Nam)

Islami Post Par Apna Naam Likhna
= = = = = = = = = = = = = = =
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah*
Romanized By: Umar Asari*
Social Media Itna Powerful Ho Gaya Hai Ke Us Ki Taaqat Se Har Koi Mutassir Ho Gaya Aur Har Qism Ke Log Is Se Jud Gaye.
Logon Ki Bheed Bhaad Aur Mukhtalif Qism Ki Ashya (Cheezein) Idhar Se Udhar Honay Ki Wajah Se Bohat Qism Ke Masail Bhi Paida Ho Gaye.
Un Mein Se Aik Masla Yeh Hai Ke Whatsapp Aur Facebook Waghera (Etc) Ki Post Par Jab Us Ke Likhnay Walay Ka Naam Hota Hai To Kuch Log Yeh Sawal Kartey Hain Key Is Par Naam Kiyun Likha Jata Hai?
Kuch Is Qism Ke Khayalat Ka Bhi Izhaar Kartey Hain Jo Mere Aik Qareebi Habib Ko Kisi Ne Mashwaratan (Advice Key Taur Par) Ya Tanzan (Satirize Key Taur Par) Kaha Hai. 
"Aik Shakhs Mujhe Kehta Hai Ke Quran o Hadees Tumhari Jageer Nahi Hai Is Liye Jab Mazmoon (Koi Topic) Likho To Us Par Apna Naam Likhna Zaroori Nahi Aur Woh Mera Naam Mere Mazmoon (Topic) Se Hata Deta Hai. Kehta Hai Key Tum Shohrat (Famous) Ke Liye Tableegh Kar Rahay Ho Ya Allah Ki Riza (Khushi) Ke Liye? ".
Yeh Jumla (Sentence) Tanz (Satirize) Ke Sath Apne Andar Sahib e Mazmoon (Artical Likhney Waley) Se Bugz o Adawat Bhi Rakhta Hai.
Yeh Sawal Social Media Ke Aaney Se Pehlay Nahi Tha. Aap Dekhtey Hongey, Akhbaarat (News Papers) Hon, Rasail Hon, Mazaameen (Articles) Hon, Kitaabein Hon Ya Kitabche  Koi Bhi Baghair Moharrir (Likhney Wale) Ke Naam Ke Nahi Hota, Yeh Sawal Yahan Nahi Kiya Jata Hai, Sirf Whatsapp Ya Facebook Waghera Jaisay Samaji (Social) Media Pay Kiya Jata Hai.
Is Silsilay Mein Kehna Chahta Hun Ke Koi Bhi Post Ya Mazmoon H Us Ke Likhnay Walay Ka Naam Khusoosan (Khaas Taur Se) Is Waqt Behad (Bohot) Zaroori Hai.
*Is Ki Kayi Wujohaat (Reasons) Hain Un Mein Do Sab Sey Zada Ahem (Important) Hain.*
1⃣ Koi Bhi Article, Article Likhney Waley Ki Haisiyat Se Jana Jayega Jo Kay Riwayet Aur Haq Hai.
2⃣ Bid’aat o Khurafaat Ke Daur Mein Mazmoon Nigaar (Artical Likhne Wale) Ke Naam Se Hi Mazmoon (Article) Ki Haisiyat Wazeh Ho Jayegi Jab Kay Us Ne Naam Ke Sath Izafi Sifat Laga Rakhi Ho.
Isi Wajah Sey Hum Dekhtey Hain Ke Jab Kisi Baat Ko Bawazan Karni Ho (Means Kisi Baat Mein Zor Paida Karna Ho) To Kisi Mo’tabar Aalim Ka Un Key Naam Key Saath Qaul Zikr Kiya Jata Hai.
 Social Media Mein Kisi Bhi Mazmoon Pay Naam Likhnay Ke Asraat:
▪Mazmoon (Article) Ka Maqsad Tableegh or Islaah Hota Hai, Is Liye Kuch Log Mazmoon (Article) Mein Us Ke Likhnay Walay Ka Naam Ho Ya Na Ho Woh Mazmoon (Article) Ko Waisay Hi Dosray Samaji (Social) Media Par Share Kartey Hain. Haqeeqat Mein Aisa Hi Hona Chahiye.
▪Mazmoon (Article) Kitna Achcha Hi Kiyun Na Ho, Kuch Log Mazmoon (Article) Likhney Waley Ka Naam Dekh Kar Jal Bhun Jatay Hain. Aisay Log Do (2) Qism Ke Hotay Hain. Aik To Woh Hain Jo Woh Mazmoon Kahin Share Hi Nahi Kartey, Aur Aik Woh Hain Jo Foran Naam Kaat Detey Hain Phir Usay Share Kartey Hain.
▪Kuch Aisay Bhi Miley Jo Dosron Ke Mazameen (Articles) Se Un Ka Naam Uda Kar Apna Ism e Giraami (Means Apna Name) Laga Detey Hain. Yeh Badtareen Qism Ka Jurm Hai.
▪Logon Ki Aksariyyat Aisi Hai (Means Aksar Log Aisey Hain) Jo Aisay Mazameen (Articles) Aur Posts Share Karti Hai Jin Pay Kisi Ka Naam Na Ho.
✅ Mein Aakhir Mein Sawal Karney Walay Aur Share Karney Walon Se Arz Karta Hun Ke Kaam Karney Walon Ko Kaam Karney Den, Un Ki Raah Mein Rukawat Paida Na Karen Aur Agar Kisi Post Par Mazmoon Nigaar (Article Likhney Waley) Ka Naam Hai Aur Aap Is Wajah Se Usay Share Nahi Karna Chahtay To Aap Khud Hi Mehnat Karkay Mazmoon (Article) Tayyar Karen Aur Apna Naam Likh Kar Share Karen Ya Na Likhein Jisa Ki Aap Ka Sawaal Hai.
✅Aur Isi Tarah Mazmoon (Article) Likhnay Walon Se Bhi Guzarish Karta Hun Ke Kisi Ka Mazmoon (Article) Leker Do (2) Char (4) Jumlay (Sentence) Idhar Se Udhar Karkay Apna Naam Na Likhein Balkay Apni Mehnat Se Khud Ki Kawish (Means Koi Mazmoon) Tayyar Karen Phir Apna Naam Likhein, Tarjuma Hai To Tarjumah Likhein.
Aur Yeh Dhiyaan Mein Rahay Ke Kisi Post Pay Naam Likhna Hi Hai Aisi Baat Nahi Hai. Balki Baghair Naam Ke Bhi Kaam Chal Sakta Hai Aur Chal Raha Hai, Lekin Mazmoon Par Moharrir (Likhney Waley) Ka Naam Ho Yeh Haq Bhi Hai Aur Behtar Bhi.
Pl
------------------
Share:

Kya Ramzan Ki Khushkhabri Dene Se JAnnat Wajib Ho jAti HAi?

Ramazan ki aamad ki khushkhabri dena​

Written By: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi
Islamic Dawah Center - Taif
Roman Typing by: Abu Mohammad Shakoor-Taif
*Social media par bade paimane par ek khabar share ki ja rahi hai aur log bhi use Ramazan ul Mubarak ka mubarak message samajh ke bade paimane par share kar rahe hain.
Message is tarah se hai
((Mubarak ho! Falan Tarikh ko Ramazan ul Mubarak ka mahina shuru hone wala hai.
Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya jisne pehle kisi ko Ramazan ki mubarakbaad di us par jannat wajib ho gai. Ek baar durud padh kar share karen))
Ye Message logo me is qadar share kiya gaya hai ke Arabic bolne wale bhi is se mutassir ho gaye hain aur Arabic zubaan me bhi iska mafhum bayan hone laga wo is tarah se hai:
من أخبر بخبر رمضان أولا حرام عليه نار جهنم​
Yani jis ne sab se pehle Ramazan ki khabar di us par jahannam ki aag haram ho gai.
Is Arabi ibarat ko logo ne Hadees e Rasool (ﷺ) samajh liya hai jab ki kisi ne wahi urdu ibarat ka tarjuma Arabic me kar liya hai ya ye bhi ho sakta hai ki kisi arabic zuban bolne wale ne pehle ise arabic me ghad kar phailaya ho aur phir use urdu, hindi aur doosri zubaano me tarjuma kiya gaya ho. Beharhaal jaisa bhi ho ye message aaj kal bahut aam ho gaya hai tabhi to kai zubano me iska tarjuma ho gaya hai.
Is message ke mutalliq mai logo ko chand baaton ki khabar dena chahta hun​
❶ Pehli baat:* Ye message jootha hai. Ise kisi ne apni taraf se ghad liya hai aur hamare iman o aqeede ko kharab karne ke liye musalmano ke darmiyan share kar raha hai. Yad rakhiye jo koi Nabi ﷺ ki taraf joothi baat ghad kar mansoob karta hai uska thikana jahannam hai. Nabi ﷺ ka farman hai:
مَنْ كَذَبَ عَلَي مُتَعَمِّدًا فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنْ النَّارِ​
Tarjuma: Jo shakhs bhi mujh par jaan boojh kar jhoot baandhe to woh apna thikana jahannam mein bana le.   (Sahih Bukhari: 1291, Sahih Muslim: 933)
Aur jo bina tahqeeq koi baat ankh band kar ke share karte chale jaate hain wo bhi is jhoote ke jhoot me shamil ho jaate hain. Nabi ﷺ ka farman hai:
كفى بالمرءِ كذبًا أن يُحَدِّثَ بكلِّ ما سمِع​
Tarjuma:Aadmi ke jhoota hone ke liye (aur ek hadees ke mutabiq gunehgar hone ke liye) itna hi kaafi hai ke wo har suni sunai baat (baghair tahqeeq ke) aage bayan kar de.
(Muqaddma Sahih Muslim)
Is liye musalmano ko social media pe aayi cheezo ki pehle tahqeeq kar leni chahiye phir uske bad faisla karna chahiye ke ye khabar sachchi hai ya jhooti? Tahqeeq se jo bat sachchi sabit ho jaye use hi share karen aur jiske bare me aapko ilm nahi ya tahqeeq se jhooti sabit ho to use hargiz hargiz share na karen.
❷ Doosri baat: Deen ke mutalliq khushkhabri sunane wale sirf Allah ke paigambar hain aur paigambar hi kisi ko dara sakte hain jaisa ki Allah ka irshad hai:
يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ شَاهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًا​
Aye Nabi! (ﷺ) Hamne aapko gawahi dene wala, basharat dene wala aur darane wala bana kar bheja hai.  (Surah Al-Ahzab: 45)
Is liye kisi ko ye haq nahi ke wo koi baat ghad kar khushkhabriyan sunaye. Bahut saare messages me is tarah bhi likha hota hai ki 20 logo ko bhejoge to maalamal ho jaaoge aur nahi bhejoge to faqeer ban jaaoge. Doosra faqeer ho na ho lekin jhoota message ghadne wala neki zaaye kar ke khud faqeer ho gaya. Aise faqeero ka message send kar ke aap bhi faqeer na bane aur aaj se ye baat tay kar len ke 20/30 aadmi ko bhejne wali har bat jhooti hai.
❸ Teesri baat: Jannat o jahannam Allah ki taraf se hai. Hamein sirf Nabi ﷺ ye khabar dene wale the jo wahi ke zariye aapke pas aati thi ke falan jannati hai, falan kaam karne par jannat hai aur falan kaam karne wala jahannam me jaayega. Jab Nabi ﷺ ko ikhtiyar nahi tha to jo log jhoote message ya jhooti baatein ghad kar jahannam ki khabar ya jannat ki khushkhabri dete hain wo kitne bade mujrim hain? Aap aise mujrimon ki baatein aur khabrein share kar ke uske badtareen jurm me shamil na hon.
❹ Chauthi baat: Aaj kal social media par ye Islam ki galat tarjumani ki ja rahi hai tarah tarah se Islam aur musalmano ke khilaf propegende kiye ja rahe hain. Quran o Hadees ka naam le kar hamein dhoka diya ja raha hai jhooti baaton ko Nabi ﷺ ki taraf mansoob kar ke phailaya ja raha hai is liye hamein bahut muhtaat rehna hai. Islam ke khilaf ho rahi galat tarjumani ka sadd e baab (rokna, mitana) karna hai. Lekin hamara haal yeh hai ki hum sadd e baab karne ke bajaye unke propegando ko mazeed hawa dene lag jate hain. Nabi ﷺ ki taraf mansoob ki hui koi khabar ya Islam aur Quran o Hadees ki taraf mansoob ki hui koi bhi baat bina tahqeeq ke aage share na karen aur na hi aisi koi baat apni taraf se likh kar phailayen jiske mutalliq aapko sahih se ilm nahi. Sirf wahi baat likhen jiske baare me aapko pukhta ilm ho aur saath me hawala bhi den taaki doosron ko bhi tahqeeq karne me asani rahe.
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
Share:

Social Media Se Joodne Ka Ek Behan Ki Kahani.

