Beshak Allah Ki Yaad Se Hi Dilon Ko Sukun Milta Hai
Surah Ar-Rad (13) , Verse 28
✦ Al Quran :* Aur Allah Ko Bahut Yaad Karne Waley Mardo Aur Bahut Yaad Karne Wale Aurton Ke Liye (Allah Ne) Bakhshis Aur Bada Ajar Tayyar Kar Rakha Hai.
Surah Al Ahzab (33) : Verse 35
__________________________________
*✦ Al Quran :* Aur Jo ALLAH Ki Yaad Se Ghafil Hojata Hai To Hum Us Par Ek Shaitan Muqarrar Kar Dete Hain Phir Wo Uska Saathi Ban Jata Hai.
*Surah Az-Zukhruf (43) , Verse 36*
__________________________________
*✦ Hadith:* Abdullah bin Busr Radhi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Rasool-Allah Sallallahu Alayhi Wasallam Se Arz Kiya
_Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Islam Ke Ahkam Bahut Ziyada Ho Gaye Hain,_
Aap Mujhe Koi Aise Cheez Bata Dijiye Jisko Mein Hamesha Ke Liye ikhtiyar Kar Lun To Aap Sallallahu Alayhi Wa Sallam Ne Farmaya:-
Tumhari Zuban Ko Har Waqt Allah Aubhanahu Ke Zikr Se Tar Rakho.
*Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1299 Hasan*
__________________________________
*✦ Hadith :* Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:-
Kya Main Tumko Aisa Amal Na Batauu Jo Tumhare Malik (ALLAH) Ke Nazdeek Achcha Aur Pakeeza Hai Aur Tumhare Darjat Mein Sabse Buland, Aur Jo (ALLAH Ki Raah Mein) Sone Aur Chandi Ko Kharch Karne Se Bhi Afzal Hai,
Aur Jo ALLAH Ki Raah Mein Dushmano Se Jihad Karte Huye Unki Gardane Maarne Aur Wo Tumharai Gardane Maare Use Bhi Behtar Hai, Sahaba Radhi Allahu Anhuma Ne Arz Kiya Kyun Nahi ( Jarur Bataeeye),
Aap Sal-Allahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya Wo ALLAH Ka Zikr Hai, Muaz Bin Jabal Radhi Allahu Anhu Ne Farmaya Allah Ke Azab Se Bachane Wali Zikr ilahi Se Badkar Aur Koi Cheez Nahi Hai.
*Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1301 Hasan*
__________________________________
*Hadith* _Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:-_
Duniya Maloon (Yani Lanat Ki Huyee) Hai Aur Jo Kuch Duniya Mein Hai Wo Bhi Maloon Hai , Siwaye Allah Subhanahu Ke Zikr Ke Aur Jisko Allah Subhanahu Pasand Farmata Hai (Ya Jo Uske Zikr Ke Liye Mufeed Ho) Aur Siwaye Aalim Ke, Aur ilm Sikhne Wale Ke ( in Sab Ke Siwa Jo Bhi Hai Wo Maloon Hai).
*Sunan Ibn Majah, Jild 3, 993 Hasan*
__________________________________
القرآن :* سن رکھو کہ خدا کی یاد سے دل آرام پاتے ہیں
*سورة الرعد ٢٨*
*القرآن :* اور خدا کو کثرت سے یاد کرنے والے مرد اور کثرت سے یاد کرنے والی عورتیں۔ کچھ شک نہیں کہ ان کے لئے خدا نے بخشش اور اجر عظیم تیار کر رکھا ہے
*سورة الأحزاب ٣٥*
*القرآن :* اور جو کوئی خدا کی یاد سے آنکھیں بند کرکے (یعنی تغافل کرے) ہم اس پر ایک شیطان مقرر کردیتے ہیں تو وہ اس کا ساتھی ہوجاتا ہے
*سورة الزخرف ٣٦*
__________________________________
*ایک آدمی نے کہا:* اللہ کے رسول ﷺ اسلام کے احکام و قوانین تو میرے لیے بہت ہیں، کچھ تھوڑی سی چیزیں مجھے بتا دیجئیے جن پر میں ( مضبوطی ) سے جما رہوں، آپ نے فرمایا: ”تمہاری زبان ہر وقت اللہ کی یاد اور ذکر سے تر رہے
*جامع ترمیزی جلد ٢ ١٢٩٩-حسن*
*رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:*
”کیا میں تمہارے سب سے بہتر اور تمہارے رب کے نزدیک سب سے پاکیزہ اور سب سے بلند درجے والے عمل کی تمہیں خبر نہ دو؟ وہ عمل تمہارے لیے سونا چاندی خرچ کرنے سے بہتر ہے،
وہ عمل تمہارے لیے اس سے بھی بہتر ہے کہ تم ( میدان جنگ میں ) اپنے دشمن سے ٹکراؤ، وہ تمہاری گردنیں کاٹے اور تم ان کی ( یعنی تمہارے جہاد کرنے سے بھی افضل ) “ لوگوں نے کہا: جی ہاں، ( ضرور بتائیے ) آپ نے فرمایا: ”وہ اللہ تعالیٰ کا ذکر ہے“، معاذ بن جبل رضی الله عنہ کہتے ہیں: اللہ کے ذکر سے بڑھ کر اللہ کے عذاب سے بچانے والی کوئی
اور چیز نہیں ہے-
*جامع ترمیزی جلد ٢ ١٣٠١ -حسن*
*رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:-*
دنیا ملعون (لعنت کی ہویی) ہے اور جو کچھ اس میں ہے وہ بھی ملعون ہے، سوائے اللہ سبحانه کی یاد کے اور جس کو اللہ سبحانه پسند فرماتا ہے (یا جو اس کے ذکر کے لئے مفید ہے )، اور سوائے عالم کے اور علم سیکھنے والے کے
سنن ابن ماجہ جلد ۳ ۹۹۳ حسن.