Social Media Se Joodne Ke Bad Ek Behan Ki Kahani




ﺍﯾﮏ ﺑﮩﻦ ﮐﯽ ﻋﺒﺮﺕ ﺍﻧﮕﯿﺰ ﮐﮩﺎﻧﯽ

ﻣﯿﮟ ﮐﺎﻟﺞ ﮐﮯ ﺍﻣﺘﺤﺎﻧﺎﺕ ﺳﮯ ﻓﺎﺭﻍ ﮨﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺑﻮﺭﯾﺖ ﮐﺎ ﺷﮑﺎﺭ ﺗﮭﯽ ، ﮔﮭﺮ ﮐﺎ ﻣﺎﺣﻮﻝ ﺑﮭﯽ ﺗﮭﻮﮌﺍ ﺳﺨﺖ ﺗﮭﺎ، ﺁﺯﺍﺩﺍﻧﮧ ﮔﮭﻮﻣﻨﮯ ﭘﮭﺮﻧﮯ ﮐﯽ ﭘﺎﺑﻨﺪﯼ ﺗﮭﯽ ﺗﻮ ﺳﻮﭼﺎ ﮐﯿﻮﮞ ﻧﮧ ﻭﻗﺖ ﮔﺰﺍﺭﯼ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﻓﯿﺲ ﺑﮏ ﺟﻮﺍﺋﻦ ﮐﺮ ﻟﻮﮞ ، ﭘﮭﺮ ﮐﯿﺎ ﺑﺘﺎﺅﮞ ﺑﺲ ﯾﻮﮞ ﺳﻤﺠﮭﻮ ﮐﮧ ﺍﻣﯽ ﺳﮯ ﮐﺌﯽ ﺑﺎﺭ ﮈﺍﻧﭧ ﺑﮭﯽ ﮐﮭﺎﺋﯽ ﻣﮕﺮ ﻓﯿﺲ ﺑﮏ ﺗﻮ ﺟﯿﺴﮯ ﻣﯿﺮﺍ ﺍﻭﮌﮬﻨﺎ ﺑﭽﮭﻮﻧﺎ ﮨﯽ ﺑﻦ ﮔﺌﯽ۔
ﮨﮯ ﺗﻮ ﻏﻠﻂ ﺑﺎﺕ ﻣﮕﺮ ﻭﻗﺘﯽ ﻃﻮﺭ ﭘﺮ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﺎ۔ﻟﮍﮐﻮﮞ ﮐﯽ ﺗﻮﺟﮧ ﭘﺎﻧﺎ ﺍﻭﺭ ﺗﻌﺮﯾﻔﯽ ﮐﻠﻤﺎﺕ ﺳﻨﻨﺎ ﻟﯿﮑﻦ ﭼﻮﻧﮑﮧ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﺴﮯ ﻣﺎﺣﻮﻝ ﮐﯽ ﻋﺎﺩﯼ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﯽ ﺗﻮ ﻣﺠﮭﮯ ﺟﻠﺪ ﮨﯿﺎﭘﻨﯽ ﻏﻠﻄﯽ ﮐﺎ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﮨﻮﻧﺎ ﺷﺮﻭﻉ ﮨﻮ ﮔﯿﺎ۔


ﺟﺐ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﮨﺮ ﭘﻮﺳﭧ ﭘﺮ ﺑﯿﺸﻤﺎﺭ ﮐﻤﻨﭩﺲ ﺁﺗﮯ ﺗﮭﮯ ، ﮐﺒﮭﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﻣﺤﺒﺖ ﺑﮭﺮﯼ ﺷﺎﻋﺮﯼ ﻣﯿﮟ ﭨﯿﮓ ﮐﺮ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﺗﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﺍﻥ ﺑﺎﮐﺲ ﻣﯿﮟ ﭼﺎﮨﺖ ﮐﺎ ﺍﻇﮩﺎﺭ ﮐﺮ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ، ﮈﯾﭩﺲ ﮐﯽ ﺁﻓﺮ ﮐﺮ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﮐﺌﯽ ﭨﮭﺮﮐﯽ ﺣﻀﺮﺍﺕ ﻧﮯ ﺗﻮ ﺑﻨﺎ ﺩﯾﮑﮭﮯ ﺷﺎﺩﯼ ﮐﯽ ﭘﯿﺸﮑﺶ ﺑﮭﯽ ﮐﺮ ﺩﯼ۔

ﻣﮕﺮ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﻣﯽ ﮐﯽ ﻭﺍﺭﻧﻨﮓ ﯾﺎﺩ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺗﺮﺑﯿﺖ ﻣﯿﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﮐﻤﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﭼﮭﻮﮌﯼ ﮨﮯ،ﺍﭼﮭﮯ ﺍﻭﺭ ﺑﺮﮮ ﮐﯽ ﭘﮩﭽﺎﻥ ﺳﮑﮭﺎ ﺩﯼ ﮨﮯ۔
ﺍﺏ ﻣﯿﮟ 24 ﮔﮭﻨﭩﮯ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﭼﻮﮐﯿﺪﺍﺭﯼ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮ ﺳﮑﺘﯽ ،ﺑﺲ ﮨﻤﺎﺭﺍ ﺍﻋﺘﺒﺎﺭ ﮐﺒﮭﯽ ﻧﮧ ﺗﻮﮌﻧﺎ
ﺍﻣﯽ ﮐﯽ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﺳﻤﺠﮭﮧ ﺗﻮ ﺁﺗﯽ ﺗﮭﯿﮟ ﻣﮕﺮ ﻓﯿﺲ ﺑﮏ ﮐﺎ ﭼﺎﺭﻡ ﺳﺎﺭﯼ ﻧﺼﯿﺤﺘﯿﮟ ﺑﮭﻼ ﺩﯾﺘﺎ ﺗﮭﺎ ، ﺳﻮﭼﺘﯽ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﻭﻗﺖ ﮔﺰﺍﺭﯼ ﮨﯽ ﺗﻮ ﮨﮯ ﺑﺲ ،ﻣﯿﮟ ﮐﻮﻧﺴﺎ ﮐﺴﯽ ﺳﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﻓﺮﯼ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﻮﮞ ﺟﻮ ﭘﺮﯾﺸﺎﻧﯽ ﮨﻮ۔
ﻣﮕﺮ ﭘﮭﺮ ﯾﻮﮞ ﮨﻮﺍ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﻟﮍﮐﺎ ﺟﻮ ﺑﻈﺎﮨﺮ ﺑﮩﺖ ﻣﮩﺬﺏ ﺗﮭﺎ ﻣﺠﮭﮯ ﺳﭻ ﻣﭻ ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﻨﮯ ﻟﮕﺎ ، ﺑﻘﻮﻝ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺍﺳﮑﯽ ﺳﺎﺭﯼ ﺗﻮﺟﮧ ﮐﺎ ﻣﺮﮐﺰ ﺻﺮﻑ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﯽ ، ﻣﯿﮟ ﺍﺳﮑﯽ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﺑﺎﺗﻮﮞ ﮐﮯ ﺟﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺁ ﮔﺌﯽ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﭘﺮ ﺑﮭﺮﻭﺳﮧ ﮐﺮﻧﮯ ﻟﮕﯽ۔
ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﺳﮯ ﺍﺑﮭﯽ ﺗﮏ ﻣﻠﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﯽ ﻣﮕﺮ ﻣﺠﮭﮯ ﻣﺤﺴﻮﺱ ﮨﻮﺗﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺟﯿﺴﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﺳﮯ ﮨﻤﯿﺸﮧ ﺳﮯ ﺟﺎﻧﺘﯽ ﮨﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ہمسفر ﺑﻨﻨﮯ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺑﮩﺖ ﻣﻮﺯﻭﮞ ﮨﮯ ، ﻣﻮﻗﻊ ﺩﯾﮑﮫ ﮐﺮ ﺍﻣﯽ ﺳﮯ ﺑﺎﺕ ﮐﺮﻭﮞ ﮔﯽ ﺍﺳﮑﮯ ﺑﺎﺭﮮ ﻣﯿﮟ !
ﻟﯿﮑﻦ ﺁﮬﺴﺘﮧ ﺁﮬﺴﺘﮧ ﺍﺳﮑﯽ ﺑﮯ ﺗﮑﻠﻔﯿﺎﮞ ﺑﮍﮬﻨﮯ ﻟﮕﯿﮟ، ﺍﺱ ﮐﯽ ﺫﻭﻣﻌﻨﯽ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﻣﺠﮭﮯ ﭘﺮﯾﺸﺎﻥ ﮐﺮﻧﮯ ﻟﮕﯽ ﺗﮭﯽ ، ﺍﯾﮏ ﭼﺒﮭﻦ ﺳﯽ ﺗﮭﯽ ﺟﻮ ﺍﻧﺪﺭ ﮐﻮ ﭼﺒﮭﺘﯽ ﺭﮨﺘﯽ ﺗﮭﯽ ، ﻣﯿﮟ ﺍﺏ ﺍﺱ ﺳﮯ ﻧﺎﻃﮧ ﺧﺘﻢ ﮐﺮﻧﺎ ﭼﺎﮨﺘﯽ ﺗﮭﯽ ﻣﮕﺮ ﻭﮦ ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﺟﺎﻥ ﺳﮯ ﻣﺎﺭﻧﮯ ﮐﯽ ﺩﮬﻤﮑﯽ ﺩﮮ ﮐﺮ ﻣﺠﮭﮯ ﺭﻭﮎ ﻟﯿﺘﺎ ﺗﮭﺎ!!
ﭘﮭﺮ ﺍﭼﺎﻧﮏ ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﺷﺎﻡ ﮐﮯ ﻭﻗﺖ ﺍﺱ ﻧﮯ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﻣﻠﻨﮯ ﮐﯽ ﻓﺮﻣﺎﺋﺶ ﮐﯽ ، ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﯾﮧ ﮐﮩﮧ ﮐﺮ ﺍﻧﮑﺎﺭ ﮐﺮ ﺩﯾﺎ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﺗﻮ ﺭﺍﺕ ﮐﻮ ﻣﻠﻨﺎ ﮨﯽ ﻏﻠﻂ ﺩﻭﺳﺮﺍ ﮐﺴﯽ ﺭﺷﺘﮯ ﮐﮯ ﺑﻐﯿﺮ ﮨﻤﺎﺭﺍ ﮨﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺑﻠﮑﮧ ﮨﺮ ﻟﮍﮐﮯ ﺍﻭﺭ ﻟﮍﮐﯽ ﮐﺎ ﺗﻨﮩﺎ ﻣﻠﻨﺎ ﭨﮭﯿﮏ ﻧﮩﯿﮟ۔
ﻣﯿﺮﺍ ﺍﻧﮑﺎﺭ ﺳﻦ ﮐﺮ ﻭﮦ ﺗﮭﻮﮌﺍ ﺍﮐﮭﮍ ﺳﺎ ﮔﯿﺎ ﮐﮧ ﮐﯿﺎ ﯾﺎﺭ ؟ ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﺳﮯ ﺷﺎﺩﯼ ﮐﺮﻧﺎ ﭼﺎﮨﺘﺎ ﮨﻮﮞ ، ﮐﻮﺋﯽ ﮐﮭﺎ ﺗﮭﻮﮌﯼ ﺟﺎﺅﮞ ﮔﺎ ، ﺗﻢ ﺑﮭﯽ ﻧﺎ ، ﺑﺲ ﺣﺪ ﮐﺮﺗﯽ ﮨﻮ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﻧﺮﻣﯽ ﺳﮯ ﮐﮩﺎ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﯾﮧ ﻏﻠﻂ ﮨﮯ ، ﺟﺐ ﺩﻭ ﻟﮍﮐﺎ ﻟﮍﮐﯽ ﺍﮐﯿﻠﮯ ﮨﻮﮞ ﺗﯿﺴﺮﺍ ﺷﯿﻄﺎﻥ ﮨﻤﯿﺸﮧ ﺑﯿﭻ ﻣﯿﮟ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ﻭﮦ ﺑﻮﻻ ﻏﻠﻂ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻓﯿﺲ ﺑﮏ ﺟﻮﺍﺋﻦ ﮐﯿﻮﮞ ﮐﯽ ﺗﮭﯽ ؟؟
ﺑﯿﭩﮭﺘﯽ ﻧﺎ ﭘﺮﺩﮮ ﻣﯿﮟ ، ﯾﮩﺎﮞ ﺗﻮ ﯾﮩﯽ ﮐﭽﮫ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ! ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺑﮭﯽ ﻏﺼﮯ ﻣﯿﮟ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﺎ ﮐﮧ ﻓﯿﺲ ﺑﮏ ﭘﺮ ﺍﮔﺮ ﻏﻠﻂ ﻟﮍﮐﯿﺎﮞ ﺁﺗﯽ ﮨﯿﮟ ﺗﻮ ﺁﭖ ﺑﮭﯽ ﺗﻮ ﺁﺗﮯ ﮨﯿﮟ ، ﺍﺳﮑﺎ ﻣﻄﻠﺐ ﺁﭖ ﺑﮭﯽ ﺑﺮﮮ ﮨﯿﮟ ؟
ﺑﮑﻮﺍﺱ ﺑﻨﺪ ﮐﺮﻭ ، ﻣﯿﺮﺍ ﻃﻨﺰﯾﮧ ﺟﻮﺍﺏ ﺳﻦ ﮐﺮ ﻭﮦ ﺗﮍﭖ ﮐﺮ ﺑﻮﻻ ، ﻣﺠﮭﮯ ﭘﺘﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﺗﻢ ﺍﯾﺴﯽ ﮨﻮ ﺗﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻢ ﮐﻮ ﻣﻨﮧ ﻧﮧ ﻟﮕﺎﺗﺎ ، ﺳﺎﻟﯽ ﻧﮯ ﮨﻮﭨﻞ ﮐﮯ ﮐﻤﺮﮮ ﮐﯽ ﺑﮑﻨﮓ ﭘﺮ ﺍﺗﻨﮯ ﭘﯿﺴﮯ ﺿﺎﺋﻊ ﮐﺮﻭﺍ ﺩﺋﯿﮯ ﻣﯿﺮﮮ ، ﺍﺏ ﻭﺍﭘﺲ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﮞ ﮔﮯ۔
ﺍﺱ ﮐﯽ ﺍﺱ ﺑﺎﺕ ﭘﺮ ﻣﯿﮟ ﺟﯿﺴﮯ ﭘﺘﮭﺮ ﮐﯽ ﮨﻮ ﮔﺌﯽ ،ﻧﺠﺎﻧﮯ ﮐﺐ ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﺩﻭ ﺁﻧﺴﻮ ﮔﺮﮮ ، ﺷﺎﺋﺪ ﺷﮑﺮﺍﻧﮯ ﮐﮯ ﮐﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﺭﺏ ﻧﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﮐﺴﯽ ﻏﻠﯿﻆ ﮔﮭﮍﮮ ﻣﯿﮟ ﮔﺮﻧﮯ ﺳﮯ ﭘﮩﻠﮯ ﮨﯽ ﺑﭽﺎ ﻟﯿﺎ۔
ﻣﯿﺮﯼ ﺑﮩﻨﻮ ! ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺗﻮ ﺍﭘﻨﺎ ﺳﺒﻖ ﺳﯿﮑﮫ ﻟﯿﺎ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﺳﻮﭺ ﮐﻮ ﺑﻨﺎﻧﮯ ﻭﺍﻟﯽ ﻣﯿﺮﯼ امی ﺗﮭﯽ ، ﻭﻗﺘﯽ ﻃﻮﺭ ﭘﺮ ﻣﯿﺮﮮ ﻗﺪﻡ ﻟﮍ ﮐﮭﮍﺍﺋﮯ ﺿﺮﻭﺭ ﻣﮕﺮ ﺍﻟﺤﻤﺪﻟﻠﻪ ﻣﯿﺮﮮ ﺍﻟﻠﻪ ﻧﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﺑﺮ ﻭﻗﺖ ﺑﭽﺎ ﻟﯿﺎ ۔۔
ﺍﺏ ﺁﭖ ﺳﺐ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﺳﮯ ﺩﺭﺧﻮﺍﺳﺖ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻓﯿﺲ ﺑﮏ ﺍﻭﺭ whatsapp ﯾﺎ ﻧﯿﭧ ﮐﺎ ﻏﻠﻂ ﺍﺳﺘﻌﻤﺎﻝ ﻧﮧ ﮐﺮﯾﮟ ﭘﻠﯿﺰ ! ﻧﯿﭧ ﭘﺮ ﻣﻠﻨﮯ ﻭﺍﻻ ﮨﺮ ﺷﺨﺺ ﺷﺮﯾﻒ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﺎ ،
ﺗﻨﮩﺎﺋﯽ ﻣﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺴﯽ ﻣﺮﺩ ﮐﻮ ﻧﮧ ﻣﻠﯿﮟ ، ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﺑﺮﺑﺎﺩ ﮨﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﺑﭽﺎﺋﯿﮟ۔ ﺁﭖ ﻟﻮﮒ ﯾﮩﺎﮞ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﮐﮭﯿﻞ ﻧﮧ ﮐﮭﯿﻠﯿﮟ۔
​​​ ﺍﮔﺮ ﻣﻠنا ﻣﻤﮑﻦ ﮨﻮ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻧﮑﺎﺡ ﮐﺎ ﺣﻼﻝ ﺭﺷﺘﮧ ﺟﻮﮌﯾﮟ ، ﺣﺮﺍﻡ ﮐﺎﺭﯼ ﺟﯿﺴﮯ ﮔﻨﺎﮦ ﺳﮯ ﺑﭽﯿﮟ ! ﺟﻮ ﻟﮍﮐﺎ ﺁﭖ ﮐﯽ ﺻﺤﯿﺢ ﻣﻌﻨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻋﺰﺕ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮ ﮔﺎ ﻭﮦ ﺑﺎﻋﺰﺕ ﻃﺮﯾﻘﮧ ﺳﮯ ﺁﭖ ﺳﮯ ﺭﺷﺘﮧ ﺟﻮﮌﮮ ﮔﺎ۔
ﺍﭘﻨﮯ ﻓﺎﺭﻍ ﻭﻗﺖ ﮐﻮ ﮐﭽﮫ ﺍﭼﮭﺎ ﺳﯿﮑﮭﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺻﺮﻑ ﮐﯿﺠﺌﮯ !
ﺍﻧﭩﺮﻧﯿﭧ ﭘﺮ ﭘﯿﺎﺭ ﻣﺤﺒﺖ ﯾﮧ ﺳﺐ ﺩﻗﯿﺎﻧﻮﺳﯽ ﻓﺮﺳﻮﺩﮦ ﻭ ﺑﮯ ﺍﺻﻞ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﮨﯿﮟ ،ﻧﮧ ﺗﻮ ﭘﯿﺎﺭ ﺍﯾﺴﮯ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﻧﮧ ﮨﯽ ﺩﻭﺳﺘﯽ !!
ﯾﮧ ﺳﺐ ﺧﯿﺎﻟﯽ ﻓﯿﮏ ﺩﻧﯿﺎ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺣﻘﯿﻘﺖ ﺑﮩﺖ ﻣﺨﺘﻠﻒ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ۔​​۔ !
ﺍﺣﺘﯿﺎﻁ ﮐﺮﻟﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﭘﮩﻠﮯ ﮐﮯ ﭘﭽﮭﺘﺎﻧﺎ ﭘﮍﮮ
ﺟﻮ ﻟﮍﮐﺎ ﺁﭖ ﺳﮯ ﺳﭽﯽ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺮﺗﺎ ﮬﻮﮔﺎ ﻭﮦ ﻋﺰﺕ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺁﭖ ﮐﻮ ﺍﺳﻼﻣﯽ ﺷﺮﯾﻌﺖ ﮐﮯ ﻣﻄﺎﺑﻖ ﺁﭖ سے ﻧﮑﺎﺡ ﮐﺮﮐﮯ ﻋﺰﺕ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺍﭘﻨﮯ ﮔﮭﺮ ﻟﮯ ﺟﺎﮰ ﮔﺎ ﻧﮧ ﮐﮧ ﮬﻮﭨﻠﻮﮞ ﭘﺎﺭﮐﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﮔﮭﻤﺎ ﮐﮯ ﭼﻨﺪ ﮔﻔﭧ ﺩﮮ ﮐﮯ ﺁﭘﮑﯽ ﻋﺰﺕ ﺳﮯ ﮐﮭﯿﻠﮯ ﮔﺎ، اور کوی لڑکا  Facebook پر پیار اور محبت نہیں کرتا بلکہ وہ اپنا پیاس بھجا کر چھوڑ دیتا ہے اور بعد میں الظام بھی آپ پر ہی لگاے گا کیونکہ کوی لڑکا نکاح کے لے مطلب شادی کے لے Facebook کی لڑکیاں نہیں دیکھتا بلکہ وہ اپنے والدین کے ذریعے رشتہ تلاش کرتا ہے یہ تو آپکو معلوم ہی ہوگا۔ اس لے کسی سے اپنی عزت کا جنازہ نہ اٹھواے۔ اللہ ہم سب کو صحیح عمل کرنے کی توفیق دے، مسلم خواتین کو با حیا اور با پردہ رکھے، یہ اللہ ہماری ماں بہنوں کو فاطمہ اور زینب جیسی پردہ نسی بنا دے۔ آمین ثمہ آمین
Share:

Aaj ke Social Media(Watsapp, Facebook) pe jhooti Batein Fail Rahi hai,Hme Unse Parhej Karni chahiye.

Aaj kal Facebook,Whatsapp Pe Islam KA NAm Dekar Jhooti Khabrein Failane Wale

آج کل وھاٹس ایپ پر کچھ گدھوں کا گروپ کافی کہرام مچائے ھوئے ہیں' جس گروپ میں کئی اقسام  کے گدھے شامل ہیں.......جیسے
بدعتی گدھے جن کا کام ہے کسی ایسی بات یا قول کو نقل کرنا جو نا کہیں سے ثابت ہو نا جسے عقل قبول کرے....جیسے
یہ فُلان فُلان دُعا یا میسیج ہے دس لوگوں کو بھیجو ٹھیک دس گھنٹے بعد خوشخبری ملے گی.......نہی بھیجا تو ٹھیک دس گھنٹے بعد آپ پر مصیبت آسکتی ہے...(یہ اونچی کوالیٹی کے گدھے ہیں) انکو سمجھا سمجھا کر تھک چُکے ہیں لیکن یہ عزمِ مصمم لئے اب بھی بر سرِ پیکار ہیں کچھ ہیں مصنوعی گدھے جو گدھے ہوتے نہی ہیں انھیں گدھا بنادیا جاتا ہے جیسا کہ انکی حرکتوں سے پتہ چلتا ہے..بروئے مثال یہ فُلاں مسجد کا فوٹو ہے' یہ ہمارے پاس آیا ہے' اس کی ووٹنگ چالو ہے' اسے جتنا سینڈ کرو گے' اتنی ووٹ اس مسجد کے حق میں جائے گی' آج رات تک کا ٹائم ہے(میرے خیال سے انکی راتیں اتنی طویل ھوجاتی ہیں کہ کئی کئی سالوں تک وہ میسیج وھاٹس ایپ اور فیس بُک پر گردش کرتا رہتا ہے مگر مجال ہے وہ رات ختم ھوجائے )
(یہ عقل کے اندھے)
کچھ فطرتی گدھے جن کو ہر کام کرنے سے پہلے نا سیاق کی تحقیق مطلوب ھوتی ھے نا سباق کی تحقیق (یعنی جو آیا آگے بھیجتے جاؤ چاہے وہ درست ہو یا نہی) جیسے
فُلاں آیت'''فُلاں دعا کا ورد'''' فُلاں کلمہ کی فضیلت"" یہ پڑھو یہ ھوجائے گا""وہ پڑھو وہ ھوجائے گا..... نا تحقیق کرتے ہیں نا تحقیق کا خیال آتا ہے.......فطرتی طور پر مجبور ھوتے ہوئے عمل در عمل کرتے ہیں
اسی طرح احادیث کے معاملہ میں...چاہے وہ حدیث ھو یا نا ھو.....حدیث کا لیبل لگاکر چپکادیا....اور عظیم گناہ کے حقدار ھوگئے...
(یہ سمجھ کے اندھے" یعنی کومن سینس بالکل نہی )
(میری تو رائے ہے کہ کوئی عام آدمی جنکو احادیث کا علم نہی وہ وھاٹس ایپ اور فیس بک پر حدیث سینڈ ہی نا کریں الّا یہ کہ تحقیق شدہ ھو)
کچھ نظریاتی گدھے جو نظر آیا گھسیٹتے جاؤ...کوئی گُم ھوگیا ھے اسکا فوٹو آڈیو ویڈیو روزآنہ کوئی نا کوئی گروپ میں آہی جاتا ہے....اب وہ بیچارہ گھر تو پہنچ جاتا ہے مگر پریشان تب ھوتا ہے جب لوگ ہر دن اسے راستے سے اٹھا اٹھاکر واپس گھر پہونچادیتے ہیں....وہ اس لئے کہ ان سوشل گدھوں نے اسکے فوٹو کو سینڈ کرنا آج تک بند نہی کیا......
کچھ لوگ کسی موضوع کی فضیلت دولائن میں بیان کردیتے ہیں"" مگر نیچے دوسَو لائن میں اس کے سینڈ کرنے کی فضیلت کے بیان کرنے کو ناگریز کیا? واجب و فرض گردانتے ہیں
(یار جب مضمون لکھ دیا اور سامنے والے کو پسند آگیا تو وہ ضرور سینڈ کرے گا نا?? کاہے کو لکھ کر دماغ خراب کرتا ہے)
اب کیا بتائیں ?اور بھی کچھ بخاری گدھے " کچھ سماجی گدھے " کچھ نظریاتی گدھے " کچھ فکریاتی گدھے " کچھ اندازی گدھے " کچھ شوبازی گدھے "  اور کئی اقسام ہیں ان گدھوں کی جن کی تعریفیں اس چھوٹے سے گروپ میں سما نہی سکتی مگر آپ روزآنہ مشاہدہ سے خود اقسام کا معائنہ کرسکتے ہیں
ان سے بچنے کا طریقہ یہی ہے کہ انکی بے سند اور فضول پوسٹوں  پر دھیان نا دیتے ہوئے " انھیں اگنور کرتے ھوئے دوسری اچھی پوسٹوں پر فوکَس کریں تو یہ خود بخود سُست پڑ جائیں گے....اور کمنٹ کرنا ہی ھے تو برسرِ عام گروپ می ایسے گدھوں کو پھٹکاریں تاکہ دوسرے ان کے شرور و فتن سے محفوظ رہیں اور یہ خود سدھرنے کی کوشش کریں....
اللہ سب کو ھدایت نصیب کرے
آمین
*کامران حسَّان انصاری*
Share:

Social Media Pe Ladko Aur Ladkiyon ki Guftagu Ke Bare Me Shariat ka Kya Hukm Hai?

Social Media Pe Ladko Aur Ladkiyon Ki Guftagu (Chating) Karna kaisa Hai?Shariat me Iska Kya Hukm Hai? 

Tehreer: Shaikh Rafiq Tahir Hafizahullah
Romanised By: Umar Asari



Ghair Mehram mard o aurat ki baat cheet aamne saamne ho, mobile paighaamaat (messaging) ke zariye ho, ya Social Media par chatting ho, sab ke liye Allah Taala ne ek hi usool o zaabita muqarrar farmaaya hai. Allah Taala ka farmaan hai:

وَإِذَا سَأَلْتُمُوهُنَّ مَتَاعاً فَاسْأَلُوهُنَّ مِن وَرَاء حِجَابٍ ذَلِكُمْ أَطْهَرُ لِقُلُوبِكُمْ وَقُلُوبِهِنَّ​

Tarjumah: Aur jab tum un se kisi cheez ke baare mein poocho, to parde ki oot mein baat karo. Yeh tumhaare dilon aur unke dilon ke liye ziyadah pakeezah hai.
Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 53
Is se ma’loom hota hai ke ghair mehram mard aur aurat aapas mein kaam ki baat kar sakte hain. Aur baat karne ka tareeqa yeh hona chaahiye ke aurat parde ki oot mein ho. Mobile, ya Messengers par call karte huwe, ya chat ke dauraan “parde ki oot” to maujood hoti hi hai. Han koi video call kar ke us “oot” ko khatm kar de to doosri baat hai. Lekin doosri ahem cheez jo is Ayat mein bayan hue hai woh hai “kaam ki baat”! Jise aam taur se nazar-andaaz (ignore) kar diya jaata hai, aur iska lihaaz rakhe baghair baat cheet ki jaati hai. Is Ayat e Kareemah mein hijaab ka zikr karne se pehle is ahem cheez ko bayan kiya gaya hai jis se wazeh hota hai ke ghair mehram mard o aurat ki aapas mein baat cheet sirf “zaroori aur ahem kaam” se mutalliq honi chaahiye. Mahez “gap shap” lagane ki ijazat Shari’at mein unke liye nahi hai! Khoob samajh len.
Isi tarah doosre maqam par Allah farmaata hai:

يَا نِسَاء النَّبِيِّ لَسْتُنَّ كَأَحَدٍ مِّنَ النِّسَاء إِنِ اتَّقَيْتُنَّ فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ وَقُلْنَ قَوْلاً مَّعْرُوفاً​
Tarjumah: Aye Nabi ki biwiyo! Tum aam aurton jaisi nahi ho, agar tum Allah se darti ho, to pur-kashish lehje mein guftgu na karo, warna jis ke dil mein marz hai woh tama’ laga baithega. Aur maroof baat kaho.
Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 32
Is aayat mein Allah Taala ne ghair mehramon se guftgu karne ke liye mazeed do usool bayan farmaaye hain:
1. Lehja pur-kashish na ho.
2. Maroof baat ho.
Yani agar koi aurat guftgu ke dauraan aise lehje mein baat kare jis se mardon ke dil mein “ishq” ka marz janam le sakta ho, to woh lehja Shari’at mein haraam hai. Isi tarah tehreeri (written) guftgu mein bhi is baat ka khayaal rakhna zaroori hai ke aise alfaaz se bacha jaaye jo sinfi kashish ka sabab bante hon.
Aur jo guftgu mard o aurat kar rahe hain woh maroof yani achchaayi, bhalaayi aur neki ki guftgu ho jise Shari’at e Islaamiyyah mana nahi karti.
Upar zikr kiye qawaaid o zawaabit ka khayaal rakh kar ghair mehram mard o aurat aapas mein baat cheet kar sakte hain. Is ummat ki sab se pakeezah khawateen yani Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki azwaaj e mutahharaat bhi ghair mehram mardon se inhi usoolon ko madd e nazar rakh kar guftgu karti aur isi tarah RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki baraah e raast shaagirdaat yani Sahabiyat bhi inhi zaabiton ki paaband reh kar baat cheet kiya karti thein. So aaj bhi agar koi in zaabiton ki paabandi kare to unki guftgu mein koi harj nahi hai. Yani baat aisi ho jo ke mard ko us aurat se ya aurat ko us mard se “khud” karna zaroori ho, guftgu ka andaaz pur-kashish na ho, maroof baat ho, aur hijaab ke ahkaamaat malhooz e khaatir hon, to koi harj nahi hai.
Shaadi se pehle mangetar bhi “na mehram” hi shumaar hote hain. Lehaza un se bhi guftgu inhi zawaabit ki paaband hai.
Yahan ek ahem baat samjhna bahut zaroori hai, khusoosan khawateen ke liye ke:
* Unki Social Media ID unke zimmedaar (mehram mard rishtedaar jo aurat ka sarparast hai) ke ilm mein honi chaahiye. Aur agar khawateen Social Media masalan Facebook, Twitter, Whatsapp, Telegram waghera ka istemaal karti hain to unhein bahut ziyadah khabardaar rehna hoga. Aur neeche bataayi jaa rahi ghalatiyon se mukammal taur par bachna hoga:

1- Ladkon ko add karna:

Kisi bhi aisi ID jo mardon ya ladkon ke naam se hon un ko add na karen aur
agar aap ko ladki ke naam se friend request aayi hai to aap ko ma’loom hona chaahiye ke yeh real mein kisi bahen ki ID hai, kahin aisa to nahi ke ladki ke naam se fake ID bana kar ladke aap ko friend request bhej rahe hain. Jin par ladkiyon ki photos lagi hoti hain taaki aise ladkiyon ki profile mein ghusa jaa sake. Algharz aap sirf aur sirf ladkiyon ko hi apni friend list mein add karen aur woh bhi aisi ladkiyaan jinhein aap jaanti hon ke real mein yeh ladkiyaan hi hain aur Shari’at ki paaband bhi! Agar aap ko deeni maloomaat chaahiye, to aap Facebook par aise pages ko like kar len jo authentic Islaami maloomaat dete hain. Un se hi aap ki ilmi zaroorat poori ho jaayegi.

2- Ladkon se chat:

Ladkon se chat karne ki bilkul bhi zaroorat nahi jaisa ke upar dalaail se yeh baat wazeh ki gayi hai ke “gap shap” lagane ya phir sirf “salaam dua, haal chaal” ki gharz se na-mehramon se chat ya guftgu karne ki Shari’at mein hargiz ijazat nahi hai. Haan zaroorat ke waqt zaroorat ke baqadr jitni Shari’at ne ijazat di hai uske mutaabiq koi baat ki jaa sakti hai, lekin yeh zehan mein rahe ke yeh ijazat sirf rukhsat hai, lehaza iska kam se kam istemaal karen. (Aur yeh zaroor soch len ki kya haqeeqat mein aapka maqsad sahih aur Shari’at ke mutaabiq hai? Aur yeh bhi sooch len ki kahin aap ke baat karne se fitne ka andesha to nahi hai?)

3- Zaroorat aur bila wajah ki guftgu ke bareek farq ko samjhen:

Agar aap ko kisi alim e deen se maloomaat chaahiye to teen (3) se chaar (4) lines mein apna sawaal likh kar send karen, warna guftgu lambi ho jaayegi aur kahin jaa kar bhi nahi rukegi jis se fitne ka andeesha (khauf, darr) hai.

Khawateen aam taur se mard ko deendaar, muttaqi, alim e deen samajh kar “gap shap” karna shuru kar deti hain jo ke Shari’at mein haraam hai. Is se bachen. To the point yani jaami’ o maane’ baat karen.

Yahan yeh baat bhi yaad rahe ke aap jab bhi kisi ghair mehram mard se chat karen to apne kisi mehram ki maujoodgi mein karen, fitne se mehfooz rahne ka yeh bahut muassir zariya hai.

4- Doosron ki posts par comment karna:

Kisi bhi deeni ya falaahi tanzeem ya jama’at ke page par maujood posts par apni ID se comment na karen, warna iske nateeja mein aap ki ID hazaaron balki laakhon mardon tak pahunch jaayegi aur yeh fitne ka sabab ban jaayegi!

5- Profile Picture:

Apni profile par apni tasweer na lagaayen, chaahe naqaab waali hi kiun na ho. Kuch ladkiyaan apne haathon, paaon, libaas waghera ki photos ko apni profile par laga deti hain jabki Shari’at ne in sab ko chupane ka hukm diya hai.

6- Post karne mein ehtiyaat barten:

Apne dukh aur gham masalan: Main pareshaan hun, depression mein hun, main bahut museebat mein hun waghera Internet par ajnabiyon se hargiz share na karen, aur na hi apni jaanne waali ladkiyon se. Yeh woh ghalati hai jo har ladki internet par karti hai aur uske baad nuqsaan uthaati hai. Isi tarah apne rawayye aur pasand na-pasand, colour kaisa pasand hai, khaane mein kya pasand hai, joote kaun se pasand hain, yeh maloomaat agar aap internet pe daalengi to woh kisi na kisi tak to pahunchengi jis se nuqsaan ka darr hai.
Share:

Ulema-E-Kiraam se Nafrat Dilaane ka Fitnaah, Asbaab-O-ilaaj (Part 03)

*ꙮUlama-e-Kiraam se tanfeer (Nafrat dilaane) ka fitnah—Asbaab-o-ilaajꙮ*

*Part- ⓷*

*🖋 Tehreer: Umar Asari bin Ashiq Ali Asari​

*❀In halaat ke asbaab:❀*
In halaat ke asbaab bahut se ho sakte hain, un mein se chand ahem asbaab ko main likhne ki koshish karta hun:
*➊ Ulama-e-soo (bure ulama) ki bad-kirdaariyan:*
Ulama-e-soo ki wajah se logon ne ulama se doori banani shuru kar di aur yeh samajh liya ke ulama tamaam ke tamaam bad-kirdaar aur bure hi hote hain. Yahi soch ulama se tanaffur (nafrat dilaane) ka sabab bani.

*➋ Ulama aur awaam (logon) ke darmiyaan doori:*
Islam ke dushmano ki saazishon aur kuch naam nihaad (so called) musalmaano ki wajah se logon ne ulama se doori ikhtiyaar kar li aur ulama ne bhi logon se rabt-o-talluq ki koshish nahi ki. Hona to yeh chahiye tha ke ulama logon se qareeb hone ke zaraaye (waseele) ikhtiyaar karte, lekin kuch ulama ko chhod kar aksar ne koi munasib zariya aur waseela ikhtiyaar nahi kiya aur aaj haalat yeh ho gayi hai ke facebook aur Whatsapp ke dildaadah (ashiq) ulama ke paas logon ke liye waqt hi nahi hai, yahi wajah hai ke millat ke naujawaano (youngsters) ki zehan saazi ulama-e-haqq ki bajaaye ahl-e-Maghrib (western ke log) aur maghribi tehzeeb (western culture) ke muqallid afraad kar rahe hain.

*➌ Social Media:*
Sitam zareefi yeh hai ke logon ke paas ek to deen ke ilm ki kami hai, doosre jo kuch hai woh bhi Social Media ki den (gifted) hai jo bid’aat-o-khurafaat, saazishon aur ghalat fehmiyon ki milawat ka shikaar hai. Is ki wajah aur sabab kaafi hadd tak khud ulama ka rawayyah hai. Unhon ne logon ki tarbiyat aur zehan saazi par dhiyaan dena chhod diya. Nateeja yeh huwa ke logon ne Social Media hi ko deen ke ilm ke husool ka zariya bana liya aur Masajid-o-Madaaris se talluq khatm kar liya aur Social Media se rutab-o-yaabis (muraad achchi buri) har cheez deen ke ilm ke naam par haasil karna shuru kar diya.

*➍ Deen ka ilm haasil karne mein ehtiyaat na karna:*
Agar bachchon ka kisi school mein admission karwaana ho to us ki khoob jaanch padtaal ki jaati hai taaki bachchon ka future taabnaak (bright) ho sake. Isi tarah treatment karwaane ke liye achche se achche Doctor ka intikhaab kiya jaata hai aur “Neem hakeem khatra-e-jaan” ki sangeeni ko dekhte huwe jhola chhaap doctors se bacha jaata hai taaki treatment sahih dhang se ho sake aur nuqsaan ke bajaaye faida ho. *Lekin becharah deen itna sasta aur haqeer ho gaya hai ke log deen ka ilm kisi se bhi haasil kar lete hain aur aaj yahi ho raha hai, lehaza ummat-e-muslimah deen ka ilm haasil karne ke silsile mein ehtiyaat ko pare rakhte (chhodte) huwe har kisi se deen ka ilm haasil kar rahi hai. Aur jab har kisi se deen ka ilm haasil kiya jaayega to zahir si baat hai fasaad aur bigaad is ummat ka muqaddar ban jaayega. Chunanche “Deen ka ilm kisi se bhi haasil kiya jaa sakta hai” aur “Haqq jahaan se mile le lena chahiye” isi tarah “Jo haqq ho use le lo baaqi ko chhod do” jaise pur fareb (fareb se bhare huwe) na’re aaj is ummat ki aur khaas taur se youngsters ki khususiyat ban chuke hain.* Halaanki hamaare aslaaf ka yeh tareeqa nahi raha hai. *Chunanche Ibn-e-Sireen Rahimahullah farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ دِينٌ، فَانْظُرُوا عَمَّنْ تَأْخُذُونَ دِينَكُمْ​
*Tarjumah:* Yeh ilm, deen hai, lehaza dekh lo ke tum kin logon se apna deen lete ho.
*(Muqaddimah Sahih Muslim)*

*Aur Imam Malik Rahimahullah farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ هُوَ لَحْمُكَ وَدَمُكَ، وَعَنْهُ تُسْأَلُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، فَانْظُرْ عَنْ مَنْ تَأْخُذُهُ​
*Tarjumah:* Yeh ilm tumhaara gosht aur khoon hai, is ke baare mein qayamat ke din tum se sawaal kiya jaayega, lehaza dekh liya karo ke ise kis se haasil kar rahe ho?
*(Muatta Imam Malik: 1/25, Al-Muhaddis-ul-Fasil Li-Ramahurmuzi: 416)*

*Imam Malik Rahimahullah ka ek aur qaul hai, farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ دِينٌ فَانْظُرُوا عَمَّنْ تَأْخُذُونَ دِينَكُمْ لَقَدْ أَدْرَكْتُ سَبْعِينَ مِمَّنْ يَقُولُ: قَالَ فُلَانٌ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عِنْدَ الْأَسَاطِينِ، وَأَشَارَ إِلَى مَسْجِدِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَمَا أَخَذْتُ عَنْهُمْ شَيْئًا، وَإِنَّ أَحَدَهُمْ لَوْ أُؤْتُمِنَ عَلَى مَالٍ لَكَانَ بِهِ أَمِينًا لِأَنَّهُمْ لَمْ يَكُونُوا مِنْ أَهْلِ هَذَا الشَّأْنِ، وَيَقْدِمُ عَلَيْنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُسْلِمِ بْنِ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ شِهَابٍ فَيُزْدَحَمُ عَلَى بَابِهِ​
*Tarjumah:* Yeh ilm, deen hai lehaza dekh liya karo ke tum kis se apna deen le rahe ho, main ne sattar (70) logon ko Allah ke Nabi ﷺ ki Masjid mein sutun (pillar) ke paas yeh kehte huwe paaya ke falaan ne kaha ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya lekin main ne un se kuch na liya, jabki woh sab itne ameen (amanat daar) the ke agar unhein maal par nigraan muqarrar kar diya jaata to woh amanat daar nikalte lekin woh is fann ke ahel (laaiq) na the. (Un ke bil-muqaabil) Muhammed bin Shihaab Az-Zohri Rahimahullah jab hamaare paas tashreef laate to un ke darwaaze par hujoom (rush, bheed) lag jaaya karta tha.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/194)*

*Balki hamaare aslaaf to deen ka ilm haasil karne mein ehtiyaat na karne ki wajah se haath tak utha diya karte the.* *Chunanche Khabbab bin Aratt Radhiallahu Anhu se marwi hai:*
رَأَى ابْنَهُ عِنْدَ قَاصٍّ، فَلَمَّا رَجَعَ اتَّزَرَ وَأَخَذَ السَّوْطَ وَقَالَ: أَمَعَ الْعَمَالِقَةِ! هَذَا قَرْنٌ قَدْ طَلَعَ​
*Tarjumah:* Unhon ne apne bete ko ek qissa kahne waale ke paas dekha. Jab woh ghar laute to unhon ne apna izaar baandha aur koda le kar apne bete ko yeh ke kar peetne lage ke “Kya Amaaliqah ke saath baithte ho, yeh ijaad ki hui bid’at hai.”
*(Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah: 13/362, Hadees No: 26721)*

*Zara sochen aur gaur-o-fikr karne ke baad apne dil se poochen ke kya yeh zamaana khair-ul-quroon se behtar hai? Ya is zamaane ke tamaam log khair-ul-quroon ke logon se behtar hain? Agar is ka jawab aap ko nafi (no/nahi) mein mile aur haqeeqat aisi hi hai (yani aapko iska jawaab “nahi” mein hi milega) to Allah ke waaste aslaaf ke tareeqe aur Manhaj par chalen aur har kisi se deen ka ilm lene se bachte huwe sirf un logon se deen ka ilm haasil karen jin ke ilm ki gawaahi aur jin ka tazkiyah Ulama-e-haqq ne kiya ho. Yahi ta’leem Abdur Rehman bin Yazeed bin Jabir Rahimahullah ne di hai.* Farmaate hain:
لا يؤخذ العلم إلا عمن شهد له بالطلب​
*Tarjumah:* Ilm us shakhs se haasil kiya jaaye jis ke muta’allim hone (ta’leem haasil karne) ki ahl-e-ilm ne gawaahi di ho.
*(Al-Kifayah Lil-Khateeb: 1/375)*

*Yaad rakhen! Is ummat mein khair ulama-e-haqq se hi ilm haasil karne mein hai. Chunanche Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma farmaate hain:*
لَا يَزَالُ النَّاسُ بِخَيْرٍ مَا أَخَذُوا الْعِلْمَ عَنْ أَكَابِرِهِمْ وَعَنْ أُمَنَائِهِمْ وَعُلَمَائِهِمْ فَإِذَا أَخَذُوهُ مِنْ صِغَارِهِمْ وَشِرَارِهِمْ هَلَكُوا​
*Tarjumah:* Log hamesha khair par rahenge jab tak woh apne badon, ameen logon aur ulama se ilm haasil karenge. Aur jab woh apne chhoton aur bure logon se ilm haasil karenge to halaak ho jaayenge.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/155, Jami’ Bayan-ul-Ilm Wa-Fazluhu: 1/616, Hadees No: 1057, Naseehat-o-Ahl-il-Hadees Lil-Khateeb: 29, Hadees No: 8)*

*Isi ke related yeh fitnah bhi aata hai ke deen ke ilm ke husool mein ulama ko chhod kar sirf aur sirf internet aur kitaabon par bharosa kar liya gaya hai.* Is beemari mein khaas taur se ummat ke naujawaan (youngsters) mubtala hain. *Jo log sirf kitaabon se ilm haasil karte the aslaaf use “Sahafi” kaha karte the aur un se deen ka ilm haasil karne se rokte the. Chunanche Sulaiman bin Musa Rahimahullah kehte hain:*
لَا تَأْخُذُوا الْعِلْمَ مِنَ الصَّحَفِيِّينَ​
*Tarjumah:* Sahafi logon se ilm haasil mat karo.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/193)*

*Shaikh Saleh Al-Fawzaan Hafizahullah ne Usool-e-Salasah ki sharah mein kitni khoobsurat baat kahi hai:*
قوله: ثلاث مسائل: التعلم هنا معناه: التلقي عن العلماء والحفظ والفهم والإدراك، هذا هو التعلم، ليس المراد مجرد قراءة أو مطالعة حرة كما يسمونها هذا ليس تعلما إنما التعلم هو: التلقي عن أهل العلم مع حفظ ذلك وفهمه وإدراكه تمامًا، هذا هو التعلم الصحيح، أما مجرد القراءة والمطالعة فإنها لا تكفي في التعلم وإن كانت مطلوبة، وفيها فائدة لكنها لا تكفي، ولا يكفي الاقتصار عليها۔
ولا يجوز التتلمذ على الكتب كما هو الواقع في هذا الوقت، لأن التتلمذ على الكتب خطير جدا يحصل منه مفاسد وتعالم أضر من الجهل، لأن الجاهل يعرف أنه جاهل ويقف عند حده، لكن المتعالم يرى أنه عالم فيحل ما حرم الله، ويحرم ما أحل الله، ويتكلم ويقول على الله بلا علم فالمسألة خطيرة جدا۔
فالعلم لا يؤخذ من الكتب مباشرة إنما الكتب وسائل، أما حقيقة العلم فإنها تؤخذ عن العلماء جيلًا بعد جيل والكتب إنما هي وسائل لطلب العلم۔​
*Tarjumah:* Shaikh Muhammed bin Abdul Wahhab Rahimahullah ka qaul: Teen masail (yani Allah ﷻ ki ma’rifat, Rasoolullah ﷺ ki ma’rifat aur Deen-e-Islam ki ma’rifat): *Yahan ta’allum (ilm haasil karne) se muraad ulama-e-kiraam se ilm haasil karna, use hifz karna, us ka feham-o-idraak haasil karna hai. Yahi ta’leem hai. Is se yeh muraad nahi ke sirf padhaayi ya jis tarah naam diya jaata hai “Self-studies” ki jaaye, yeh ta’allum nahi balki ta’allum to yeh hai ke ulama-e-kiraam se (ilm) haasil kiya jaaye us ke hifz, feham (samajh) aur mukammal idraak ke saath, yeh hai sahih ma’non mein ilm haasil karna,* jabki sirf khud kitaab padhna aur mutala’a karna agarche matloob to hai magar ta’allum (ilm haasil karne) ke liye kaafi nahi, is mein faida bhi hai magar yeh kifaayat nahi karta aur is par iktifaa karna kaafi nahi. Kitaabon ki shaagirdi ikhtiyaar karna jaaiz nahi jaisa ke logon ki maujooda haalat hai, kiunki kitaabon ki shaagirdi ikhtiyaar karna bahut khatarnaak hai jis se bahut kharabiyan paida hoti hain aur yeh ta’alum to johl (jihaalat) se ziyadah nuqsaan-deh hai, kiunki jaahil jaanta hai ke woh jaahil hai lehaza woh apni hadd par ruk jaata hai, lekin Al-Muta’alim (ilm ka da’wedaar) samjhta hai ke woh alim hai lehaza woh Allah ﷻ ki halaal ki hui cheezon ko haraam aur haraam ki hui cheezon ko halaal qaraar deta hai aur Allah ﷻ ke baare mein baghair ilm ke bolta aur kalaam karta hai lehaza yeh masla bahut khatarnaak hai. Chunanche ilm kitaabon se baraah-e-raast (directly) haasil nahi kiya jaata balki kitaabein to waseela aur zariya hain, jabki haqeeqi ma’non mein ilm to ulama-e-kiraam se haasil hota hai jo ek nasl se doosri nasl tak muntaqil hota rehta hai, aur kitaabein to ilm haasil karne ke wasaail mein se hain.
*(Sharah Al-Usool As-Salasah: 31-32)*

*➎ Ghair alim du’aat ka tasallut aur ghalaba:*
Nabi ﷺ ne farmaaya tha:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ، ‏‏‏‏‏‏وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ، ‏‏‏‏‏‏حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالًا، ‏‏‏‏‏‏فَسُئِلُوا فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ فَضَلُّوا وَأَضَلُّوا​
*Tarjumah:* Allah ﷻ ilm ko is tarah nahi uthaayega ke us ko bandon se cheen le. Balki woh ilm ulama ko maut de kar uthaayega. Yahan tak ke jab koi alim baaqi nahi rahega to log jaahilon ko sardaar bana lenge, phir un se sawaalaat kiye jaayenge to woh baghair ilm ke fatwa denge. Lehaza woh khud bhi gumraah honge aur logon ko bhi gumraah karenge.
*(Sahih Bukhari, Hadees No: 100)*

*Aaj kal Rasoolullah ﷺ ki pesheen gooyi (prediction) harf-ba-harf sadiq aa rahi hai. Log kuch kitaabon ka mutala’a kar ke ulama ka libaadah pahen kar saada lauh (bhole bhaale) musalmaano ko ghalat salat baatein bata kar raah-e-haqq aur siraat-e-Mustaqeem se door karte huwe waqt ka Allama banne ke pur-zor koshish kar rahe hain.* Log bhi un ka khoob saath de rahe hain aur un ko saraahte huwe unhein ulama se ziyadah ahmiyat dene lage hain. Aise logon ki wajah se hi yeh mimbar-o-mehraab aur conferences waghera mein apna tasallut qaayim karne lage hain. *Un ki shohrat aur chamak damak ko dekhte huwe millat ke youngsters bhi isi raah par chal nikle hain, lehaza aap ko Social Media par khaas taur se naam nihaad (so called) muballigheen-o-du’aat aur muhaqqiqeen-o-muftiyaan ke alqaab ke misdaaq afraad mil jaayenge jo apne khayaal mein deen ki bahut badi khidmat anjaam de rahe hain. Chunanche aap dekhenge ke jis ne bhi ek do kitaabein padh lien ya ek do lecture sun liye woh groups, pages, blogs, websites aur YouTube channels banaata hai aur Quran-o-Hadees ki khud saakhta (khud ki) tashreeh karte huwe Deen-e-Islam ki dhajjiyaan udaane ki koshish karta hai, lehaza koi muhaqqiq bante huwe Ahadees ke sahih aur za’eef hone par kalaam karta hai to koi mansookh jaisi Ahadees ko bayan kar ke un se masail ka istimbaat karta nazar aata hai. Yeh daqeeq (pecheedah) masaail hon ya ghair daqeeq sab mein apni raaye dene ko apna paidaaishi haqq samjhte hain aur jab tak din mein do chaar fatwe na de len aur munaazre na kar len in ko sukoon nahi milta. Itna hi nahi munaazre ke naam par gaali galoch karne ko bhi jaaiz samjhte hain. Da’wat-o-tableegh ke naam par naujawaan ladkiyon se hansi aur dillagi ko sawaab ka kaam samjhte hain. In ke qadam yahien nahi rukte balki woh doosron ke maqalaat-o-mazameen aur tehqeeqat ko chura kar apne blogs, websites aur groups mein apne naam se share karte hain aur logon ki waah waahi haasil karte hain. Yeh ulama ki websites aur YouTube channels ko share karne mein apni gustaakhi samjhte hain shayad yahi wajah hai ke agar kisi alim ka lecture bhi share karte hain to khud ka YouTube channel bana kar us mein upload kar ke share karte hain.* Allama Ibn-ul-Jawzi Rahimahullah ne qissa kehne waalon ki jo sifaat bayan ki thien woh in ke andar maujood nazar aati hain. *Allama Rahimahullah ne farmaaya tha:*
وأكبر أَسبَابه أَنه قد يعاني هَذِه الصِّنَاعَة جهال بِالنَّقْلِ يَقُولُونَ مَا وجدوه مَكْتُوبًا وَلَا يعلمُونَ الصدْق من الْكَذِب فهم يبيعون على سوق الْوَقْت وَاتفقَ أَنهم يخاطبون الْجُهَّال من الْعَوام الَّذين هم فِي عداد الْبَهَائِم فَلَا يُنكرُونَ مَا يَقُولُونَ وَيخرجُونَ فَيَقُولُونَ قَالَ الْعَالم فالعالم عِنْد الْعَوام من صعد الْمِنْبَر​
*Tarjumah:* Aur is ka sab se bada sabab yeh hai ke is fann mein un logon ne dakhl andaazi ki jo naqli (yani Quran-o-Hadees ke) dalaail se jaahil hote hain. Jo likha huwa paate hain usi ko yeh kehte hain. Sach aur jhoot ki ma’rifat in ke paas nahi hoti. Yeh waqt ke bazaar mein deeni khidmat ka karobaar karte hain. Aur (logon ka) ittifaaq hai ke yeh aam taur par awaam mein se aise jaahilon ko mukhatab karte hain, jo chaupaayon (jaanwaron) ke qaayim maqam hote hain lehaza woh (awaam) un ki ghalatiyon par nakeer aur aitraaz nahi karte aur yeh kehte huwe nikalte hain ke “alim ne kaha.” *Pas awaam ke nazdeek wahi alim hai jo mimbar (stage) par chadh gaya.*
*(Tahzeer-ul-Khawaas Lis-Suyuti: 277-278)*

*Dar-haqeeqat yeh wahi fitnah hai jise Rabee’ah bin Abu Abdur Rehman Rahimahullah ne amr-e-azeem (ek bada mu’aamla) qaraar diya tha aur aansu bahaaye the:*
قَالَ مَالِكٌ: أَخْبَرَنِيْ رَجُلٌ أَنَّهُ دَخَلَ عَلَى رَبِيعَةَ بْنِ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ فَوَجَدَهُ يَبْكِي، فَقَالَ لَهُ: مَا يُبْكِيكَ؟ وَارْتَاعَ لِبُكَائِهِ فَقَالَ لَهُ: أَمُصِيبَةٌ دَخَلَتْ عَلَيْكَ؟ فَقَالَ: لَا، وَلَكِنِ اسْتُفْتِيَ مَنْ لَا عِلْمَ لَهُ وَظَهَرَ فِي الْإِسْلَامِ أَمْرٌ عَظِيمٌ، قَالَ رَبِيعَةُ: وَلَبَعْضُ مَنْ يُفْتِي هَا هُنَا أَحَقُّ بِالسَّجْنِ مِنَ السُّرَّاقٌِ​
*Tarjumah:* Malik ne kaha ke: Mujhe ek shakhs ne khabar di hai, woh Rabee’ah bin Abu Abdur Rehman ke paas aaya to us ne un ko rote huwe dekh kar poocha ke aap ko kis cheez ne rulaaya? Aur woh un ke rone ki wajah se ghabra gaya, lehaza us ne Rabee’ah Rahimahullah se kaha ke kya koi museebat aa gayi hai? To unhon ne jawab diya ke nahi! Lekin us shakhs se fatwa poocha jaa raha hai jis ke paas ilm nahi aur Islam mein amr-e-azeem zahir ho chuka hai. Rabee’ah Rahimahullah ne mazeed farmaaya ke yahan ba’z fatwa dene waale aise hain jo choron (thieves) ki ba-nisbat jail ke ziyadah haqdaar hain.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Lil-Khateeb: 2/324, Al-Ma’rifah Wat-Tareekh: 1/670, Jami’ Bayan-ul-Ilm Wa-Fazluhu: 2/1225, Hadees No: 2410, Alfaaz isi ke hain)*

*➏ Deen bezaari:*
Social Media ke is daur mein aazaadi ka jo na’ra buland kiya gaya hai log us se itne mutassir ho gaye hain ke deen par amal ko paabandi samajhne lage hain, lehaza aaye din Social Media par deen bezaari ki nai nai misaalein (new new examples) dekhne ko milti hain aur isi deen bezaari ki hi wajah se ulama bezaari wujood mein aayi hai.
*Aaj zaroorat is baat ki hai ke is muhlik bimaari ke ilaaj ka samaan kiya jaaye. Ulama ke maqam-o-martabe aur un par ta’an-o-tashnee’ aur tauheen ke gunaah ki sangeeni ko samjha jaaye. Mu’aashre par murattab hone waale bure asraat-o-nataaij ko khatm karne ki tadbeer ki jaaye aur logon ke dilon mein Ulama-e-haqq ke maqam aur un ki azmat ko utaara jaaye. Logon ke darmiyan un ki ghalatiyon ko bayan karne se bacha jaaye aur yeh aiteqaad rakha jaaye ke ulama bhi insaan hi hote hain, insaani taqaaze ki wajah se un se bhi ghalati ho sakti hai. Ghalati ki soorat mein un ke liye ek ajr ki ummed ki jaaye aur un par aitemaad ko barqaraar rakha jaaye. Saath hi saath un ke liye uzr talaash kiya jaaye aur un se husn-e-zann rakha jaaye. Isi tarah ulama-e-kiraam ki bhi yeh zimmedaari banti hai ke woh apna maqam samjhen aur da’wat-e-haqq ka kaam karen. Jahan ghalati ho jaaye apni islaah karen aur awaam ke saath apna talluq mazboot karen.*

*Alhamdulillah Completed*

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Social Media par Khawateen Apne Pairo, zoote, Ring, Mehandi wale Hatho ki Tasweer kyu upload kar rahi hai?

Social Media par Be Pardagi failane me Aalimat ki tadad jyada hai?
Aeisi Khawateen jo Social Media par apne Hatho, kano, Pairo aur Zoote ki tasweer upload karti hai?.

🥀 عالمات ہوش میں آجائیں ۔

کئ سالوں سے مسلسل مشاہدے میں آ رہا ہے کہ اسٹیٹس پر تصاویر لگانے والی بھاری بھرکم تعداد عالمات کی بھی ہے، طریقہ کار یہ ہوتا ہے کہ چہرے کے آدھے حصہ پر اسٹیکر لگا کر ہاتھوں پر مہندی، انگلیوں میں انگوٹھی، کلائیوں میں چوڑیاں اور کپڑے بھی عمدہ سے عمدہ ترین، کبھی آنکھوں کو مکمل آراستہ کر کے کبھی کچھ نہیں ملا تو اپنا جوتا چپل ہی پہن کر لوگوں کو دکھا دیا اور لوگ دیکھ بھی رہے ہیں۔ اگر ان سے یہ کہا جاۓ کہ آپ  اسٹیٹس پر تصاویر رکھتی ہیں؟

تو جواب ملتا ہے چہرا چھپا ہوتا ہے کبھی کہتی ہیں مرد حضرات کو پرائویسی کر دیتی ہوں کبھی کہتی ہیں صرف سہیلیاں ہی دیکھتی ہیں اللہ بہتر جانے کہ کیا سچ ہے۔
صرف اتنا ہی نہیں حج و عمرہ کے مقدس سفر میں بھی ان کی یہ حرکت بدستور قائم ہے۔

میں نے چند عالمات کو  اس تعلق سے ٹوکا انہوں نے مجھے ہائڈ کردیا مگر لگانے سے باز نہیں رہیں_ 

خود کا تماشا کراکے ملتا کیا ہے اللہ ہی جانے!

  پھر جب عوام خواتین یہی کام کریں تو یہی عالمات اسٹیج پر جاکر لمبی لمبی تقریریں کرتیں ہیں جہنم کے سب سے سخت عذاب سنائیں جاتے ہیں  خدارا ہوش کے ناخن لیں اللہ عمل کرنے کی توفیق عطا فرمائے
آمین یا رب العالمین

منقول

اس تحریر کو جتنا ہو سکے آگے شئر کیجئے آپ سب بہت ہی پر اثر ہیں۔

Share:

Social Media Pe Maafi Mangne Ki Jahalat.

Whatsapp Pe Maafi Mangne Ki Aadat Hm KAb Badlenge?

रोज़ाना आने वाले ग्रुप मॅसेजों में जिसे देखो मुआफ़ी मांगने पर तुला हुआ है, इन मॅसेजों को पढ़कर मै बहोत ज़ोर ज़ोर से हंसता हुं क्योंकि लिखने वालों को ये लिखकर भेजना चाहिये *"कि जाने अन्जाने में या जान बुझकर मेरे ज़रिये भेजे गये किसी पोस्ट, फोटो या विडियो से आप को दुख पहुंचा हो, तक़लीफ हुई हो या आपका मज़ाक उड़ाया गया तो मुझे मुआफ्र कर देना*
जहालत की हद पार कर दी है लोगों ने, हमारा मज़हब कोई डिजिटल प्रोग्राम नहीं है, जो पुरी दुनियाँ में किसी सोशियल मिडिया के बल पर फैल रहा है।
अग़र कोई हक़िकत में अल्लाह से अपने गुनाहों की मग़फिरत चाहता है तो उसे इंसान के रु ब रु होकर मुआफ़ी मांगना चाहिये, क्योंकि किसी को तक़लीफ या दुख पहुंचाने का या
झूठ का सहारा लेकर लोगों में फितना पैदा करने का, आपस में दुश्मनी लगाने का काम इन्सान से होता है
अग़र गुनाहों का डर दिल में जागा है तो बे-शक़ खुद होकर मुआफी मांगना चाहिये बवजूद इसके ये सामने वाले पर मुनस्सर करता है कि आपको मुआफ़ करे या न करें ।
अगर हमें अपनी ग़लतियों का या गुनाहों का एहसास हुआ है हमारे दिलों में अगर वाकई खौफ़ ए खुदा जागा है तो कायरों की तरह सोशियल मिडिया का सहारा क्यों लें, सच्ची तौबा का इरादा लेकर साफ दिल से सामने जाकर मुआफ़ी मांगना चाहिये, अल्लाह की रज़ा के लिये की जाने वाली पहल में शर्मिन्दगी कैसी, आपकी नियत सच्ची होगी तो पहल आप करेंगे, हाँ अगर दुनियावी रस्म अद़ा करनी है तो फिर वाॅट्सअॅप पर से किसी का भी मुआफ़ीनामा काॅपी करके सबको भेजते रहो
इससे होगा ये कि आपके गुनाह तो बरकरार ही रहेंगे अलबत्ता दिल को झुठी तसल्ली ज़रुर मिल जायेगी कि मैनें मॅसेज भेजकर मुआफ़ी तो मांग ली है
अल्लाह हम सब को सही रास्ता दिखाये और सच्चे दिल से तौबा करने की तौफिक अता फरमाये ।
आमीन ।
Maa naaraz Bahan naaraz
Bhai naaraz  Pados wale naaraz  Rishtedar naaraz
Aur hum social media me unse maafi maang rahe hain jinko hum jante tak nahi   Hadd hai.

Share:

Social Media ki Khabro ko Dusro Tak Bhejne Se Pahle Jarur Tahqeeq Kare. Kya Hmare Paigham Sahi hai ya Nahi?

Social Media ke Messages Aur Hamari Zimmedaari
سوشل میڈیا کے پیغامات و خبریں اور ہمارے فرائض
کسی پیغام کو دوسروں تک پہنچانے سے پہلے ہمیں کون کون سی باتوں کا خیال رکھنا چاہیے؟
Jab aap ko Facebook ya Whatsapp waghera par koi khabar ya paigham mile to us par yaqeen kar ke idhar udhar phailane se pehle yeh maloom karen ke yeh khabar ya yeh message sahih hai ya nahi kiunki woh khabar ya message mein do baatein zaroor hongi:
➊ Woh khabar ya message sahih nahi balki jhoot aur afwaah hogi.
➋ Ya phir maloom nahi hoga ke yeh Jhoot hai ya sach.

In dono sooraton mein aap ka farz banta hai ke aap use idhar udhar share karne se bilkul ijtinaab karen (bachen).
Quran ke is soonehre usool ko hamesha yaad rakhen:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِن جَاءَكُمْ فَاسِقٌ بِنَبَإٍ فَتَبَيَّنُوا أَن تُصِيبُوا قَوْمًا بِجَهَالَةٍ فَتُصْبِحُوا عَلَىٰ مَا فَعَلْتُمْ نَادِمِينَ​
Tarjumah: Aye musalmano! Agar tumhein koi fasiq khabar de to tum us ki achchi tarah tehqeeq kar liya karo aisa na ho ke nadani mein kisi qaum ko eeza (takleef) pahuncha do phir apne kiye par pashemaani uthaao.
(Surah Al-Hujuraat, Surah No: 49 Ayat No: 6)

Aur agar woh khabar ya message sahih hoga to bhi us mein do baatein hongi:
① Us khabar ya message ko share karne se koi faida hoga.
② Ya phir koi faida nahi hoga.

Agar aap ko us se koi faida nazar aa raha hai to use idhar udhar bhej sakte hain lekin agar koi faida nahi balki fuzool aur faaltu cheez hai to use share karne se bachen kiunki ek musalman ki isi mein kamyabi hai, yeh ek achche musalman ki pehchan hai aur is mein jhoot se ijtinab hai.
Surah Al-Mominoon Ayat No: 3 mein Allah Taala ne kamyaab momin ki ek nishani yeh bataayi hai ki woh laghw, fuzool aur faaltu cheezon se door rehta hai.
Mazeed pyare Nabi ﷺ ne farmaya:
إِنَّ مِنْ حُسْنِ إِسْلَامِ الْمَرْءِ تَرْكَهُ مَا لَا يَعْنِيهِ​
Tarjumah: Aadmi ke Islam ki khoobi yeh hai ke woh aisi cheezon ko chhod de jo us se ghair mutalliq hon.
(Sunan Tirmizi: 2318, Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)

Doosri Hadees mein farmate hain:
كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا، ‏‏‏‏‏‏أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ​
Tarjumah: Insaan ke jhoota (aur ek riwayat ke mutabiq gunehgaar) hone ke liye itna hi kaafi hai ke woh har suni sunaayi baat (baghair tehqeeq ke) aage bayan kar de.
(Sahih Muslim: 5)

Agar hum in usool o aadaab par amal karte huwe Social Media ka istemaal karen to hum bahut saare masail o mushkilaat, sharr o fasaad, fitnon, aazmaishon aur gunaahon se khud bhi bach sakte hain aur samaaj o mu’ashre ko bhi un se bacha sakte hain.

Allah Taala hum sab ko deen ki sahih samajh ataa farmaye aur zindagi ke har mu’amle mein deen par amal karne waala banaye.
    Aameen Ya Rabbal Aalameen

Share:

Kya Social Media Par Salaam Wagairah ka jwab N Dene ki Surat Me Gunaahgaar Hoga?

Kya Social Media Pe Salam Ka JAwab Dena Jaruri HAi

سوال: محترم گر کوئی شخص سلام کا جواب نہیں دے  کیا وہ گنہگار ہو گا ؟
اور کیا موجودہ دور میں سوشل میڈیا پر سلام وغیرہ کا جواب نہ دینے کی صورت میں گنہگار ہوگا؟
اس سوال کا جواب قرآن وحدیث کی روشنی دیجئے مہربانی ہوگی۔
   الجواب بعون رب العباد: 
کتبہ/ابوزھیر محمد یوسف بٹ بزلوی ریاضی۔
ہر مسلمان کو چاھئے کہ وہ اپنے مسلمان بھائی کو سلام کرے چاھئے وہ اسے جانتا ہو یا نہ جانتا ہو۔
دليل: نبی علیہ السلام کی خدمت میں ایک شخص حاضر ہوا اور سوال کیا کہ کونسا عمل بہتر ہے؟
آپ علیہ السلام نے فرمایا کہ تو کسی کو کھانا کھلائے اور کسی کو سلام کرے چاھئے تو اسکو جانتا ہو یا نہ جانتا ہو۔[بخاری ومسلم]۔
امام نووی رحمہ اللہ فرماتے ہیں  کہ تو ہر اس شخص کو سلام کرے جس سے تو ملاقات کرے یہ ضروری نہیں کہ آپ اسے جانتے ہوں جیساکہ آج کل اکثر لوگ کرتے ہیں۔[شرح مسلم].
اسے ثابت ہوا کہ ہر مسلمان کو چاھئے کہ وہ اپنے مسلمان بھائی چاھئے وہ اسے جانتا ہو یا اسے نہ جانتا ہو اسے ملتے وقت سلام کرے جیساکہ اوپر کی حدیث معلوم ہوا۔
اور سلام کا جواب دینا بھی ضروری ہے۔
جمہور اہل علم کے نزدیک سلام کا جواب دینا واجب ہے اور سلام کرنا سنت نبوی ہے۔
امام نووی رحمہ اللہ فرماتے ہیں کہ سلام کا جواب دینا اجماعا فرض ہے۔[المجموع]۔
کیونکہ قرآن وحدیث میں سلام کے جواب دینے کا حکم موجود ہے جیساکہ قرآن کی سورہ نساء آیت نمبر86 میں سلام کے کے جواب دینے کا حکم موجود ہے اور اسے ثابت ہوا کہ سلام کا جواب دینا واجب ہے اسلئے کہ یہاں کوئی ایسا قرینہ موجود نہیں ہے جو اسے وجوب سے سنت یا مستحب کی طرف پہیردے۔
ثابت ہوا کہ سلام کا جواب دینا واجب اور ضروری ہے اور جو شخص وجوب کو ترک کردے وہ گنہگار ہوگا۔
امام ابن مفلح رحمہ اللہ نے  حضرت ابوھریرہ رضی اللہ عنہ کی حدیث بیان کرتے ہوئے فرماتے ہیں کہ نبی علیہ السلام ابی بن کعب رضی اللہ عنہ کے پاس تشریف لے گئے اس حال میں کہ وہ نماز ادا کررہے تھے تو آپ علیہ السلام نے انہیں سلام کی لیکن ابی بن کعب رضی اللہ عنہ نے جواب نہیں دیا یہاں تک کہ انہوں نے سلام  پہیر لی پہر نبی علیہ السلام کی طرف متوجہ ہوئے اور سلام کی آپ علیہ السلام نے سلام کا جواب دیا پہر فرمایا کہ تمہیں کس چیز نے سلام کے جواب سے روکا؟ ۔ ۔ ۔ ۔ الخ ]. الحدیث۔[الآداب الشرعية لابن مفلھ421/1]۔
ابن عبد القوی رحمہ اللہ فرماتے ہیں کہ اس حدیث میں اس بات کا جواز موجود ہے کہ حالت نماز میں سلام کا جواب دیاجا سکتا ہے۔[ مجمع البحرين]۔
اسے ثابت ہوا کہ جب کوئی مسلمان بھائی اپنے مسلمان بھائی کو سلام کرے تو اسے چاھئے کہ وہ اس سے سلام کا جواب دے کیونکہ جمہور اہل علم نے سلام کے جواب کو واجب ، فرض قرار دیا ہے اسلئے ہر مسلمان کو چاھئے کہ وہ اپنے مسلمان بھائی کے سلام کا جواب دے بصورت دیگر وہ گنہگار ہوگا
اسی طرح موجودہ دور میں بہت سے لوگ سوشل میڈیا پر سلام کرتے ہیں تو ان موجودہ وسائل پر بھی سلام کا جواب دینا چاھئے اب اگر کوئی مشغول ہے تو اگر اسوقت جواب نہ دے سکے لیکن وقت میسر ہوتے ہی سلام کا جواب دینا چاھئے
سلام کا جواب نہ دینا کبر اور ریا کی علامت ہے۔
اسلئے ہر مسلمان کو چاھئے کہ وہ اپنے مسلمان بھائی کی سلام کا جواب ضرور دے۔
هذا ماعندي والله أعلم بالصواب. 


Share:

Na Mehram se Social media pe chat karna.

Na Mehram aur Social media.
kya Auraten Social media use kar sakti hai?
Kya Na Mehram se Facebook, Twitter, quora, instagram pe Chat kar sakte hai?
Kya mangani (ingagement) ke bad Ladka Larki social media pe bat chit kar sakte hai?

السلام علیکم رحمۃاللہ وبرکاتہ
نا محرم اور سوشل میڈیا :
غیر محرم مرد وزن کی بات چیت آمنے سامنے ہو, موبائل پیغامات (massaging) کے ذریعہ ہو, یا سوشل میڈیا چَیٹ ہو, سب کے لیے اللہ سبحانہ وتعالى نے ایک ہی اصول وضابطہ مقرر فرمایا ہے۔

اللہ تعالیٰ کافرمان ذی شان ہے:
وَإِذَا سَأَلْتُمُوهُنَّ مَتَاعاً فَاسْأَلُوهُنَّ مِن وَرَاء حِجَابٍ ذَلِكُمْ أَطْهَرُ لِقُلُوبِكُمْ وَقُلُوبِهِنَّ
اور جب تم ان سے کسی چیز کے بارہ میں پوچھو, تو پردے کی اوٹ میں بات کرو۔ یہ تمہارے دلوں اور انکے دلوں کے لیے زیادہ پاکیزہ ہے۔ [الأحزاب : 53]

اس سے معلوم ہوتاہے کہ غیر محرم مرد اور عورت آپس میں کام کی بات کر سکتے ہیں۔ اور بات کرنے کا طریقہ یہ ہونا چاہیے کہ عورت پردے کی اوٹ میں ہو۔
موبائل , یا میسنجرز پہ کال کرتے ہوئے, یا چیٹ کے دوران "پردہ کی اوٹ" تو موجود ہی ہوتی ہے۔ الا کہ کوئی ویڈیو کال کرکے اس "اوٹ" کو ختم کر دے۔ لیکن دوسرا اہم نقطہ جو اس آیت میں بیان ہوا ہے وہ ہے "کام کی بات" ! جسے عموما پس پشت پھینک دیا جاتا ہے, اور اسکا لحاظ رکھے بغیر بات چیت کی جاتی ہے۔ اس آیت کریمہ میں حجاب کا ذکر کرنے سے پہلے اس اہم نقطہ کو بیان کیا گیا ہے جس سے واضح ہوتا ہے کہ غیر محرم مرد وزن کی آپس میں بات چیت صرف "ضروری اور اہم کام" سے متعلق ہونی چاہیے۔ محض "گپ شپ" لگانے کی اجازت شریعت میں انکے لیے نہیں ہے!  خوب سمجھ لیں۔ اللہ تعالیٰ کا ارشاد ہے:
يَا نِسَاء النَّبِيِّ لَسْتُنَّ كَأَحَدٍ مِّنَ النِّسَاء إِنِ اتَّقَيْتُنَّ فَلَا تَخْضَعْنَ
بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ وَقُلْنَ قَوْلاً مَّعْرُوفاً
اے نبی کی بیویو! بتم عام عورتوں جیسی نہیں ہو, اگر تم اللہ سے ڈرتی ہو, تو
پرکشش لہجہ میں گفتگو نہ کرو, وگرنہ جسکے دل میں مرض ہے وہ طمع لگا
بیٹھے گا۔ اور معروف بات کہو۔ [الأحزاب : 32]
اس آیت میں اللہ سبحانہ وتعالى نے غیر محرموں سے گفتگو کرنے کے لیے مزید دو ا صول بیان فرمائے ہیں:

۱۔ لہجہ پرکشش نہ ہو۔
۲۔ معروف بات ہو۔

 یعنی اگر کوئی عورت گفتگو کے دوران ایسے لہجہ میں بات کرے جس سے مردوں کے دل میں "عشق" کا مرض جنم لے سکتا ہو, تو وہ لہجہ شرعا حرام ہے۔
 تحریری گفتگو میں بھی اس بات کو ملحوظ رکھنا ضروری ہے کہ ایسے الفاظ سے اجتناب کیا جائے جو صنفی کشش کا باعث بنتے ہوں۔

 جو گفتگو مرد و عورت کر رہے ہیں وہ معروف یعنی اچھائی اور بھلائی اور نیکی کی گفتگو ہو جسے شریعت اسلامیہ منع نہیں کرتی۔

درج بالا قواعد وضوابط کو ملحوظ رکھ کر غیر محرم مرد و عورت آپس میں بات چیت کر سکتے ہیں ۔ اس امت کی سب سے پاکیزہ خواتین یعنی امام الانبیاء جناب محمد مصطفى ﷺ کی ازواج مطہرات بھی غیر محرم مردوں سے انہی اصولوں کو مد نظر رکھ کر گفتگو کرتیں اور اسی طرح رسول اللہ ﷺ کی براہ راست شاگردات یعنی صحابیات بھی انہی ضابطوں کی پابند رہ کر بات چیت کیا کرتی تھیں۔ سو آج بھی اگر کوئی ان ضابطوں کی پابندی کرے تو انکی گفتگو میں کوئی حرج نہیں ہے۔
یعنی بات ایسی ہو جو کہ مرد کو اس عورت سے یا عورت کو اس مرد سے "خود" کرنا ضروری ہو, گفتگو کا انداز پرکشش نہ ہو, معروف بات ہو, اور حجاب کے احکامات ملحوظ خاطر ہوں, تو کوئی حرج نہیں ہے۔
شادی سے قبل منگیتر بھی "نامحرم" ہی شمار ہوتے ہیں۔ لہذا ان سے بھی گفتگو انہی ضوابط کی پابند ہے۔
یہاں ایک ہم بات سمجھنا بہت ضروری ہے , خصوصا خواتین کے لیے کہ * انکی سوشل میڈیا آئی ڈی انکے ولی امر (محرم مرد رشتہ دار جو عورت کا سرپرست ہے) کے علم میں ہونی چاہیے۔ اور اگر خواتین سوشل میڈیا مثلا فیس بک , ٹویٹر, واٹس ایپ , ٹیلی گرام وغیرہ کا استعمال کرتی ہیں تو انہیں بہت زیادہ محتاط رہنا ہوگا۔ اور درج ذیل غلطیوں سے مکمل اجتناب کرنا ہوگا:

1- لڑکوں کو ایڈ کرنا: کسی بھی ایسی آئی ڈی جو مردوں یا لڑکوں کے ناموں سے ہوں ان کو ایڈ نہ کریں اور اگر اپ کو لڑکی کے نام سے فرینڈ ریکویسٹ آئی ہے تو آپ کو معلوم ہونا چاہیے کہ یہ واقعی کسی بہن کی آئی ڈی ہے ، کہیں ایسا تو نہیں کہ لڑکی کے نام سے فیک آئی ڈی بناکر لڑکے آپ کو فرینڈ ریکویسٹ بھیج رہے ہیں ۔ جن پر لڑکیوں کی تصاویر لگی ہوتی ہیں تاکہ ایسے لڑکیوں کی پروفائل میں گھسا جا سکے۔ الغرض آپ صرف اور صرف لڑکیوں کو ہی اپنی فرینڈ لسٹ میں ایڈ کریں اور وہ بھی ایسی لڑکیاں جنہیں آپ جانتی ہوں کہ واقعی یہ لڑکیاں ہی ہیں اور پابند شریعت بھی! اگر آپکو دینی معلومات درکار ہیں, تو آپ فیس بک پر ایسے پیجز کو لائک کر لیں جو اسلامی معلومات فراہم کرتے ہیں۔ ان سے ہی آپکی علمی ضرورت پوری ہو جائے گی۔

2- لڑکوں سے چَیٹ: لڑکوں سے چیٹ کرنے کی قطعا کوئی ضرورت نہیں, جیسا کہ اوپر دلائل سے یہ بات واضح کی گئی ہے کہ "گپ شپ "لگانے یا پھر محض "سلام دعاء, حال احوال" کی غرض سے نامحرموں سے چَیٹ یا گفتگو کرنے کی شریعت میں ہرگز اجازت نہیں ہے۔ ہاں بوقت ضرورت بقدر ضرورت جتنی شریعت نے اجازت دی ہے اسکے مطابق کوئی بات کی جاسکتی ہے, لیکن یہ ذہن میں رہے کہ یہ اجازت محض رخصت ہے, لہذا اسکا کم ازکم استعمال کریں۔

3- ضرورت اور بلا وجہ کی گفتگو کے باریک فرق کو سمجھیں: اگر آپ کو کسی عالم دین سے معلومات درکار ہیں تو تین سے چار سطروں میں اپنا سوال لکھ کر سینڈ کریں، ورنہ گفتگو طول پکڑے گی اور کہیں جا کر بھی نہیں رکے گی جس سے فتنے کا اندیشہ ہے۔ خواتین عموما مرد کو دیندار, متقی, عالم دین, یا مجاہد سمجھ کر "گپ شپ" کرنا شروع کر دیتی ہیں جو کہ شریعت میں حرام ہے۔ اس سے اجتناب کریں۔ ٹو دی پوائنٹ یعنی جامع ومانع بات کریں۔ یہاں یہ بات بھی یاد رہے کہ آپ جب بھی کسی غیر محرم مرد سے چیٹ کریں تو اپنے کسی محرم کی موجودگی میں کریں, فتنہ سے محفوظ رہنے کا یہ بہت مؤثر ذریعہ ہے۔

4- دوسروں کی پوسٹوں پہ کمنٹ کرنا: کسی بھی دینی یا فلاحی تنظیم یا جماعت کے پیج پہ موجود پوسٹوں پر اپنی آئی ڈی سے کمنٹ نہ کریں, وگرنہ اسکے نتیجہ میں آپکی آئی ڈی ہزاروں بلکہ لاکھوں مردوں تک پہنچ جائے گی اور یہ فتنہ کا سبب بن جائے گی!

5- پروفائل پکچر: اپنی پروفائل پہ اپنی تصویر نہ لگائیں , خواہ نقاب والی ہی ہو۔ کچھ لڑکیاں اپنے ہاتھوں, پاؤں,آدھے جسم اور لباس وغیرہ کی تصاویر کو اپنی پروفائل پہ لگا دیتی ہیں جبکہ شریعت نےان سب کو چھپانے کا حکم دیا ہے۔

6- پوسٹ کرنے میں احتیاط برتیں: اپنے دکھ اور غم مثلا : میں پریشان ہوں ڈپریشن میں ہوں میں بہت مصیبت میں ہوں وغیرہ انٹر نیٹ پہ اجنبیوں سے ہر گز نہ شئیر کریں, اور نہ ہی اپنی جاننے والی لڑکیوں سے۔ یہ وہ غلطی ہے جو ہر لڑکی انٹر نیٹ پہ کرتی ہے اور بعد ازاں نقصان اٹھاتی ہے۔ اسی طرح اپنے رویے اور پسند ناپسند ، رنگ کیسا پسند ہے ، کھانے میں کیا پسند ہے ، جوتے کون سے پسند ہیں ، یہ معلومات اگر آپ انٹر نیٹ پہ ڈالیں گی تو وہ کسی نہ کسی تک تو پہنچیں گی جس سے نقصان کا اندیشہ ہے ۔

أبو عبد الرحمن محمد رفیق طاہر عفا اللہ عنہ
 نامحرم کا ایک دوسرے سے گفتگو کرنا :
اگر فتنے کا ڈر نہ ہو تو بامر مجبوری پردے میں غیر محرم عورت کے ساتھ گفتگو کی جا سکتی ہے۔ صحابہ کرام سیدہ عائشہ سے پردے میں مسائل پوچھ لیا کرتے تھے۔ لیکن شرط یہ ہے کہ اس گفتگو میں کوئی غیر شرعی معاملہ نہ ہو اور نہ ہی لہجے میں نرمی ہو۔ کیونکہ نرم لہجے میں گفتگو سے اللہ نے منع فرمایا ہے۔
ارشاد باری تعالی ہے:
اے نبیﷺ کی بیویو! تم عام عورتوں کی طرح نہیں ہو، اگر تم پرہیزگاری اختیار کرو تو نرم لہجے میں بات نہ کرو کہ جس کے دل میں روگ ہو وہ کوئی برا خیال کرے اور ہاں قاعدے کے مطابق کلام کرو۔ الاحزاب:32
اللہ تعالٰی قرآن مجید میں ارشاد فرماتا ہے :
“واذا سالتموهن متاعا فاسئلوهن من وراء حجاب“
اور جب تم کسی ضرورت اور حاجت کی وجہ سے عورتوں سے کوئی چیز مانگو تو پردے کے پیچھے سے مانگو۔ سنو پھر عورت کا غیر محرم مرد سے گفتگو کرنا صرف ضرورت کی حد تک جائز ہوگا
اللہ تعالی نے جس طرح عورت کے وجود کے اندر مرد کے لیے جنسی کشش رکھی ہے (جس کی حفاظت کے لیے بھی خصوصی ہدایات دی گئی ہیں تاکہ عورت مرد کے لیے فتنے کا باعث نہ بنے) اسی طرح اللہ تعالی نے عورتوں کی آواز میں بھی فطری طور پر دلکشی، نرمی اور نزاکت رکھی ہے جو مرد کو اپنی طرف کھینچتی ہے۔ بنابریں اس آواز کے لیے بھی یہ ہدایت دی گئی ہے کہ مردوں سے گفتگو کرتے وقت قصدا ایسا لب و لہجہ اختیار کرو کہ نرمی اور لطافت کی جگہ قدرے سختی اور روکھاپن ہو- تاکہ کوئی بدباطن لہجے کی نرمی سے تمہاری طرف مائل نہ ہو اور اس کے دل میں برا خیال پیدا نہ ہو-
یہ روکھا پن ، صرف لہجے کی حد تک ہی ہو، زبان سے ایسا لفظ نہ نکالنا جو معروف قاعدے اور اخلاق کے منافی ہو- ان اتقیتن کہہ کر اشارہ کر دیا کہ یا بات اور دیگر ہدایات قرآن و حدیث میں ہیں وہ متقی عورتوں کے لیے ہیں، کیونکہ انہیں ہی یہ فکر ہوتی ہے کہ ان کی آخرت برباد نہ ہو جائے- جن کے دل خوف الہی سے عاری ہیں، انہیں ان ہدایات سے کیا تعلق؟ اور وہ کب ان ہدایات کی پرواہ کرتی ہیں؟
فتاویٰ علمائے حدیث/کتاب الصلاۃ/جلد 1
ھذا, واللہ تعالى أعلم, وعلمہ أکمل وأتم ورد العلم إلیہ أسلم والشکر والدعاء لمن نبہ وأرشد وقوم , وصلى اللہ على نبینا محمد وآلہ وسلم وکتبہ:
وٙالسَّـــــــلاَمُ عَلَيــْــكُم وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكـَـاتُه :
تحریر۔ 
Mrz A Ansari

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS